ik tanha dik ke waastey jiyaa kertey hain ham, wo qadam qadam pe jo mushkilen saath rehti hein, unhen chun chun ke jholi mein samet letey ham, wo jo raaston ke nasheb pe hamari muntazir, kuch dukh ki kirchyaan hain, bohat sambhaal ker unhen hathelion mein chupa liya kertey hein ham, wo jo roooh ke gird bhatakti huii si cheekhen hain, unhen dharkanon se bandhi dor main piro liya kertey hein ham, phir bhi janey kese dukh bikharney lagtey hein, aankhen herat se ro deti hein, labon se muskurahat chin jaati hai, askhon ki larryaan saawan rut mein jhoom uth-ti hain, phir bhi janey kion .. zindagi ham se qadam qadam giley hi kiye jaati hai , kuch naye se dukh samet laati hai, kahin mehfoooz jo rakhna hon to hamari dharrkanon ka pata de aati hai bikhrey huye tanha zakhmon ko haarey huye aansoun ko ... ik tanha dil ke waastey dharrkan ka hona na hona , dukh se bharna ya khushi se cheekhna zaroori hai, dharkanon ke liye dukhon ki halchal aansoun ki baarishon ko jhelna zaroori hai, kion ye sab zaroori hain naa.... ?
by me (A)
by me (A)
Comment