Maula .. terey dar pe aayee hoon .. yaqeen hai mera Tujh se barh ke kul kaiynaat main koi nahen .. Maula chaa to jaatey hein mayoosi ke itney badal ke tooot jaati hooon .. bikher ke reza reza ho jaati .. lekin Tera kalaam mujhey mujh se doooor nahen kerta .. merey dil ko khud-kushi ki saza nahen deta .. Maula Reham fermaa .. teri dunya main kahin qaraar nahen milta .. kahin sakoon nahen milta .. muaaf ker dena haar jaati hoon .. ghamon ke andheron main koi roshani dikha de Maula .. khushi ki kiran rahnuma ker de Apni Rehmaton ke hamraah .. Maula kesey bhi halaat hon .. Allah .. kitni bhi mushkil ho .. mujhey Khud se doon honey na dena .. Allah .. be-qararyon ke samundar de madad fermaa meri .. Maula .. bohat gunah-gaar hoon .. mangni aati nahen dhang se dua mujh ko .. Allah terey samney pal pal har pal haath phelaaye hoon .. naye din, mahina, saal ko Rehmat bana do .. jo zakhm cheekhtey hein akeley itney baras se .. un ko dawa do .. meri aarzoo hai Teri .. dunya main .. Terey Deen ko saath le ker chaloon jahan bhi rahoon .. Islam se ghafil honey se bacha lena Maula .. Zindagi bohat kuch sikha chuki hai bata chuki hai .. lekin umeed qaiim rehti hai .. har achey pal ki Terey honey se .. Maula .. mayoosiyon ke andherey hata dey .. Meri be-qarariyon ki dawa ker Maula .. mujhey dunya o aakhirat ke azaab se bacha Maula .. mujhse koi dil na tootey.. koi roothey na .. koi tang na ho Maula .. zehni o jismaani beemryon se bacha le Maula .. terey dar pe sawali kab se haath phelaye kharri hai .. Meri pukaar .. meri dua sun le Maula .. dhang sikha de maangney ka dua Tujh se .. dhang sikha de sabr ka daaman thamey rakhney ka Maula .. dhang sikha do sab main khushyaan bantney ka Allah .. kahin bhi mujh ko qarar nahen milta .. Terey dar ke siwa .. Allah meri pukaar sun le mujh se jurrey har rishtey ko khushyaan ataa ker de dili sakoon ataa ker de . ..Maula .. ... aameen ..
by, me (A)
by, me (A)
Comment