Kion hasrat ka kashkol liye is dar jana us dar jana .. kion apney aap ko apney haath .. toota bikhra .. khilona bana-na .. kion aas aas ki khel mein apni aankon ko chundhya dena .. kion khuwahishon ke jazeerey pe .. intizaar ki sooli khud charhna .. ye rishtey kachey dhaagey hain .. na terey hein na merey hain .. har bhes mein dunya niraali hai na teri hai na meri hai .. har koi yehan daaman phelaaye ik doojey ki haan ik doojey ki bahon ka sahara dhoondey hai .. akhyaan royen to roti rahen naa .. kion aas ka daaman pakrra thaa .. ik pal ko bhi kabhi socha .. ye dunya khel - khilona sahi .. ye rishtey .. waqt-guzari hon .. lekin wo rishta ke jis pe aas lagao to dunya hi kia har koi berra paar howey .. haan rishta bana-na hai to US peda kerney waley se kion nahen .. JIS ke haath mein sab kuch hai .. JIS ke dam se sab kuch hai .. to phir kion hasrat ka kashkol liye is faani dunya main bhatakna ..
(by me, A)
(by me, A)
Comment