**Meri nazar bikhar gayee**
kitney pal ka wo intizaar .. ab to yaad bhi nahen .. bas yunhi kharrey kharrey .. jesey beet gayee zindagi .. jesa dhund si koi hat gayee.. barson se hoti baarishon ke baad .. aaj naya saa sooraj chamka ho .. isi aas pe jeetey jeetey kitney baras beet gaye .. kitney rastey bikher gaye kitni chahaten .. lut gayeen lekin TUM NAHEN AAYE .. kion aaj bhi kion naen .. bohat se din bohat se din .. bheegi ruton ki lupait mein .. barasti aakhon ke aansouon ka sahara liye .. khud ko naye khuwaab phir se dikhaney mein .. apney hi dil ko behlaney mein .. apni hi dharrkan toot gayee .. raat ho ya koi din .. barishon ki zad se nikal bhi jaaye to .. tez dhoop bhi chubhney lagti hai .. wo qarar subh ki kirnon ka .. hi kho giaa.. ya intizaar ki har gharri .. intizaar ka har pal .. merey gird wo daiyera khench gia ke jo kaali aandhyon mein dooba.. bina har rang .. bina khushboo .. mujhey dasney lagay .. har simt dhoondtey dhoontey tumhen ... meri nazar bikhar gayee.. anhyaron ki wo karri hai .. ke har girah itni mazboot jo na torr sakey aik bhi bal .. ke subh ki kirnen mehak saken .. terey intizar main haan terey intizaar mein .. meri nazar bikhar gayee...
by, me (A)
bohat dinon baad.. kuch likha hai .. dono kesa hai .. lets see .. aap log kia kehtey ho ..

Comment