tu ne khud hi to kaha thaa.. ke tu be-wafa hai .. ab bata kese aietebaar ho teri wafa pe ..zindagi ik musalsal aazmayesh .. imtihaan na banaa.. kuch pal chain se jeeney ka aasra to ho .. koi umeed to ho .. baat be baat teri dharrkanon ko gumaan ho ke tu mera nahen .. aur ik lamha ba'ad tera dil mujhey paaney ko dharrkey .. zindagi tu hi bata .. kesi hai ye wafa kesi hai ye mohabbat ik musalsal aazmayesh ka shikaar kab se hoon .. yaqeen bhi hai aur kuch .. be yaqini bhi chaney lagi hai .. aaj koi chehra haseen dekha to us ka dil badalney laga .. usey gumaan hua ke main us ke liye nahen .. wo uljhan mein kehta hai aksar ... kia ham ik doojey ke liye hein .. ?? kia ye rishta yaqeeni hai ... zindagi tu hi bata kis ka intizaar hai .. kesi ye dil mein tak-raar hai .. kia naam doon mohabbat ke is pal ko jis main mujh ko bar-ha us ka dil rad kerey ... zindagi tu hi bata .. maut se pehley merna kesa lagta hai ... aur phir har roz marna kesa lagta hai .. kia wafa hai kia mohabbat .. dil .. is qadar uljhan main hai .. ke wehshaton ka hai samna .. aankhon ko koi manzar kabhi bhata hi nahen hai .. aur kabhi .. dunya haseen sapna lagti hai .. khuwab afsana ho ke reh gaye hai wafa ke sapney ... kirnon si ujli mohabbat ko kis ki nazar lag gayee hai ... koi faisla to ho dermyaan aar ho ya paar ho .. iqrar ya inkaar to ho ... aie hamdam ab to ye bata .. in uljhanon se kinara kese ho ?? teri wafa pe aietebaar kesey ho ??
by, me (A)
by, me (A)
Comment