bethey huye tanha tanha .. bohat der tak barri door tak sochtey sochtey.. yaad kertey huye... kitni shakhon ki phool patiyon ki zindagi .. aik aanssoo.. bas aik aansoo palkon se chalak ke neem muskaatey gaal ko choo ke note-book ke usi page pe gira jahan soch ka mehwar naam tumhara likh raha thaa... palken jhapkin.. hont muskaaye ... aur khayal ko jhatak bhi diyaa... kuch to kerna hi hai ... saath le ker ya chorr ker .. zindagi ko chalna hi to hai... chalo khuwab- khyaal-kahani ka aanchal chorren is aik aansoo ko phir se behna hai ya nahen... is aik aansoo ki yaad bhula ke phir se jee len .. haan phir se jeee len ...
agar mein gaa doon .. khilona jaan ker mera ye dil kion torr jaatey ho... to aik aansoo peechey chupi aanssoun ki larri ko saath liye ... nadya ki soorat ho jaaye gi naa.. door kinara dhundli aankhen .. lehren kahin baha le jaayen to ... betarteebi aa jaaye gi naa yadon ke jhonkey hawa ka saath liye jis khirrki ke sheeshon pe dastak detey hein... tez lehron se wo khirrki tooot jaaye gi naa... is liye nahen gaoon gi aiesa geet ke jo merey khyaalon ko meri yaadon ko mujh se kisi taur judaa ker ke le jaaye aur ik naya afsurda ehsaas de jaaye .. is aik aansoo ko isi note-book mein .. band ker rahi hoon... haan tumharey naam tumhara khyaal tumhari yaad jab bhi sargoshyon ki soorat merey gird meri tanhayon mein hujoom bhar den gi to isi note-book ko khol ke shayed kisi pal phir se aik aansoo is ki nazar ho jaaye naa... yehi soch ke shakhon ka tootna kalyon ka bikhrnaa kuch aur lamhon mein sochney ko yaad kerney ko chorrey jaa rahi hooon ... isi jagah jahan tumhari yaad ne mujh ko gher liyaa hai ...khush rehnaa jahan bhi rehnaa.. lekin phir se itnaa yaad naa aanaa... ke aik aansoo jab bhi chalkey naam tumhara band honton pe terrap jaaye...
by, me ( A ) :lpop:

Comment