Judaii.. jaaney kahan se raah mein chaltey chaltey.. paoon us simt janey lagey.. jis ka pata nahen.. kuch ho gia shayed.. koi uljhan dilon mei ghar kar gayee... hasti khelti zindagi .. ko .. chehakti khushyon ko kisi ki nazar lag gayee ho jesey. haan judaii ka saath ho gia hai .. lekin waqt beetey dinon ki guzrey lamhon ki chadar orhey phir saamney yun aa jata hai ke apni aankhen aiesey roney lagti hain jesey murey huwon pe dunya ban kerti hai. mushkil hai naa.. maazi ke har pehloo se yun bach ke chalna khud ko dhoka detey detey manzilon ke dermyaan hayal ho jaati hai judaii kabhi beetey huye kal aur aaj ke dermyaan to kabhi tootey huye dilon ke dermyaan ban ker koi gehra zakhm sama jaati hai judaii aur yaad ka aanchal orhey kabhi kabhi aankhon ko rulaney ke wastey .. phir se kisi faislay mein kisi baat main zakhm ban ke chaa jaati hai beeta kal yaad dilaati hai judaii... haan judaii .. dharkanon ke dharakney se dharkanon ke saakit ho jaaney mein .. hayal ho jaati hai judaii
ehsaaas kabhi aansoo kabhi pachtawon ka le ker chaa jaati hai judaii .. kabhi koi yaad bhi nahen .. lekin gehraa sannata ban ker dil se nikley labon pe bikhrey motyon se lafzon ke dermaayn bhi haayl ho jaati hai Judaii ...
lekin.. haqeeqat ka roop hai ye judaii .. isey le ker chalen mehsoos karen ro bhi den aur na bhi royen tab bhi to hayal honi hai .. boat si rahon ke dermyaan ye judaii..
by, me (A)

Comment