Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Urdu

    As'salam O Alaikum,

    Kehtey hain k saqafat kisi qoum ki pehchaan howa karti hai... mazhabi iqdaar sey zayada jugrafiyaai halaat saqafat per asar undaaz hotey hain..... humari saqafat ....

    saqafat main jahan aur kai cheezain aati hain ... jin pe koshish karain gai k behes ki jaay ... aik sab sey aham cheez hoti hay "Zaban" .... Urdu Zaban humari saqafat ka hissa hay ... duniya ki aik bari zaban jisey bari bari universities main parhaya jata hay .... wo zaban jis nay Ghalib, aur Faiz ko paida kya .... wo zaban jis nay Sir Syed aur Ashfaq Ahmed paida keye ... wo zaban aaj kaheen kho gaii hai.... Humari mojoda nasal apni zaban pe fakhr karne k bajaay usey bolna qabil-e sharm amar samajjhti hai.... daftari umoor main angraizi ko qabiliyat ka maiyaar samjha jane laga hay .... Wo zaban jis main Insha ki nazmoon ki mithaas hai, Meera Jee k naghmoo.n ka tarannum usey bhulaya ja raha hai .... kyu ?

    Hindustaan main ye zaban janmi ... pali barhi ... per wahan is zaban k saath sotela solook rawa rakha gaya .... isey mehez musalmanoo sey mansoob kya jane laga .... aur ye firqa parastiyat ka shikaar ho gai ya yoon keheye k nisf sadi sey upper ye is ka khamiyaza bugat rahi hai ... per hum Pakistani jo isey apni qoumi zaban mantey hain kehtey hain ... is sey daman kyu katratey hain ...

    mana k irtaqa aacha amal hay ... zaban bhi irtaqai marahil sey guzarti chali aa rahi hai per aaj Urdu jis maqaam pe khari hay kum az kum us sey mujhe tu bohat takleef hoti hay .... humari nasal jo Urdu bolti hay wo na Urdu hoti hay na Angraizi .... Khuda jane kya garbar ghotala banaya hota hay .... Angraizi bolna buri baat nahi .... per badeshi zaban ko apni zaban pe tarjeeh dena koi qabil-e fakhar amal bhi nahi .... kya humari zaban itni buri hay k jise hum boltey hoe sharmain.... is sab ka zimedaar aik tu humara taleemi nizaam hai ... jo kale Angraiz paida karne ki jadojehd main laga howa hay ... aur dosrey maan baap ka undaaz -e fikr hai .... jo shru sey hi Urdu ko ghar ki londi samajh k pas-e pusht dale hotey hain aur mazameen pe bher pur tawajja dilatey hain....

    kya ye humarey leye lamha-e fikr nahi ? kya humari shanakht khatrey main nahi ? kya ye alamiya nahi k hum apni shankht sey sharmatey hain ?



    jis tarha bhi rahey isko tu yahee.n rehna hay
    hum ko Urdu k hareefoo.n sey yehi kehna hay
    apni tehzeeb ko sansaar main ruswa na karo
    yaani Urdu ko mitane ka irada na karo
    apni pagri ko uchala nahi karte logo
    ghar sey beti ko nikala nahi kartey logo

    na miti thi, na miti hey, na mitey gi URDU


  • #2
    Re: Urdu

    Sorry Dosto meray inpage software mei kuch masla hogaya hai isliye roman urdu mei post kiya hai jaise inpage kaam karna shuru karega inshallah mei isay edit kardoonga...

    Comment


    • #3
      Re: Urdu

      AOA,


      Aap ki baat baja hai lakin ye bokhar har jaga mojood nain hai asal main aj english kon si theek boli jati hai uss ki tangain b angraiz toor rahye hain aur pak main chand loog hain jo angraizoon ki copy karte hain sab ahse nain hain ziyada tar loog apne komi zuban ko tarje daite hain:)

      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #4
        Re: Urdu

        Assalaaam o alekum,



        junaid bhai bahooot khoob bahoot hi talkh aur haqeeqat baat kahi aapnien , pataa nahin humien kya hootaa jaa rahaa hai ke hum khud ko iss behtreen aur mohazzib zabaan se door kertey jaa rahey hain jabke iss zabaan mien jitni mithaas jitnaa pyaar jitnaa khaloos hai utnaa kisi zubaan mien nahin yeh lamhaa ghaur o phikr kaa hai shukriya humse share kernien kaa khush rahien
        Attached Files
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment


        • #5
          Re: Urdu

          Aha nice Sach Urdu ik shairi or adaab ki zuban hay :rose
          http://www.genericviagra2015shop.com/

          Comment


          • #6
            Re: Urdu

            nice thnaks for shairing....
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment

            Working...
            X