Aaj seeney mei ajeeb si ghutan, dil mei ajeeb si bechaini hai .... mera dukh, meri tanhayi sab mere hi liyeh hain aakhir.... magar kab tak inhein seeney mei liyeh ghut'ti rahoo, dil chahta hai is char deewari se dour, kahin khuli fizaon mei, khuley asman taley ja ker jee bhar ker raou'n aur roti jaoun jab tak dil halka nahi hota ...
kash aisa mumkin hota.... kash ek baar dil khol ker phoot phoot ker ro leti ....... kainat ka zara zara meri aah sunta, yeh fizaein mera dukh mehsoos kerti, yeh hawaein mujhe thapkian dai ker behlati, yeh mosam merey sath chand ansu bahatey .....to shayed dil halka ho jata, seeney se yeh ghubar kam ho jata, to shayed teri yadon ek hisar se nikalna mere liyeh aasan ho jata, ......... magar taqdeer ka yeh bhi sitam hai ke aisa mumkin nahi, tera pyar bhi dil mei tha aur ab tera dukh bhi seeney mei chupayeh rakhna hai .... jism mei sanson ki tarah, dil mei dharkan ki tarah, rago'n mei behtey khoon ki tarah ab tumhari yaadein mujh mei sama chuki hain .... in se farar chahoun bhi to kaisey paoun..... magar shayed ek hi rasta hai ke teri yadon se farar paney ke liyeh mujhe taqdeer ko shikast dai ker sada ke liyeh ek meethi neend sona parey ga .............

Comment