:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
موت زندگی دیتی ہے
Collapse
X
-
Re: موت زندگی دیتی ہے
Khatma, Dukh, Museebat, Tragedy, Loss, Na'umeedi, Akela'pun, Judaayi, Khouf, Qabr....
Jis ne dunya ko apna sub se barra maqsad banaya Mout ka naam suntey hi us k zehan mai ye saarey khouf'naak ma'eney ajatey hain...Mout ka aik alag hi khouf hota hai aisey logo k liye kyunki Mout un ki ye Xindagi khatam karta hai jis k wo aadi hochukey hain, Kyunki Mout unheiN us dunya mai abdi Xindagi guzarney la jata hai jis mai khush rehna hai ya ghum'geen kuch patta nahiin hota, Mout Khouf'naak hoti hai kyunki Mout ka matlub hai Alah k saamney kharrey hona or apni ghaltiyoon par kaf'e'afsos malna , koi mouqa na hona un ko sudharney ka...
Par saath hi ye aik musalma haqeeqat bhi hai k Mout Rehmat hai..k agar ye log martey nahiin tu aj Namrood or Firo'n jaisey zaalim najaney kitna zulm dhatey ..or kitney mazloom bus sirf siskiyaan letey reh jatey...
Dar'haqeeqat Mout xindagi ka match khatam honey par bajney wali seeThi hai ...Mout Jid'o'Jehad or amal k khatmey ka naam hai..Mout ibtidaa hai apney a'maal ki no'iyat k mutabiq saza or jaza pa kar Abdi chain, Abdi khushi ya Abdi azaab paaney ki..
Ma'af keejiye ga Baniaz G kuch zyada hi likh diya...Kya hai na jub bhi Xindagi k khatmey ki baat hoti hai tu zehan or haath rukney ka naam hi nai letey..or yahi shayad sahee bhi hai ..or kyun na ho akhir hum Is Dunya ki sub se barri haqeeqat ki baat kar rahey hian
Khush rahye..........................!!!!!
Comment