Mera Iqrar-e-mohabbat
Jee haan aaj main thefire1 i.e. Mohammad ALI
sar-e-mehfil apna iqrar-e-wafa karna chahta
hoon iss choti see kahani kay zaryey, ummed
hay kay aap kay zehnoon per iss ka asar
barsoon rahay ga :lol
Yeh unn dinoo ki baat hay jab main nay ussay
pehli baar aik Departmental store main
dekha, uss kay khoobsurat wajood nay jaisay
mujhay dewaana saa bana dia, meray dost nay
sargooshi kii kay kitni slim hay na yeh aur
main uss sargooshi main apnay mustaqbil ko
talash karnay laga.... usskay paas jaa kar
main apnay aap ko kuch dair tak iss duniya
say door samajhnay laga... uski awaaz jaisay
meray wajood main bass see gayi aur mera jee
cha raha tha kay main iss awaaz ko sunta
rahoon, uss nay chand lamhoon main meri iss
tareekh zindagi main rang hi rang bhar
diye.....
Main nay uss ko paanay ki thaan lee aur
apnay abbu say uss ki baat ki, abbu nay
foran daant dia yeh keh kar kay baita itnay
ounchay khuwaab mat dekhoo, apni auqaat main
rahoo..... dil nay kahan maanna tha, foran
PEGHAM kay member ka woh shair yaad aagaya
Maana kay dil lagana buri baat sahii
Ab dil hi naa manay tou kia karay koi
Foran ammi kay pair paRR gaya kay MAA please
mujhay woh chayeh aur kisi film kay
dialougue ki tarah jazbaat main behtay huway
keh gaya kay "agar mujhay uss ka saath na
mila tou main marr jayoon ga".... Maa nay
fart-e-jazbaat say mujhay seenay say laga
liya aur meray Abbu kay aagay zidd kar dii
aur bilaakhir abbu ko hum dono ki zidd kay
aagay ghutnay taiknay paRay......
Aaaj woh meri zindagi main hay aur main
bohat hi ahtimaam say apnay 32" LG Slim TV
full HD" kay saath world cup 2011 dekh raha
hoon.

Comment