Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil or Dimagh ki laRayii..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dil or Dimagh ki laRayii..!!!

    Dunya kabhi humein aisey lamhey dikha detii hai jis main aankhein num hojatii hain, laikin agley lamhey phir muskurahaT humarey chehrey par saj jatii hai..or aansuu ghayab hojatey hain, aik pal k ghamooN ko doosrey pal ki khushiyaaN door kar detii hain..
    Jaisey is dunya main har cheez ka naqeez moujood hai...jaisey Dukh or Khushi, Xindagii or Mout, Khair'o'Shar, Achayii or Burayii,Muhabbat or Nafrat...mujhey apney ander bhi aisii do cheezein miltii hain jin ki apas ki larrayii ne mujhey thaka diya hai...Mera Dimagh or mera Dil..

    Jis ne kabhi in donoo ki larrayi na dekhi ho usey ye topic buhut hi boring lagey ga....laikin jis ne kabhi ye larrayi dekhi ho wo merey dard ko samjhey ga...haqeeqat or khwaab main larrayii k dard ko..

    Mera dil...is ne meri rooh, merey zameer par qabza kar rakha hai, tu yahi hai jo mujhey raasta dikhata hai...isi ki wajah se mujhey andherey raastoon par chalna parrta hai...aisey kaantooN bharey raastooN se guzarna parrta hai jin main sirf dukh or dard hi hotey hain...

    Kuch ehbaab ne jub merii ye halat dekhi tu mujhey buhut Toka k dil ki baatein sun'ney se....magar mera jawaab ye raha...Mera dimagh mujh se logooN ki muhabbat cheen le ga..jub keh mera dil mujhey logoon ki muhabbat bakhshta hai...tu acha yahii hai k ye dimagh sota rahey..

    Muhabbat tu xinda rahi or main saaf niyat se apney sachey dil ki itiba' kartii rahii..laikin us k baad kiya howa??merey TukRey TukRey hogaye...main sub kuch haar gayii..apney aap tuk ko haar gayii...
    Us waqt merey dimagh ne aa kar merey zameer ka darwaza khaTkhaTaya..or ijazat maangii ander aney ki...
    Kitnii baar main ne us ko Taalney ki koshish kii or jo wo kehta us k ulaT hi kartii laikin us waqt mujhey us par kuch kuch yaqeen aney laga or usi waqt mujhey dimagh or dil dono se mil kar sochney ki ehamiyat ka andaza howa...or jub mujhey ye ehsaas howa k khush xindagii tu dimagh or dil donooN se ji jatii hai....tu main ne apney dil se poocha Kyun akhir Kyun Merey dil tum ne merey dimagh se baghawat kii???Kyun aye dil tum ne mujhey mayoos kar diya???Agar nizaam aisa hi banaya gaya hai tu kyun hamara dil aksar humein aisey moqif main la khaRa karta hai jahan dimagh k khilaaf jana parrey????

    Main kya karoon???Kya karooN........Dil se baghawat ka ai'laan???kyunki dil or dimagh ki is larrayi se waqif nahiin wo meri ye halat dekh kar ..meri baatein sun kar merey baarey main ghalat gumaan karney lagta hai...

    Mujhey lagta hai dil or dimagh donooN ko mujhey apni nafs se be'dakhal kar dena chahye...k kahiin aisa na ho in donooN ki laRayii main merii Rooh kuchal di jaye...meri taqat ,Quwat or bardasht bus in ki wajah se khatam honey ko hai..is liye jald hi kuch karna hoga in ka....

    Mera dimagh mujh se ye mutalba kar raha hai k apney khwaab ko apney dil se nikaal do ...or ...mera Dil mujhey usii khwaab main jeeney ki raghbat dey raha hai..
    Mera dimagh tu meri baat maan bhi ley ...magar mera dil buhut ziddi hai...bilkul aik pagal samundar ki tarah...tu kya behtar hai??k mera dimagh mera saath choR dey tu main pagal hojaon??ya dil saath choR dey tu main mar jaoN???
    DonooN main sey aik k baghair bhi guzara mushkil hai...agar main apney dimagh ko chun looN tu sub jo maiN chahooN paa looN magar sub se azeem shay "DoosrooN ki Muhabbat" kho dooN gi..or agar apney dil ko chooT doon tu sub ki muhabbat tu paa looN magar or buhut kuch kho dooN gi..or maiN yahiiN apnii jagah par baiThii reh jaon gii or merey aas paas sub kuch badal jaye ga...sub buhut agey chaley jayein gey or main..............main kahaN jaon gii?????
    Tu dimagh ka dil k baghair guzara nahiin jo usey meeTha bol or husn'e'salook sikhata hai..or na hi dil ka dimagh k baghair guzara mumkin jo usey seedha raasta dikhata hai...So dimagh or dil aik doosrey ko poora kartey hain.....
    "Khush'qismat hain wo jo donooN ko ikhaTha paa chukey"

    *******************
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Dil or Dimagh ki laRayii..!!!

    ek aur khubsurat tehreer waqayee dono ki jng bohut skht hoti hai, bohut kmm he kisi baat p iktifa krte hain....

    Comment


    • #3
      Re: Dil or Dimagh ki laRayii..!!!

      pasand karney ka shukriya...
      .......................!!!!!

      Comment

      Working...
      X