Yeh dunya bhi kitnii ajeeb hai or is main rehney waley bhi..Ap ko is main khushiyoon ki rangeen tasveerein bhi dikh saktii hain or ghum or dukhoon ki be'rung tasweerein bhi..
Jaisey hi ap kisi sey baat kartey howe keh detey hain.."Kyun ya Kaisey"..wo ap ko apnii kahanii sunana shuru kar deta hai..Kahanii..jo k shuru hi se buhut dard'naak lagtii hai..us ka dard chehray par saaf nazar ata hai..us ka har lafz dukh ki aik dastaan bayaan kar raha hota hai..Har aik k zehan main sirf yeh baat hoti hai k shikwey shikayatein karney ka haq sirf usey hi hai or us k ird'gird k logoon ka kaam hai sirf sun'na..Beemaar honey ka haq sirf usey hi hai or us k ird'gird k logoon ka kaam hai sirf us k liye dawa dhoonDna..sirf us ka haq hai roney ka or us k ird'gird k logoon ka kaam hai us k ansoo ponchna..
Aisa lagta hai k yeh khud'gharzii hai magar jahan aag lagii hoti hai jalan bhi waheen hotii hai..
G haan us ka haq hai k wo apna dard bayaan karey..nikaaley apney dil ki bhaRaas..apnii rooh ki takleef lagoon ko bhi dikhaye..
Laikin saath hi usey ye bhi jan'na hoga k is dunya main or bhi log hain jo us se zyada takleef main hain..Agar is ne kisi apney ko khoya hai tu kisi or ne sabhi apney khoye hain,,agar issey kisi dost ne dard diya hai tu kisi or ko us k apney khoon ne dhoka diya hai..agar isey koi beemaarii hai tu kisi or ko is sey bhi zyada beemaariyaan hain..or isey yeh haqeeqat man'nii hogii k yeh dunya kisi k liye bhi jannat nahiin bun saktii..agar bantii tu Anbiya(alaihim'is'salam) k liye bun jatii..
Usey apney dukh dard or takleefoon ko apney raastey ka chiraagh banana hoga..tabdeel karna hoga khud un ko khushiyoon main..bharney hoon gey usey apnii xindagii main umeedoon k rung..
Yeh kehna seekhna hoga...

"Main dosroon se kahiin zyada behtar hoon"
Comment