Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mushkil magar Mumkin..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mushkil magar Mumkin..!!!

    Kitna mushkil hai hansna us waqt jub ap k ander k zakhm ap ko kaaT rahey hoon..
    Kitna mushkil hai muskurana or ap k aansoo bus behney hi waley hoon..
    Kitna mushkil hai us shakhs se muhabbat karna jis ko ap ki muhabbat ka pata hi na ho..
    Kitna mushkil hai us shakhs ki yaad main jeena jo ap ki ghair'moujood'gii main ap ko dhoka dey raha ho..
    Kitna mushkil hai kisi sey muhabbat karna jab keh wo ap ko zakhm dey raha ho..
    Kitna mushkil hai us shakhs ko bholana jis ko ap buch'pun se chahtey hoon..
    Kitna mushkil hai k kisi sey ap pyaar karein or qismat ap ko us sey juda karey..
    Kitna mushkil hai us shakhs ko khona jo ap ka har khwaab ho..
    Kitna mushkil hai waqt guzarney k baad nidamat mehsoos karna..
    Kitna mushkil hai anjaney kul se umeedein lagana..
    Kitna mushkil hai apney tamaam khwaaboon ko apney saamney TooT'tey dekhna..
    Kitna mushkil hai dard ki shid'at sey mout ki tamana karna..
    Kitna mushkil hai us shakhs ki mout ki khabar sun'na jo ap ki xindagii ho..
    Kitna mushkil hai k waqt ap ko wo karney par majboor karey jis ka ap ne kabhi tasawur bhi na kiya ho..

    Hamarii xindagii main aisey bhut se kaam hain jo mushkil hain, Insaan un ka tasawur bhi nai kar sakta..laikin ye wo mawaqif bun jaatey hain jin se humein baghair inkaar kiye guzarna paRta hai..Kyunki Insaan us waqt agar jhukney sey inkaar karey tu TooT jata hai..
    Or us waqt hum himmat haar kar yeh keh detey hain k "Yeh tu hamarii taqdeer hai or is k agey hum kuch nai kar saktey"..
    Maantii hoon k jo kuch hamarey saath hota hai wo taqdeer hi hai..magar taqdeerein badaltii bhi tu hain..Dua'oon sey..or dua'oon main taseer Rab par Eemaan sey atii hai..
    So sub mushkil zaroor hai magar na'mumkin kuch bhi nahiin...
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

    100% right.
    Ehsaas Aik Aysi Ne'mat Hai, Jissey Mil Jaaye Vo Azeem

    Comment

    • #3
      Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

      good post.... aapne apne sawal ka bohat hi behtareen jawab de dia... Taqdeerein badalti hain sirf duaon se... so humain koshish karni aur aur uss ke sath dua bhi karni chahiyay... iss ke baad jo hoga woh ALLAH ki marzi hai

      Comment

      • #4
        Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

        Originally posted by Raniya View Post
        Kitna mushkil hai hansna us waqt jub ap k ander k zakhm ap ko kaaT rahey hoon..
        Kitna mushkil hai muskurana or ap k aansoo bus behney hi waley hoon..
        Kitna mushkil hai us shakhs se muhabbat karna jis ko ap ki muhabbat ka pata hi na ho..
        Kitna mushkil hai us shakhs ki yaad main jeena jo ap ki ghair'moujood'gii main ap ko dhoka dey raha ho..
        Kitna mushkil hai kisi sey muhabbat karna jab keh wo ap ko zakhm dey raha ho..
        Kitna mushkil hai us shakhs ko bholana jis ko ap buch'pun se chahtey hoon..
        Kitna mushkil hai k kisi sey ap pyaar karein or qismat ap ko us sey juda karey..
        Kitna mushkil hai us shakhs ko khona jo ap ka har khwaab ho..
        Kitna mushkil hai waqt guzarney k baad nidamat mehsoos karna..
        Kitna mushkil hai anjaney kul se umeedein lagana..
        Kitna mushkil hai apney tamaam khwaaboon ko apney saamney TooT'tey dekhna..
        Kitna mushkil hai dard ki shid'at sey mout ki tamana karna..
        Kitna mushkil hai us shakhs ki mout ki khabar sun'na jo ap ki xindagii ho..
        Kitna mushkil hai k waqt ap ko wo karney par majboor karey jis ka ap ne kabhi tasawur bhi na kiya ho..

        Hamarii xindagii main aisey bhut se kaam hain jo mushkil hain, Insaan un ka tasawur bhi nai kar sakta..laikin ye wo mawaqif bun jaatey hain jin se humein baghair inkaar kiye guzarna paRta hai..Kyunki Insaan us waqt agar jhukney sey inkaar karey tu TooT jata hai..
        Or us waqt hum himmat haar kar yeh keh detey hain k "Yeh tu hamarii taqdeer hai or is k agey hum kuch nai kar saktey"..
        Maantii hoon k jo kuch hamarey saath hota hai wo taqdeer hi hai..magar taqdeerein badaltii bhi tu hain..Dua'oon sey..or dua'oon main taseer Rab par Eemaan sey atii hai..
        So sub mushkil zaroor hai magar na'mumkin kuch bhi nahiin...

        Absoultly Correct...:thmbup: I agree..

        Lykin insaan ku her haal main Allah per bharoosa rakhna chahye...chahe azmaish ka samna ho ya na ho.

        Allah Quran main farmata hai: "Aur jab insaan per koi azmaish parti hai tu lambee chooree duain mangnay lagta hai mager jab yeh azmiash Allah k fazal say utha lee jatee hai aur uss ki jagah uss ku koi nemat ata ki jatee hai tu akrnay lagta hai, beshak insaan apnay rab ka bar naa shukra hai." (Al-Quran).

        "Ay meray rab main tujh say panah mangta hoon, sakht azmaish say, buree taqdeer say, buray faislay (decision) say, aur logoon ke tanz -o-tashnee say" (Mutafiq Alhe-Bukhari / Muslim bab-ud-dua).

        Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

        Comment

        • #5
          Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

          Bohat Sach Likha Aap Ne Gurriya Rani!
          Aur Khud Kahi Hooi Baaton Ka Jawab Bhi
          De Dia...Asal Main Inhi Nasheb-o-Fraaz
          Ka Majmu'aa Zinddagi Kehlata Hay....:rose
          Bohat Saari Duaain Aap Aur Aap Se Wabasta
          Har Shakhs Ke Liey.....May Allah Bless You Always!
          :oldie:
          S T I L L W A I T I N G
          sigpic

          Comment

          • #6

            belkul theak baat ke hai app ney... wakey he behoot sey kam aaty hain jin ka insan ney socha b nehi hota aur asy sab kamoon main sab sey mushkil waqat wo hoti hai jab koi app ka apna khass app ko choor ka khamesha k lea chala jata hai achanak aur asy waqat per app kush be nehi kah sakty aur na kar sakty hain.....

            ab akhri baat app ke k Dua sey taqdeer badali ji sakti hai ji haan badli ja skti hai lakin jo hakeqat uper byan ke hai main ney us hakaqat ko koi be dua nehi badal sakti wo jo waqat ha wo nehi badla jasakta...

            baki raniya g app ke 2,3 tahreir peri hain belkul hakeqat lekhti hain app likhti rehain asy he behoot acha laga app ke tahreir per k:rose
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

              theek kehti ho dear

              Comment

              • #8
                Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                u r 101% right...
                میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                Comment

                • #9
                  Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                  Originally posted by BANJARAH View Post
                  Bohat Sach Likha Aap Ne Gurriya Rani!
                  Aur Khud Kahi Hooi Baaton Ka Jawab Bhi
                  De Dia...Asal Main Inhi Nasheb-o-Fraaz
                  Ka Majmu'aa Zinddagi Kehlata Hay....:rose
                  Bohat Saari Duaain Aap Aur Aap Se Wabasta
                  Har Shakhs Ke Liey.....May Allah Bless You Always!
                  Originally posted by AbgeenA View Post
                  theek kehti ho dear
                  Originally posted by *pIoUs FaIrY* View Post
                  u r 101% right...
                  جزاكم الله
                  .......................!!!!!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                    Originally posted by Muhammad Ali Jawad View Post
                    Absoultly Correct...:thmbup: I agree..

                    Lykin insaan ku her haal main Allah per bharoosa rakhna chahye...chahe azmaish ka samna ho ya na ho.

                    Allah Quran main farmata hai: "Aur jab insaan per koi azmaish parti hai tu lambee chooree duain mangnay lagta hai mager jab yeh azmiash Allah k fazal say utha lee jatee hai aur uss ki jagah uss ku koi nemat ata ki jatee hai tu akrnay lagta hai, beshak insaan apnay rab ka bar naa shukra hai." (Al-Quran).

                    "Ay meray rab main tujh say panah mangta hoon, sakht azmaish say, buree taqdeer say, buray faislay (decision) say, aur logoon ke tanz -o-tashnee say" (Mutafiq Alhe-Bukhari / Muslim bab-ud-dua).
                    G ap ne bilkul sahee kaha...Har haal main Rab ko yaad karna chahye...

                    Wo kehtey hain na..Insaan har haal main azmayish main hota hai..Gham main sabar ki azmaayish or khushi main Shukar ki...

                    ALLAH har azmaayish main kamyaabii dey...Ameen...

                    جزاك الله
                    .......................!!!!!

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                      Originally posted by shahid_naman View Post
                      belkul theak baat ke hai app ney... wakey he behoot sey kam aaty hain jin ka insan ney socha b nehi hota aur asy sab kamoon main sab sey mushkil waqat wo hoti hai jab koi app ka apna khass app ko choor ka khamesha k lea chala jata hai achanak aur asy waqat per app kush be nehi kah sakty aur na kar sakty hain.....

                      ab akhri baat app ke k Dua sey taqdeer badali ji sakti hai ji haan badli ja skti hai lakin jo hakeqat uper byan ke hai main ney us hakaqat ko koi be dua nehi badal sakti wo jo waqat ha wo nehi badla jasakta...

                      baki raniya g app ke 2,3 tahreir peri hain belkul hakeqat lekhti hain app likhti rehain asy he behoot acha laga app ke tahreir per k:rose
                      Buhut shukriya passand farmaney ka...

                      Sahee kaha dua' taqdeerein tu badaltii hai magar kisi ki mout ko rok nahii saktein...
                      Bhaijaan asal main taqdeer badley na badley dil sey agar Rab par emaan rakhtey howe dua' kii jaye..Sakoon zaroor milta hai...or yehii har mushkil ka samna karney ki himmat deta hai...
                      Allah hamarey eemaan ko foulaad ka sa mazboot banaye...Ameen..
                      .......................!!!!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                        Originally posted by Raniya View Post
                        Wo kehtey hain na..Insaan har haal main azmayish main hota hai..Gham main sabar ki azmaayish or khushi main Shukar ki...

                        ALLAH har azmaayish main kamyaabii dey...Ameen...

                        جزاك الله
                        Jazak Allah ! (Aamin ya arhmer rahemin)

                        Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                          Assalaam-O-alaikum WR WB

                          Itna kuch sab nay keh dia iss tehreer ki tareef main tou mujhay alfaaz sooraj ko dia dikhanay kay mutraadif lag rahay hain, magar choonkay tareef kiye baghair raha bhi nahin jayay ga iss liye bayan karta chaloon kay aap nay bohat hi khoobusrati say INSAAN ki azmaish aur ALLAH per tawakkul ko bayan kia hay, har ze-feham insaan har haal main srif ALLAH SWT per hi tawakkul karta hay aur jaanta hay kay acha hooo yaa bura sab hi ALLAH SWT ki taraf say hota hay....

                          Magar zindagi main woh kuch naa paa kar jiss ki insaan tamanna kar raha hota hay tou aisi situation ussay udaas kar daiti hay magar MAYOOS nahin.... humain yehi sochna chayeh kay shayed hum ko uss say kayi behtar cheese mil jayay jiss kay khoonay per aaj hum ashkbaar horahay hain!!

                          Likhti rahyeh, bohat acha likhti hain aap, khush rahyeh

                          Fi amaan ALLAH
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                            Originally posted by thefire1 View Post

                            و عليكم السلام و رحمة الله
                            bhaijaan aik baar phir aj ap k samney hum kuch nai bolein gey...:)

                            siwaye JazakAllah k..
                            .......................!!!!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mushkil magar Mumkin..!!!

                              Originally posted by Raniya View Post
                              Buhut shukriya passand farmaney ka...

                              Sahee kaha dua' taqdeerein tu badaltii hai magar kisi ki mout ko rok nahii saktein...
                              Bhaijaan asal main taqdeer badley na badley dil sey agar Rab par emaan rakhtey howe dua' kii jaye..Sakoon zaroor milta hai...or yehii har mushkil ka samna karney ki himmat deta hai...
                              Allah hamarey eemaan ko foulaad ka sa mazboot banaye...Ameen..
                              :rose
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X