Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Azaad Qaidii..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Azaad Qaidii..!!!

    السلام عليكم و رحمة الله

    taqreebun do saal bad aj aik baar phir apney qalam ko harkat dii hai..Umeed hai dil sey likhii howi is tehreer ko ap passand karein gey..


    "Wo bey'hosh hogaya..apney hawaas kho diye..dunya se door chala gaya..

    kisi beemaari ki wajah se nahiin..balkey bijlii ka jhaTka lagney sey..Us k zakhmooN par namak chiRka gaya..taakey usey yeh ehsaas ho k aag us k jism ko kha rahi hai us ki ragooN ko cheeR phaR kar us ki xindagii us sey cheen rahi hai..Do goliyaan us k ghuTnoon main daghii gayein..or phir foujii boots sey unhein itna dabaya gaya k wo us ki haDiyoon main sarayat kar gayein..ZanjeerooN ne us k jism par naqsh pukhta kar liye hain..Us par Thanda paani daala gaya sakht sardii main Fajr k waqt jub wo neem'barhana halat main tha..Hunter us Insaan k jism par surkh raastey banata gaya..INSAAN??? Haan Insaan!!! Aik aisa Insaan jis par kuch zimmedaariyaan hain..jis k kuch huqooq hain, kuch Farayiz hain..

    Wo bey'hosh hogaya or doosrii dunya main chala gaya..Jahan us ki biwii surkh JoRa pehney us ka intezaar kar rahii hai..Us ne khud ko apney Maan Baap Behan Bhaiyoon k saath khana khatey dekha..phir wo masjid gaya namaaz parrhney Imaam Sahab sey apney doosrey saathiyoon samait Deen'e'Haneef ki ta'leem haasil karney..Keh achanak zameen phaT gayii or laal rung ka paani poorey josh sey aya or sub kuch baha ley gaya..jo doob gaye wo tu doob gaye or jo bachey wo roney lagey, cheekh'o'pukaar or aah'o'buka karney lagey..Wo soch main parr gaya k kya yeh Ehl'e'Filasteen hain????Usey yaqeen tha k yeh Filasteeni nahiin hain kyunki Filasteeni rotey nahiin hain..balkey DaT kar muqabla kartey hain, Filasteeni jhuktey nahiin, TooT'tey nahiin, Ehl'e'Filasteen ki khoraak tu buch'pun se doodh roTi nahiin balkey Ghairat or shuja'at hoti hai..Ehl'e'Filasteen tu wo hain jin ki ourtein Mard paida kartii hain..BAHADUR MARD..balkeh sirf Ehl'e'Filasteen hi nahiin tamaam ummat'e'muslima ko aisa hi hona chahye..
    Jo jeet ko apney haathooN sey khud banaye..

    Wo jaag gaya..aik baar phir Thandey paani se jo us par kis toofaan ki tarha phainka gaya..or "Kaash wo jaagta hi nahiin" ...Merey khayaal sey wo Israelii fouji us waqt yahii tamana karta hoga..kyunki Us ne jaagtey hi apni taiz nigaahein poori jurrat sey us par daali jo seedhey us k dil ko lagein..JURRAT SEY??? Or wo bhi is halat main??? G haan!!! kyunki wo poori quwat main hai kamzoori ki halat main nahiin..Nahiin tu wo Is ko baand k kyun rakhtey??Wo log itna dartey kyun hain Is sey??Kyun jub yeh so raha hota hai wo bundooq or Rifles le kar is k sar par khaRey rehtey hain??Kyun wo aik lamhey k liye bhi is sey nazarein nahiin haTa paatey??
    Haan is waqt wahan par sub se zyada taqat'war Yahii hai..apney Emaan sey, Aqeedey or soch sey, apney A'zm se Himmat se, Fikr sey, Deen se, KhwahishooN or umeedooN se, apnii manzil or Raastey se..

    Wo log Isey or Is jaisey doosroon ko takleef detey hain yeh soch kar k in k A'zm or soch par ghalib ajayein gey..laikin jub jub in ka azaab baRhta hai in k ander Inteqaam ka jazba bhi baRhta hai..Inteqam har aik se jis jis ne Bait'u'maqdis ki hurmat ko pamaal kiya..Filasteen ki zameen par ghadirana soch le kar qadam rakha..

    Jub in ki takleefein baRhti hain in ki umeedein bhi baRhtii hain..
    Umeed aik roshan subah ki..
    Umeed Fateh ki, Jeet ki, Azadii ki..
    Umeed Zaytoon k darakhtoon par chiRyoon k chehchahaney ki..
    Umeed Lemon k phooloon k khilney ki..
    Umeed Bachoon k un galiyoon main phir se khailney ki..
    Umeed un majalis main barrey buzurgoon k qahwa peeney ki..
    Umeed un k apney dukanoon main baiThey ghar se khaney k liye aney wali "Hummus" or "Taheeniya" ki
    Umeed Masjid'e'Aqsa main baghair kisi bandish or RukawaT k aik sajdey kii...


    Haan yeh umeedein hain us qaidii ko ab bhi..

    Wo qaidii aik din har zanjeer ko, har qaid ko toR kar azaadi se aik shaheen ki tarah uRey ga Filasteen ki fizaon main..
    or yeh mumkin hoga us k a'zm se, Quwat sey, Iradey or bahadurii sey..or bey'shak Allah ki nusrat k baad...

    Insha'Allah wo qaidii aik din azaad hoga...zaroor azaad hoga...
    "
    Last edited by BhaTaktii RooH; 3 May 2010, 19:11.
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Azaad Qaidii..!!!

    اسلام علیکم رانہیہ بہنا ۔
    میں لمبی لمبی رومن تحریروں سے جی چراتا ہوں ۔کیونکہ مجھے ایسا لگتا ہےکہ جیسے میں اردو کو ایک "کھنڈی چھری مطلب دندانوں والی چھری"سے کاٹ رہا ہوں ۔
    لیکن اس تحریر پر تمھار نام دیکھ کر حوصلہ کیا کے رانیہ نےلکھا ہے تو کچھ عمدہ ہی ہوگا ۔اور پڑھ کر میرا اندازہ درست ہوا ۔ننھی سی تحریر میں تم نےبہت کچھ سمو دیا اور اُن فلسطینیوں کے جزبات کی عکاسی کرد ی جو اسرائلیوں کی قید میں اپنے حوصلوں کو اور بھی جوان پاتے ہیں اور اس شعر کی عکاسی کرتے نظر آتے ہیں
    اے ہنر مند آ اپنےہنر آزمائیں
    تو تیر آزما ہم جگر آزمائیں۔
    اللہ جی سے دعا ہے کہ تمام امت مسلمہ کی رگوں میں قوت ایمان تازہ کردیں اور جہاں جہاں بھی مسلمان مشکلات میں مبتلا ہیں تمام مسلمانوں کو ان کے لئے حق کی آواز بلند کرنے کا حوصلہ عطا فرمائیں آمین
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: Azaad Qaidii..!!!

      Walaikum Assalaam

      Bohat khoobusrat aur sabaqamooz tehreer likhi hay aap nay, halat-e-hazra main kiye jaanay waalay mazalim aur haqaiq ki aqaaasi karti hoyee yeh tehreer waqayi qabil-e-tahseen hay.... apnay qalam say issi tarah humaray diloon ko musakhar karti rahyeh aur itna acha likhna aanay kay bawajood qalam say doour rehna achi baat nahin, apnay qalam ka jalwa isi tarah jalwagar karti rahyeh, khush rahyeh.

      Fi amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Azaad Qaidii..!!!

        Originally posted by S.A.Z View Post
        اسلام علیکم رانہیہ بہنا ۔
        میں لمبی لمبی رومن تحریروں سے جی چراتا ہوں ۔کیونکہ مجھے ایسا لگتا ہےکہ جیسے میں اردو کو ایک "کھنڈی چھری مطلب دندانوں والی چھری"سے کاٹ رہا ہوں ۔
        لیکن اس تحریر پر تمھار نام دیکھ کر حوصلہ کیا کے رانیہ نےلکھا ہے تو کچھ عمدہ ہی ہوگا ۔اور پڑھ کر میرا اندازہ درست ہوا ۔ننھی سی تحریر میں تم نےبہت کچھ سمو دیا اور اُن فلسطینیوں کے جزبات کی عکاسی کرد ی جو اسرائلیوں کی قید میں اپنے حوصلوں کو اور بھی جوان پاتے ہیں اور اس شعر کی عکاسی کرتے نظر آتے ہیں
        اے ہنر مند آ اپنےہنر آزمائیں
        تو تیر آزما ہم جگر آزمائیں۔
        اللہ جی سے دعا ہے کہ تمام امت مسلمہ کی رگوں میں قوت ایمان تازہ کردیں اور جہاں جہاں بھی مسلمان مشکلات میں مبتلا ہیں تمام مسلمانوں کو ان کے لئے حق کی آواز بلند کرنے کا حوصلہ عطا فرمائیں آمین
        و عليكم السلام و رحمة الله
        G mazrat k main unicode main likh na paayi..asal main mujhe inpage main likhtey waisey hi barra time lagta hai or phir aj kul aik haath se likhna parrta hai tu isi liye bhi for time saving roman main hi likh diya..
        khair passand karney k liye thanks..Ap ki dua'oon k liye Ameen n JazakAllah..
        .......................!!!!!

        Comment


        • #5
          Re: Azaad Qaidii..!!!

          Originally posted by thefire1 View Post
          Walaikum Assalaam

          Bohat khoobusrat aur sabaqamooz tehreer likhi hay aap nay, halat-e-hazra main kiye jaanay waalay mazalim aur haqaiq ki aqaaasi karti hoyee yeh tehreer waqayi qabil-e-tahseen hay.... apnay qalam say issi tarah humaray diloon ko musakhar karti rahyeh aur itna acha likhna aanay kay bawajood qalam say doour rehna achi baat nahin, apnay qalam ka jalwa isi tarah jalwagar karti rahyeh, khush rahyeh.

          Fi amaan ALLAH
          hamesha ki tarah ap k saamney kuch nai kahoon gii...:)

          sirf JazakAllah...
          .......................!!!!!

          Comment


          • #6
            Re: Azaad Qaidii..!!!

            Tehreer Parh ke Aap Ke Androoni Karb ka Andazah
            Bakhoobi Lagaya Ja Sakta Hay....Magar Kia Kia Jaey....?
            Dua Hay Allah Rabul Izzat Hamain Deen Ki Saheeh Samajh
            Ataa Farmaien....Ta ke Har Musalmaan Apni Zimmah Daari
            Samajh Sakay...Khasoosan Ummat-e-Muslimah Ke Raahnumaa!

            Wohi Jawaan Hay Qabeelay Ki Aankh Ka Taara!
            Shabaab Jis Ka Hay Be-Daagh, Zarb Ho Kaari...!
            :oldie:
            S T I L L W A I T I N G
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Azaad Qaidii..!!!

              Originally posted by BANJARAH View Post
              Tehreer Parh ke Aap Ke Androoni Karb ka Andazah
              Bakhoobi Lagaya Ja Sakta Hay....Magar Kia Kia Jaey....?
              Dua Hay Allah Rabul Izzat Hamain Deen Ki Saheeh Samajh
              Ataa Farmaien....Ta ke Har Musalmaan Apni Zimmah Daari
              Samajh Sakay...Khasoosan Ummat-e-Muslimah Ke Raahnumaa!

              Wohi Jawaan Hay Qabeelay Ki Aankh Ka Taara!
              Shabaab Jis Ka Hay Be-Daagh, Zarb Ho Kaari...!
              JazakAllah Khayal bhai..

              apney ander k karb ko tu main sahee tareeqey se bayaan na kar payii..afsoos rahey ga...
              un qaidiyoon k hum par jo huqooq hain un ko poora karney se waqaee hum qaasir hain...
              Hazoor Pak (salallahu alaihi wassalam) ki wasiyat bhool gaye...(فكوا العاني)
              najaaney youm'e'hashr ko wo hum se kaisa hisaab talab karein gey...or hum kya jawaab dein gey...
              .......................!!!!!

              Comment


              • #8
                Re: Azaad Qaidii..!!!

                Walaikum Assalam...

                me ne perh lia tha - reply is liye nahe kia tha ke mujhe yah sirf aik article nahi laga jis per me "nice sharing" kehta - :$
                to be very honest - jub bhi me is bare me sochta ho to khud ko as a Pakistani gunehgar samjhta ho - kyun ke waha falasteen me musalmano ke pass larne ke liye weapons nahi aur hum World 6th Largest Army liye bethey he - Atomic Power bane bethe he - aur kuch samjh nahi ata ke is ke liye kia kya jae - khud apne ghar ke hi halaat kharab ho to bahir ke halaat ka kise khayal rahta he - lekin haqiqat yeh he ke hum be'his ho gae he - darpook aur mout se darne wale - Allah pe yakeen pukhta nahi ho paraha - dunya me zyada gum ho gae he -

                me such kaho to is situation me kya dua mangni chahie me yeh bhi nahi visualise kar pata - bus itna he dua mangta ho k Allah tamam musalmano per rehem farmae - aur mujhe is qabil bana de ke atleast me apna part play kar sako -

                Comment


                • #9
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Azaad Qaidii..!!!

                    Xeny n Uncle g..Ap donoo ka bhut shukriya..!! Yeh sub jub main dekhtii hoon tu mujhey Mu'tassim Billah ka waqeaa yaad ata hai Un k khilafat k douraan Rome main aik yahoodi k haan aik musalmaan khatoon kaam kartii thein..us yahoodi ne usey thappar mara..us aurat k moun se be'ikhtiyaar awaaz niklii.."Wa Mu'tassimaah"..kehtey hain wo awaaz aik ghar se doosrey ghar aik shakhs se dosrey shakhs tuk jaatey jaatey kayii maheenoon baad Baghda'ur'Rasheed main Khalifa tuk pohonchii..Unhoon ne aik aisii fouj tayyar ki jis k liye wadiyaan kum parr gayein, shehar k shaher choTey paR gaye...or wahan pohonchey or poorey shehar k baaghaat ko aag laga dii gayii...un ki eenT se eenT baja dii gayii..us aurat ko azaad kara k aik ghoRey par biThaya ..or Mu'tassim ne us se poocha k "Behna kya hum ne tumhara Haq ada kar diya" Us ne kaha ..."Allah gawaah hai...Haan"...tub wo wapas loutey... tu yeh they us waqt k muslim hukmuraan...or aj k... Waisey mujhey zyada hairat nai hotii kyunkii yeh sub expected hai...infact main tu or bhi aney waley mazalim k liye mentally prepare honey ki tayyari kar rahi hoon...kyunki abhi tu pathar ka seena phaTna baaqi hai... but yea filhaal tu bus yahii dua' hai jo ap ne kii...
                    Originally posted by Z. View Post
                    k Allah T'ala hamein iss qabil banaye k ham apna best role ada ker sakein
                    .......................!!!!!

                    Comment

                    Working...
                    X