Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Iqbal-e-jurm!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Iqbal-e-jurm!!!

    Assalaam-O-Alaikum

    Aaj bohat dinoon baad kuch likhnay ka dil chaha socha aap sab say share kardoon, ghalti ki paishgi maazrat srif 45 minutes main likhi gayi iss tehreer aik PEGHAM hay jisay samajhna aap sab ka farz hay....!!!

    Aaj main aik aisay shakhs ki kahani bayan kar raha hoon jiss nay khudh apnay jurm ka aitiraaf kia aur hum sab kay liye aik aisa mohima chouR gaya jiss ka hal karna insaniyat ka kaam hay, hum sab ka kaam hay, mera kaam hay jee haan AAP KA KAAM HAY!!!

    Shayed iss nouk-e-qalam say niklay ALFAAZ aap kay dil per asar kar jayain aur unn sahib-e-ikhtiyaar kay jinn kay kanoon tak awaaz tou pouhanchti hay magar sama'ayat say mehroom hain!!

    IQBAL-E-JURM

    Meri umr sola saal ki hay....! chonkiye nahin..... aap soch rahay hoongain kay sola saal ki umr main aakhir mujh say aisa kia jurm sarzad hogaya jiss ka iqbal main sar-e-aam kar raha hoon, sola saal ki umr tou bachpan kay woh suhaanay din hotay hain jab duniyadaari ka bhi hosh nahin hota aur woh kia kehtay hain log, haan....yeh din tou khel kooud kay dinn hotay hain jab paRhayee bhi achi nahin lagti bas din raat dostoon kay saath khel kooud karna, gali mouhallay main circket khelna, tafreeh karna hi sab say acha lagta hay gokay ghar waloon ki daant dapatt aur kabhi kabhaar thik say pitayii hi kiyon na hojayay..... khair main bhi unhi dinoo ka zikar kar raha hoon, meri umar bhi sola saal ki bachkaana umr hay, meray dil main bhi bachpan ki tamam shararatain umadtee thi.....!

    Main Wazirastaan kay aik abaayi gayoon main paida hua, mera baap yahan Islam kay naam per jahad ki khatir Syria kay aik ga'aon say yahan aaya aur russian fouj kay khilaaf jahad main bhaR chaR kar hissa liya, woh aik Arab bashinda tha aur yahan kay musalmanon nay usay yahan panaah dii aur usski himmat aur Islam mohabbat dekh kar meray Naana nay ussay apni beti ka haath daina aik bohat hi fakhar ki baat samjhi haalankay humaray Naana ki biraadri main kisi aur qoum main shaadi karna na-mumkin tha, mera baap iss mahool main ras bas gaya aur humaari hi tarah bolna, khana, peena, uthna, baithna, pehanna, sab kuch seekh gaya aur humaray rasm-O-riwaaj main iss qadar rach gaya kay koi bhi usay ajnabi yaa ghair Pakistani na kahay....!

    Magar achaanak duniya per aik aisi jang musallat hogayi jiss ka shikar musalmaan mumalik huway aur humara apna mulk Pakistan iss jang main sab say aham rukn saabit hua aur dosroon ki jang apnay aap per musallat kar di, meray baap jaisay bohat say jahadi aaj humaray apnay Pakistaniyon ki nazar main dehshat gard kehlaanay lagay aur hukumat nay unn jahadiyon ko nishaana banana shuroo kardiya, iss khoufnaak jang ka shikaar mera baap bhi ban gaya, woh baap jiss nay mujhay srif aur srif Pakistan ki sar bulandi ki talqeen ki, Islam kay naam ko buland rakhnay ki taleem dii aur apni mohabbat aur shafqat say mujhay aik bashao'ur insaan banaya jiss nay mulk-O-qoum ki falah-O-behbood ko apna maqsad-e-hayaat samjha.... magar aisay hi shafeeq aur rehamdil baap ko aaj dushmanoon yaa kafiroon kay bajayay apnay hi Islami bhayion ki gloiyon nay nishaana bana diya aur shaheed kardiya..... abhi hum ghar waalay iss sanihay say nikal nahin paayay thay kay Darwin humlay main meri Maa, meri aath saala masoom behan aur mera sheer khoour bhai bhi iss dunya say chal basay....!

    Zindagi ka yakdam aisa khoufnaak chehra meray liye na-qabil-e-qubool tha, main soch bhi nahi sakta tha kay yakdam mera bachpan kahin khoo jayay ga aur yeh masoom sa bacha aik khoofnaak aur saffaak khudhkash hamla aawar ban jayay ga.....!!

    Jee haan yehi mera Iqbal-e-Jurm hay, main hi woh sola saala bacha hoon jiss nay chand dinoo pehlay apnay aap ko Waziristan ki aik fouji chawni per uRa lia aur apnay saath saath apnay hi mulk kay saat foujiyon ko humesha humesha kay liye sukoon-o-AMN ki neend sula dia jiss AMN ka aaj humaray saath saath poori duniya charcha kar rahi hay!!!
    sigpic

  • #2
    Re: Iqbal-e-jurm!!!

    Cannot Say Anything'
    Heart Is Crying!
    :oldie:
    S T I L L W A I T I N G
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Iqbal-e-jurm!!!

      Shayed mera bhi yehi haal tha jab main nay yeh tehreer likhi!!!
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Iqbal-e-jurm!!!

        im speechless... :(
        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

        Comment


        • #5
          Re: Iqbal-e-jurm!!!

          :(
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Iqbal-e-jurm!!!

            و عليكم السلام و رحمة الله

            bhaijaan kehney ko tu sirf aik bachey ki kahanii hai magar haqeeqat yeh hai k aj yeh wazeeristaan k har doorey teesrey ghar ki kahanii hai...

            dil rota hai aisey waqeaat sun k laikin........

            الله المستعان و عليه التكلان
            .......................!!!!!

            Comment


            • #7
              Re: Iqbal-e-jurm!!!

              ALLAH SWT sab ko apni hifz-O-amaan main rakhay!!! AMEEN
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Iqbal-e-jurm!!!

                beautiful work Ali bahi

                alfaaz nahi hai tareef k laey marey pass
                I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                Comment


                • #9
                  Re: Iqbal-e-jurm!!!

                  Shukriya Hassan, bas sab ko apni duwao'on main yaad rakhain!
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Iqbal-e-jurm!!!

                    Originally posted by thefire1 View Post
                    Shukriya Hassan, bas sab ko apni duwao'on main yaad rakhain!

                    Bahi ko yeh bat kahney key zaroort nahi hai aap bin kahey he meri duaooo ka hisaa hain:dance5:
                    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                    Comment


                    • #11
                      Re: Iqbal-e-jurm!!!

                      :(

                      Comment

                      Working...
                      X