Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*** Zindagi Batiur Qeemat ***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *** Zindagi Batiur Qeemat ***

    ZINDAGI BATOUR QEEMAT


    "Ebaad" aaj phir "sastey damoon milney waley rashan" ki lambi qataar main khara tha... uske dil main hazaron hasratain theen...Aaj phir bey panah shikwey uske labon par machal rahey they..
    Ebaad ko apni factory se chutti karni pari thi magar wo shikayat karta bhi to kis sey...???
    Is mulk se...??? yahan k mu'aziz leaderan sey...??? ya phir apni taqdeer sey...???

    Kya tha jo uske pas nahi tha....??? Taleem....Hunar....Khobsurti.....Sha'oor....Jeney ki umang...sub kuch tha magar barhti huwi mehangai aur deegar majboriyon ney usey yahan laa khara kar diya..
    Haan aik cheez wo is shehar ki afratafri main ganwa betha tha wo thi uski "Zinda Dili" uski "Muskurahat"....Kon louta sakta tha usey uski zinda dili...??
    Kon dey sakta tha usey wo muskurahat jo wo is shehar k dard bharey mahool main haar betha tha...???

    Paseena qatra qatra uske maathey se tapakta huwa uske galoon pa aa gira...wo kisi mujasmey ki tarah us qatar main khara tha...uska dimagh maof ho chuka tha...uski sochain usey "Mazi" ki us haseen wadiyon main ley gain thi jahan sukon bhari zindagi apni bahain phaila kar uska intezaar kar rahi thi....
    Jahan kisi qisam ka shikwa labon par na machalta tha...jahan charon taraf khoshyan theen...
    In sochon sey Ebaad k chehrey par khoshi k asrat numaya'n honey lagey..aisi khoshi jesey wo is qataar main khara apney mazi k lamhoon ko jee raha ho...ye sochain usey taskeen bakhsh rahi theen...uska dil behla rahi theen aur wo khod ko behlaye jaa raha tha magar kub tak...????
    Kub tak wo mazi ki inhi sochon main apni khosyan dhondta rahey ga...???
    Haal main to usey loutna hi tha aur haal bohat takleef deh tha..
    Achanak pas uthtey shor ki awaz sey Ebaad ko apni soch ka tasalsul torna para....
    Kuch log hathon main bandook thamey andha war firing kar rahey the aur in gooliyon ki zad main Ebaad ka wojod mehfoz na reh saka...

    Ebaad ki laash ko "Rashan" sameet ghar pohancha diya gaya...wo is "Rashan" k liye apni "Zindagi Batour Qeemat" dey aaya tha...
    Koun janey uske dil k armaan...uski jaiz khuwahishaat...uski hasratain...???

    Kun they wo zalim log..???
    Kya wo hum main sey nahi they..???

    Kub tak masomon ka qatal sar-e-aam hota rahey ga..???
    Kub tak hazaron khandan k chiragh sar-e-aam bujhaye jaingey...???
    Kub tak log chooti chooti zaroriyaat k liye Zindagi Batour Qeemat chukaingey...???
    Kub tak hum sub khamosh rahaingey...???

    Aakhir Kub Tak...???

    (NOSH)
    Last edited by Cute Ruba; 7 February 2010, 16:33.

  • #2
    Re: *** Zindagi Batiur Qeemat ***

    No Answer!
    :oldie:
    S T I L L W A I T I N G
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: *** Zindagi Batiur Qeemat ***

      wah bohat khoob, bohat hi khoobsurat andaaz aur khoobsuar alfaaz main aap nay humaray maashray ki akaasi ki hay jahan insaaani jaan ki koi qeemat nahin... likhti rahyeh aur apni khoobsurat tehreer say hum sab ko mustafeed karti rahyeh, khush rahyeh
      sigpic

      Comment

      Working...
      X