Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

رشتوں کا قبرستان ۔۔۔ پروفیسر رفعت مظہر

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • رشتوں کا قبرستان ۔۔۔ پروفیسر رفعت مظہر








  • #2
    Re: رشتوں کا قبرستان ۔۔۔ پروفیسر رفعت مظہر

    Assalaam-O-Alaikum mehekk

    Bohat hi khoobusrat tehreer paish ki hay aap nay, paRh kar waqayi insaan kay dheetpan ka ehsaas hogaya, waqayi iss mukhtasir see zindagi main hum jaanay anjaanay kitnay logon say miltay hain, unmain say kuch log humari zaat kay saath mansoob hojaatay hain aur hum unhain apnay dil kay bohat qareeb samjhtay hain aur kuch ki zaat kay saath hum munsalik hojaatay hain, kisi ka ehsaas hum kartay hain tou koi humara ehsaas karta hay, kisi kay liye hum bayhiss tou kisi kay liye hum caring, kisi kay liye hum waja-e-hayaat tou kisi kay liye hum azaab-e-hayat...

    Iss zindagi main kitnay hi rangoon aur rishtoon say guzarta hua insaan pata nahin kis manzal ki talash main rehta hay kay aakhir waqt tak bhi uss ki tishna mizaaji door nahin hoti....

    Bacha hota hay Maa ka saath acha lagta hay, thoRa baRa hota hay tou dost yaar usay ziyada azeez lagtay hain, phir biwi bachay.... yaani kuch bhi zindagi kay har lamhay aur har aik marhalay main insaan KHUDHGARZ hi rehta hay, aur yehi KHUDHGHARZI usskay DHEET honay ki waja hoti hay kay woh talash dar talash aur nayay say nayay rishtoon ki tag-o-dooh main apnay wajood main kitnay hi rishtoon kay QABRASTAAN bana laita hay aur Fatiha bhi nahin paRhta :)

    Aap ka bohat bohat shukriya kay aap nay itna acha likha jiss say itna kuch sochnay ka mouqa mila warna dil kay iss qabrastaan main tou ab Fatiha khuwaani karnay ka mouqa bhi nahin milta, aakhir main bhi tou aik Khudhgharz insaan hoon, fitrat ko badalna itna asaan tou nahin :)

    Keep sharing your great posts aur maazrat kay itni lambi afsaanwi tajziyanigaari kardi main nay, khush rahyeh.

    Fi Amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: رشتوں کا قبرستان ۔۔۔ پروفیسر رفعت مظہر

      Bahut khushi hui aap ki bhari bhar kam tajziyati report parh k ...
      samjho k apne tu pese poore ho gaey ... aap ne itne khoobsoorat andaaz mein tanqeedi khyalaat ka izhaar kiya hai k dil tu kya cheez rooh tak khushi se jhoom jhoom uthi .... aap ka ye andaaz dil ko aisa bhaya ... keh hum ne 3 baar parha ...sachi ...khush rahye ....

      FiAmaanAllah

      Comment

      Working...
      X