Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Qurbaani

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Qurbaani

    Assalaam-O-Alaikum

    EID ka teesra din bhi ikhtitaam per poohancha..... hum sab nay ALLAH SWT kay karam say khoob EID mana lee, jinn jinn nay ALLAH SWT kay huzoor qurbaani dee, meri yehi dua hay kay ALLAH SWT unn sab ki qurabaniyoon ko apni bargaah-e-Ilaahee main qubool-o-manzoor farmyay AMEEN.

    Abhi chand lamhoon pehlay GEO NEWS per aik khabar dekhi..... aur dil bardaashta hookar uss khabar ko apnay alfaazoon main bayan karnay ki na-kaam koshsih kar raha hoon aur apnay mamool kay baraks yeh tehreer direct iss screen per hi likh raha hoon, mera matlab yeh hay kay isay kisi safhay per nahin likha tou katayi ya edition ki koi gunjaish nahin.... isi liye kisi bhi ghalti ki paishgi maazrat!!!

    (uss shakhs ki dastaan, jo abhi iss duniya main nahin......!!!!)

    QURBAANI

    EID say taqreeban aik mahinay pehlay ki baat hay, shayed aap mera naam bhi nahin jaantay hoongain..... aur na hi main nay soocha tha kay main kabhi akhbaroon aur television news ka hissa banoo ga... haan waisay bhi aik ghareeb kab kisi news ka hissa banta hay, akhbar ki surkhiyan tou srif NRO ki khabroon, Leaders ki mulaqaat waghaira say hi bhar jaati hain aur mujh jaisay ghareeb ko iss main kahin jagah hi nahin milti!

    Mera sab say chota baita jiss ka naam Danyaal hay, jo taqreeban 2 saal ki umar ka hay, abhi bolna hi seekha hay aur apnay tootay tootay alfaaz say EID kay dinn apni MAA say pooch raha hay kay MAA sab kay yahan tou Qurbaani horahi hay, humara Bakra kahan hay? aur abbu jaan kahan hain? Meri biwi jiss say meri shaadi chand saloon pehlay hi hoyee thi, uss kay jawaboon main ansoo baha rahi hay, Meray waalid jinn ki bhooRi hadiyon ko meray saharay ki zaroorat thi aaj zar-o-qatar ro kar apnay poutay kay masoom sawaloon ka jawab nahin day pa rahay, mera dost mera bhai aaj EID kay din EID ki namaz ada karnay nahin gaya kiyonki main uss kay saath nahin tha, aur meri biwi GEO NEWS kay reporters ko yeh bayan day rahi hay kay "hum qurbani tou nahin kar sakay magar ALLAH SWT say yehi dua hay kay Ya-ALLAH meray shohar ki QURBANI qubool kar aur iss mulk ko amn-O-salaamti ka gehwaara bana"!!

    Haan main wohi BASHEER hoon jo aik mahina pehlay HALAL rizq ki talash main PESHAWAR kay aik dhamakay main apni jaan say haath dho baitha, main nay kisi ka kuch nahin bigaaRa tha, meri mout say mera saara ghar maatamkada ban gaya, aaj EID kay din meray baitay ki masoom nazrain mujhay dhoondh rahi hain, meri Maa ki mamta bhara aanchal mujhay apni aghoosh main lainay kay liye taras raha hay, meray baap ki bhooRI nazrain mera taaqub kar rahi hain aur mera dost mera bhai mujhay EID kay dinn apnay seenay say laganay kay liye taras raha hay!!!

    Aaj mera sawaal aap sab say hay kay aay PAKISTAN kay logon aap khudh hi faisla kar loo kay aap kay nazdeek kisi ki QURBAANI ziyada moutabir hay!!!!"

    Meray saathi members, aap yaqeen karain kay jab say yeh news paRhi hay meri aankhain baar baar roo paRti hain aur main kab say apnay aap ko andar say tatoool raha hoon kay asal QURBAANI kia hay, woh jo hum dikhaaway kay liye aik say bhaR kar aik acha janwar select kar kay kartay hain yaa woh jo iss ghareeb kay ghar waloon nay dee hay apnay baitay ki shakal main..... aur aisa ajeeb sa khayal aata hay kay kaash BASHEER ki jagah ALLAH SWT kisi dhunbay ko khudhkash dhamakay main halaq karwa daitay!!!!

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Aap sab ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar

    Fi Amaan ALLAH

    sigpic

  • #2
    Re: Qurbaani

    Dil gudaz dastan or andaz e tehreer yaqeenan ye ek aisi haqeeqat hey jo aankhain num ker deti hey hum sub ko khushioon k mooqoon per apney un bhiyoon or un k lawahaiqeen ko yad rakhna chaheye allah un k gher waloon ko jo aag hum main nahi ko sabr e jamil ata fermaye.
    Ameen.
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Qurbaani

      Originally posted by thefire1 View Post

      Walikum Salam chiips

      Very Touching and True also shandar

      Aap Urdu "Rasm-ul-Khat" me likhne ki kosish kerain....to aap ki tehreer me or Nikhaar aye ga :fly:

      Kash aap ko Reputation de sakta.... thinkingg

      Comment

      • #4
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Qurbaani

          buth he shaandar work

          buth he pyara andaz e tahreer

          Thankx k tu ganjey pan sey bahir aa ker be lihney laga
          I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

          Comment

          • #6
            Re: Qurbaani

            Assalam o Alaikum WR WB Fire Sahab...

            Bohat hi umdah tahreer likhi hai aap ne halat-e-hazrah per....
            Bohat khoob...
            Khush rahain

            میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا

            میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

            Comment

            • #7
              Re: Qurbaani

              Walekum Asslam

              Bahot Achhi aur sachi tehreer likhi aap ne
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Qurbaani

                ahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!!

                Comment

                • #9
                  Re: Qurbaani

                  :rose
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment

                  Working...
                  X