Assalaam-O-Alaikum ALL
BaRay arsay baad phir kuch likha hay aap sab say share kar raha hoon, umeed hay pasand aayay ga (Rida jee aap ki khaas tawaja chayeh aap say iss kay baaray main aik post main zikar kiya tha, aaj paish kar raha hoon, URDU wali site kaam nahin kar rahi, kuch error aaraha hay issi liye roman urdu main hi likha, ghalti ki paishgi maazrat)
Laakh lakh shukhar hay Rab ka kay aisa nahin hay, zara sochyeh agar aisa hota tou Wasi Anjum aur Asif Shahzad jaisay mouhtaram shoura-e-karaam apna kalaam kuch yoon paish kartay:
Madhoosh Hogaya Hoon Teri Chaal Dekh Kar
Teray Yeh Khoobsruat Khad-e-Khal Dekh Kar
Khoya He Raha Teray Khayalon Main Hamsafar
Tujh Per Phisal Gaya Teri Taal Dekh Kar
Dabur Amla kay ishtihaar ka kuch yoon haal hota...
"Dabur Aamla... kiyonki yeh hay meri chamakti taal ka maamla"
aur issi tarhan HEAD n SHOULDER waalay baichaaray yeh product ladies ko baichnay say qaasir rehtay magar phir bhi shayed himmat kar kay iss ka ad. bhi kartay tou woh kuch iss tarah hota
"Kal woh mujhay dekhnay aayay, sab kuch thik lag raha tha, achanak unki nazar meri rookhi aur sookhi taal per paRi mujhay baRi sharmindagi hoyee. phir meri dost jiss ko yehi maslaa darpaish aya nay mujhay mashwara dia kay head and shoulder istimaal karo aur waqayi head and shoulder nay meri taal ko chamka dia!!"
aur films main dialogues kuch iss tarah likhay jaaatay..
"Rukhsaana, tumhaari yeh chamakti taal mujhay sonay nahin daiti aur main iss ki roshni main apni zindagi ki roshan haali ka khuwaab dekhta hoon.....meri zindagi say dour naa jaana,
warna har taraf andhaira hi andhaira hojayay ga"
aur laRki az-rah-e-mohabbat yeh jawab daita
"Ali, aisa nahin hosakta, meri yeh chamakti taal aur uss ki roshni srif aur srif tumhari amaanat hain aur yeh kisi aur kay aangan main kabhi bhi roshni ki kiran ban kar nahin chamkay gi, nahin chamkay gi, nahin chamkay gi"
Zara sochain agar aurtain ganji hoteen tou be-chaaray kitnay log bairozgaar hojaatay aakhir HAIR SHAMPOO, HAIR SPRAY, HAIR COLOR, HAIR DRYER, HAIR STYLER, HAIR STRAIGHTNER, HAIR PINS, HAIR BANDS, HAIR CLIPS, waghaira waghaira na hi aijaad hotay aur na log bar-sar-e-rozgaar hotay...
Haan humaray mulk kay dheet aashiq unko pataanay ka phir bhi koi na koi tareeqa ikhtiyar kartay iss qisam kay shaair kay saath:
Kaun Kehta Hay Mera Mehboob Ganja Hay
Chand Kay Sar Pay kabhi Baal Hua Kartay Hain
Sadshukar kay aisa haal nahin aur hum aaj kisi ki taal kay nahin balkay zunlfoon kay aseer hotay hain...!!
BaRay arsay baad phir kuch likha hay aap sab say share kar raha hoon, umeed hay pasand aayay ga (Rida jee aap ki khaas tawaja chayeh aap say iss kay baaray main aik post main zikar kiya tha, aaj paish kar raha hoon, URDU wali site kaam nahin kar rahi, kuch error aaraha hay issi liye roman urdu main hi likha, ghalti ki paishgi maazrat)
"Agar Aurtain Ganji Hoteen"
Yeh khayal aatay hee kay "Agar aurtain ganji hotee" aankhoon kay saamnay aik khoobsurat, naazuk dosheeza apni chamakti hoyee taal lay kar pooray chand ki manind roshni aur chamak dhamak kay saath jalwagar hoti nazar aati hay!!Laakh lakh shukhar hay Rab ka kay aisa nahin hay, zara sochyeh agar aisa hota tou Wasi Anjum aur Asif Shahzad jaisay mouhtaram shoura-e-karaam apna kalaam kuch yoon paish kartay:

Comment