Assalaam-O-Alaikum ALL
Ek baar phir apni halki phuli tehreer kay saath haazir-e-khidmat hoon, apna mushahida bayan kar raha hoon tajurba nahin, tou agar kahin ghalti ho tou paishgi maazrat :)
Mard kay ganjay honay ki bohat saari wajohaat hosakti hain aur hoti hain.... hum baari baari har waja ka tajziya kartay hain...post taweel honay ki warning abhi say day raha hoon issi liye paRhnay say pehlay yeh baat zehan nasheen kar lain:lol
Aksar hazraat kay baal laRkiyon ki zulfoon ki tarhan rehsmi hotay magar yeh reshmi baal unkay sar per ziyda tik nahi saktay kiyonki mousam ki garmi aur halaat ki tapash ko itnay reshmi baal seh nahin saktay aur jhaR jaatay hay, yehi waja hay kay aksar jin logon kay baal narm-e-reshmi hotay hain woh jald hi farig-ul-baal yaani ganjaypan ka shikar hojaatay hain.
Dosri waja baalon main khushki yaani dandruff hoti hay... dandruff ka hona baalon kay liye bohat nuqsaan day hota hay aur aksar mard balon main khushki ka shikaar hotay hain...bohat si companies dandruff free shampoo produce karnay ka daawa karti hain magar woh shampoo aksar khushki kay saath saath baloon ka bhi safaya kardaiti hain :(
waisay baalon ka jhaRna umar nahin dekhta, waisay tou yeh middle aged logon per ziyada asar andaaz hota hay magar kam umar noujawaan bhi iss ka shikar hojaatay hain, laRki kay bhayion kay haathon khinchayi, mouhallay waloon ki dhulayi yaa phir kisi haseena kay sandal ki pitayee bhi aksar-o-baishtar ganjaypan ka sabab banti hain,iss qisam kay ganjaypan ka shikaar aksar Dheet aashiq hotay hain jo hazar mana karnay kay bawajood bhi laRkiyon ko chairna apna qoumi fareeza samajhtay hain :lol
Humaray politician hazraat bhi aksar ganajaypan ka shikaar hotay hain, uss ki waja yeh hosakti hay kay jab kursi aati hay tou doulat main izaafa hona tou aik fitri amal hay, aakhir awaam ka maal tou humaray politician kay sarmayay main izaafay ka bayis banta hay, aur aksar buzurgoon ko yeh kehtay suna hay kay jis kay paas jitna dhan hoga uskay sar main utna ganjapan hoga:)
Aksar teachers, engineers, doctors aur issi tarhan professionals jo kay higher education haasil kartay hain aksar ganjaypan ka shikaar hojaatay hain, usski aik hi waja nazar aati hay kay ziyada taleem hasil karnay say bhi ganjapan hojaata hay... jaisay hum nay apnay aik teacher ko yeh kehtay suna tha kay meray ganja honay ki waja taleem hay... hum nay hairat say unki taraf dekha tou unhon nay humari ankhon main chuppay sawaal aur hairat ko bhaptay huway foran kaha kay aksar imtihanon kay douran apnay aap ko jaagta rakhnay kay liye main apnay sar ka ek baal khainch laita tha, ab jitni ziyada taleem utnay ziyada imtihan aur jitnay ziyada imtihan utnay ziyada baalon ka ziya...bas aaj itni taleem hasil karnay kay baad sar per ginti kay doo char baal hi reh gayay hain :lol
Meray khayal say itni wajohaat kaafi hongi, phir bhi agar aap samjhain kay kuch kami reh gayi hay tou mujh say contact nahi kijye ga warna meray baal jhaRnay ki waja KHUSHI hosakti hay! :lol
Khush rahyeh :)

MARD KA GANJAPAN

Comment