DIL
Jee Haan unwaan dekh kar andaaza hogaya hoga kay zaroor baat DIL per hi honi hay..Kaafi arsay baad kuch likhnay ki koshish ki hay, maloomat kay saath, aap sab kay naam :)DIL insaan kay jism ka sab say aham uzo, dil kay baghair zindagi hi na mumkin hay, kayi ehsaasat aur jazbaat ko ikhatta karta hua yeh dil aur iss ka tazkura kis jaga nahin hota aur is ki ahmiyat ka andaaza kis shaks ko nahin.
Dil ausatan aik minute main 72 bahatar dafa dhaRakta hay haan kabhi koi haseena muskura kar dekh lay tou isski dhaRkan ka koi andaaza nahin hota kay kitni mile fee ghanta ki raftar say dhouR raha hay.
Aik mard kay dil ka ausatan wazan 300 say 350 gram hota hay jab kay sinf-e-nazuk ka dil mard kay dil say 50 gram halka hota hay isi liye umooman mard hazrat baRay dil waalay hota hay, kay jahan koi haseena dekhi dhaR say dil phaink diya.
Aap Kay Qadmoon Talay Dil Hay
Jab baat DIL ki chali hay tou DILRUBA kay zikar kay baghair kaisay poori hosakti hay, DIL nay bhi baRa manchala mizaaj paya hay aur shayed duniya ka wahid part hay jo bina surgery kay hi aik doosray main baghair kisi medical consultancy kay muntaqil hojaata hay.
Dil Nay Bhi Kia Mizaaj Paya Hay
Comment