Ranga Rang Rishtey
Insane ki zindagi main ous se jurey rishtey khuda ki sab se buhut bari naymat hotey hain yaan shayed hotey they. Kiu ke pehley sirf yeh rishtey sachayi ke rang main rangey hotey they. Magar ab insanon ki khush kismati yeh hai jis tarah se ab zindagi rangeen ho gayi hai wese ke ous ki zaat se beshumar rangeen rishtey wabasta ho gayeh hain. Rangeen Rishtey ??????
Rishtey to suna tha magar yeh rangeen raishtey ????
Yeh kasiey rishtey hain jo ranga rang hotey hain ????
Kaisey hotey hain ??? inhein dekhna ho to kaha jana chahiyeh ?????
Buhut sawal outhtey hain na zehan main …….
Magar kitni ajeeb baat hai ke yeh rangeen raishtey humarey hi darmyan mojood hain. Hum hi se wabasta hotey hain, aur hum hi nahi pehchan patey. Youn kahiyeh yeh rang humarey hi hotey hain jo in rishton per chartey hain … Yaqeen nahi aata to aayieh in roshton ko oun ke rango ke sath zara dekhein to…..
Sab se pehla rang hota Mohabbat, sab se gehra rang, jitni dolat aap ek pass ho gi outna hi yeh gehra ho ga. Doosra rand hai khaloos ka, jina humara rutba aur shan ho gi outna hi yeh rang bhi mazboot ho ga. Teesra aata hai wafa ka, jab tak aap khudh ko bhula ker apni zaat ko doosro’n per nishawar kertey rahein gai yeh rang aap se wafa kerta rahey ga. Aisey beshumar ranga rang rishton mein jagrey hotey hain hum.
Magar jese hi dolat, shan, martabey, izzat main se kisi chiz mei kami waqeya huwi yeh rang bhi aahista aahista mand pertey jatey hain, aur ek din zindagi ki rangeenion ke sath bilkul khatam ho jatey hain. Ab yeh hum per munhasir hai ke hum kis tarah in rango’n ko sada bahar aur mazboot banayeh rakhtey hain, aur yeh bhi sab jaan gayeh hain ke in rangeen rishton ki baqa ka raaz kya hai .... :)
Saima Shaheen
25/12/2005

Comment