yeh daur Mohabbat ka daur nahi, yeh log mohabbat ke ameen nahi, Yeh jazbat Mohabbat ke paband nahi, yeh Dil kisi se mukhlis nahi ......
Wo waqt kuch aur huwa kerta tha, wo log aur huwa kertey they, wo Dil mukhlis huwa kertey they' wo jazbey muqadas huwa kertey they.....
Aaj ke daur main yahi log apni zaat' apney mufad' apni garz ke liyeh Mohabbat ke in masoom aur pakeeza jazbat ko apni madwi khawahishat taley dafan ker detey hain' in Mohabbato'n ko apney mufadat ke qadmo'n taley rondh ker apni aarzi manzil ki taraf barhtey chale jatey hain' jo ounhein buhut rangeen nazar aati hai.............. ous ke peechey akser her rishtey se bekhabar andha dhund bhagtey chaley jatey hain in main se kuch thoker khatey hain aur kuch apni manzil paa bhi letey hain, magar aakhir yeh sab jab in rangeen khwahishon ke taqub main dar-ba-dar ki thokrein kha ker baizar aa jatey hain' jab hosley toot jatey hain' zameer mukamal torr per marr jata hai' zindagi bojh lagney lagti hai .......to yahi log' be-bas, bad'bakht log kabhi khuda se kabhi muqadar' kabhi auron se aur kabhi khudh se yeh shikwa kertey hain " ke humein zindagi main kabhi Mohabbat nahi mili" .... yeh bhool jatey hain ke yeh Dil ka sakoon, yeh Mohabbat, yeh khudh apney Qadmo'n taley rondh aayeh they' aur zameer ko humesha ke liyeh sula aayeh they jo jagta to shayeed inhein in ki kotahiyan yaad dilata aur btata ke yeh sab in ki apni kernion ka phal hai........... to phir ab yeh shikwa kiu ??? kis liyeh ??? aur kis se kertey hain "ke zindagi main kabhi Mohabbat na mili"
Saima Shaheen
15/11/2005

Comment