Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

---****Yaadain ---***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ---****Yaadain ---***

    Assalam-o-Alikum Wr Wb !

    Ter damni pay shekh hamari na jayo
    daman nichor dey to farishtay wazo karin
    .

    Dabdabi hui ankho main aaj kya dekhnay ay ho ! ab khyal aya tum ko apni jaan ka ...... jab main kisi aur ki ho gai. hahaha........ aaj bhi late ho gy , zaroor bike pancher ho gi ho gi ya shayd koi dost ap ka aya ho ga aur bike lay gya ho ga , university sey ana itna asaan thori ho ta hay na ! ao batho aaj kuch mazi
    ky wo lamhay yaad kar tay hein jo tum ny aur mey ney saath nibhay ,kuch asi yaadin asi qasmain wo waday jo saath nibhany ky liya tum ny kiya,bari barai qasmain khai hy tum ny aur merazabt dekho tum ky main aaj ky din bhi usi trha tayra bathi hui hu bass ferk itna hy kay tum mujhy jeans , ya churi daar pajama kaam say bhari hui kameez , kano main jhumkay , paw main anklets aur hatho main churiya bhari hui dekhty they, tumhary liya to sajna hi acha lag ta tha aur phir ya gharee raat bhi to aur yahi chaat aur yahi takhaat, sab hay na sab wasa hi hy bass aaj ferk ityna hy kay laal jora jo tumhary naam ka ho na tha aaj .............. khair choro tum!...........yahi wo jagha hay na jo kabhi sangam thi ! dekh lo aaj isi jagha ny paraya kar diya, hay na ! .......

    aaj meri zindagee suni suni si ho gai hay tum khush ho jaw. tum ko koi ilzaam nahi du gi, na hi koi muqadma pyaar ka tum say larongi na hai gila karu gi , bass aaj mazi kay kuch warq sirf kuch asy warq paltu gi jin main aaj koi rang hay hi nahi......

    Yaad hai wo university ka pahla din , jab new session shuru hua tha , kis qadar khush thi mein .
    aur kuo na khush ho ti , kitnay minato sey mein nay university main admisson liya tha tum ko kya pata kya kya papar bilay thay. aik middle class larki ki kya kya musibatain ho ti hein ,collage main dakhla lay na mushkil ho jata hein , main to phir university janay ky liya zid kar rahi thi , aur university bhi wo jo ky is shar ki namwar ho .....

    aur wo lamha bhi ! aaj bhi zinda hay jab tum aik dil ko dhila dey nay wali bike main hawao sey batain kar tay aya karaty thay.uffffffff! kitni taiz bike chala tey thay tum , daar hi laga rhata tha kay khi kuch ho na jay tum ko.........

    tum main asa kuch khas nahi tha, tum bhi auro ki trha hi they , per pata nahi phir bhi jab pahli baar tumhary mathy per bikhary bal dekhy , aur un ghari jheel jasi ankho main jab dekha to aik ajeeb si halchal mach gai,kuch ajeeb sa pahli baar feel hua , koi asa ahsaas sa jaga jis ka byaan mumkin hi nahi. Pyaar jis ko sirf kitabo main parha tha ya PTV ky dramo main dekha tha ya un digests main ,..... pata nahi kab tum sey hota chala gya,Tajub hey na ! .......... pata hein tum ko jab bhi subha subha point per jati to bass ya hi socha kar ti kay yha sey tumahara guzar ho jay, kisi trha mujhy tumhari dil ko dhala dey nay wali bike ki awaz aajay , takay mera ya wham khatam ho jay kay tum aaj ay ho ya nahi.

    plzzzzz ! aaj khuda ka wasta hein tum ko, haath jorti hui tumhary aagy , khudaya aaj tum apnay alfazo ka sahra na lo, aaj tum kuch na bolo , bass aaj ki raat mujhy bol lay ny do ,..... na hi mujhy is qadar pagal karo.........yahi adat tumhari mujhy zahar lagti hein kay jab bhi kuch bolna chati hu tum shuru ho jatay ho ,plzzz sirf aaj ky liya khamoshi ko apna lo ........

    janty ho! tumhari aik adat aaj bhi mujhy zaher lagti hein , jab hazro lobbey ki un larkiyo main ghiray rahaty thay jo sirf baray gharo ki bigri hui sartaan thi, aur main konay main banch per bathi yahi sochti rahti thi kay asa kya hy is main asa kya hy kay her larki is ki traf hi ati hein , yahi sochti kay kartay kya ho aakhir asa ky jis ko dekho dewana hua para hein, shyad hi koi asi larki ho jis ky labo per tumhary naam ky geet na ho ty ho .......... meri hum umar sahaliya aksar khati kay Flirt ho ........bhot baray flirt ho , pasay , aur shorat main dubay hui wo awara larkay ho jo haseen charao ko apni trafa matwaja ker ney ka huner rakhta hein, jo bass time pass guzarna apna shiwa samjhaty hay jin ki nazro main larki aik asy bus ki manind hay jo aik jay to dosri ay........

    aur mujhy jab tum dekhty to kis kadar ghabra jatay thy ,kitna duur bahgty they jab ky na jaan na pahchan ........... phir bhi ! aur bakool tumhary mein to thi bhi Paindu na, tum nay hi to puri University main yahi mashoor kya hua tha ky main paindu hu, aur tum ko paindu logo sey chir bhi bari hein,.......

    aur wo Arts lobby to tumhari pasndida jagha thi na , ghanto whi rahna , her larki ka hath tumhary hath main ho na kabhi kisi ky liya shiri likhna to kabhi kisi ky liya love letter tayar kar na, kabhi modleing ki tayari ky bhanay ghussay rahna ya kabhi apni hi modling ki snaps dekhaty phirna, mery khyal sey shyad hi koi larki bachi ho jis sey tum nay humkalami na ki ho , pata nahi asa kya tha tum main , yahi sawal aaj bhi mery siny main janam layta hein kay .........asa kya tha ! ?

    Chup batho tum ! pata hain pahli mulaqat kha hui thi ? jab main canteen main bathi hui thi apni sahaliyo kay saath , aur tum shayad club sey ho kar ay thay na ! subha subha tumhary mathy per bikhary bal , qyamat lag ty thay . aur tum ay aur tum nay samosay ka order diya ..... tum ko university kay samosay bhot pasnd thay na ! ? haan ........aray yaad aya tum kha karaty thay kay .............University main jo samosay milaty , thay wo khi nahi milaty thay aik to un ka size chota sa ho ta us per wo masala , tum ko to pata hein kay mujhy chatpata khana bhot pasnd tha , aur aksar whi milta tha. ya baat mujhy achi trha yaad hey na !

    lagta hay bahir mulko main kabhi khay nahi ho gy na ! phir jab tum nay order diya aur main samny
    rakhi hui chair main bathi hui tum ko dekh rahi thi , meri dosto ko to pata bhi nahi tha kay main kitna tum ko cahnay lagi hu , tum as usual order dey kar bath gay aur tangay utha kar tabel main rakh kar ghanto mobile per kisi sey baat kar nay lagay , jab samosay ay to na hath dhoya na kuch aur foran hi khanay lagy to main nay kha ! ky suniya haath dho lay , Gym sey ay hein , acha ho ta hein aur tum nay kitni ghari nazro sey meri traf dekha tha..... Uffff wo nazr jis kay liya tarsa karti thi ,..........kis qader ghari nazar dali thi tum ny , .........

    tum nay kuch khy bina uthay aur mery pass para hua pani ka jag uthya aur haath dhonay lagy mery hi pairo kay pass, ya janay bagyer ya sochay bagyr kay us pani ki cheetin mery kapray aur paw gandey kar dey gi , shyad tum nay yahi soch kar dhoy ho per pata hay wo cheetin pani ki ganda nahi kar rahi thi baklay aik aag ko hawa dey rahi thi , usi trha jasy kisi sholy per pani ki koi bond parti ho ... .... aur tumhari nigha meri hi ankho main bnasti rahi. Shyad tum ko bura laga ho ga ..... tum ko tokna na gawara guzra. tum ya pasnd hi nahi tha kay tum per koi tangqeed karay.

    dkeho na , mein ney muhbat ka har safha kitnay tareeky say sambhl kar rakha hua hein, dekh lo kis qader tum ko jaanti hu main , aaj bhi meri diary main wo pahli ghazal tumhari likhi hui aur wo sukha gulab milay ga jo tum ny mujhy satany ky liya university ky Mount Everst beach may sab ky samany diya tha per tum ko meri muhbat ka ahsaas nahi mila ,tum ko mery pyaar ki gharai ka andaza hi nahi hua jis ka mujhy bantha ghum hain, kash tum nay bhi pyaar kya ho ta na !

    mukhtasr si zindagee thiri apni to yaar ! aur dekho kitna kuch main nay sambhla hua hein ,zindagee ka aik aik pana is baat ki gawahi dey rha hein kay mein kis qader tum sey mansoob ho chuki hu, kitni ajeeb si baat hein na ! ky dunya ki her larki khati hein jab us ka saath chiya ho to ya kha kar taal diya kar ti hein kay main majboor hu , mein apnay khandan ky khalaf nahi jaa skati , main apni family sey nahi lar sakti, tum hi khaty thay kay aik larki yahi hatyaar end main use kar ti hein kay main Majboor hu....... hay na ! per aaj dekho tum zuban sey nahi bol rhy per tumhara chara , tumhara kampta hua jism , tumhari larkharati hui awaz aur ya bheegi palkain , yahi gawahi dey rahi hey na kay aaj aik larka majboor hy........kash tum ny aik middleclass bakool tumhary aik paindu larki ko apny Flirt ki dunya sey alag hi rakha ho ta.

    jaw tum ....... aaj sey tumhary mery rastay badal diya gy hein , aaj main asy shaks ki zindagee ka hisa ban gai hu jis nay kabhi mujhy chaha hi nahi........ jis nay na hi mery dukh dekhy na hi mery ghum , na hi meri khushiyo main shreek hua na hi december ki sardiyo main meri bahoo main soya, asy shaks ki jis ky liya na hi aaj tak kabhi socha na hi us nay ya mai nay kabhi kuch kiya achy dino ko lanay ky liya aur na hi kabhi main raat bhar us ky liya jagi , hata ky telephone main batain tak nahi ki aur dekho bin kisi mahnat ky , bin kisi jado jhad ky apna bana gya ......

    aaj main aik zinda lash sey ziyada kuch bhi nahi hu, ya mery chary per jo zaiwar hein , mery hatho main jo churiya hey aur ya jo main itna bara ghaagra pahnay bathi hu is ko aik Dulhan ka jora maat samjho ya kucjh bhi nahi hay, ya sab aik lash .....asi lash jis kay ander na dil hay na hi ruh hy asa khokla jism hay jis ky ander muhbaat ka sara ahsaas tak khatam ho gya hein ......... ya us ka Kafan hein , bass sirf kafan , aaj dekh lo kay Rangeen Kafan kasa ho ta hein ........... aaj tumhara kha hua aik shair yaad arha hein suno gy ....... Aah! shayd mery liya hi tha ,

    Kha do in kharao sey , na manay jashan doli ka
    Pase-e-parda , armano ki mayaat bhi majood hey

    per aik baat kha du tum sey ! ..........

    tum ko hi pyaar kya hein tum ko hi karti rahu gi,dil tumhary pass hi rahy ga, ya tumhara liya hi Allah miya ny diya tha bari amanat ky saath tum ko hi lotaya hein ..... .... jism ka kya hy ......aaj hay kal fana ho jay ga,miti miti ho jay ga , Plz ! is say pahlay kay mera zabt mera saath chor dey , aur meri ankhain, ashko say wafa kar bathay tum chalay jaw ........... bass ab chalay jaw!

    Mery ashk nadamat ko haqarat sey na tum dekho
    ya wo ab muqadas hy ky janat main nhi milta

    FeamanAllah

    Date : 12 Nov 05
    Time : 8:50 Am
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

  • #2
    Re: ---****Yaadain ---***

    Wah Bohat zabardast likha hay aap ki tehreerein parhte hoe aadmi kho sa jata hay :)
    Allah

    Comment

    • #3
      Re: ---****Yaadain ---***

      jaw tum ....... aaj sey tumhary mery rastay badal diya gy hein , aaj main asy shaks ki zindagee ka hisa ban gai hu jis nay kabhi mujhy chaha hi nahi........ jis nay na hi mery dukh dekhy na hi mery ghum , na hi meri khushiyo main shreek hua na hi december ki sardiyo main meri bahoo main soya, asy shaks ki jis ky liya na hi aaj tak kabhi socha na hi us nay ya mai nay kabhi kuch kiya achy dino ko lanay ky liya aur na hi kabhi main raat bhar us ky liya jagi , hata ky telephone main batain tak nahi ki aur dekho bin kisi mahnat ky , bin kisi jado jhad ky apna bana gya ......

      Comment

      • #4
        Re: ---****Yaadain ---***

        Originally posted by Muskan

        Assalam-o-Alikum WR WB

        :embarasse aap ki bhi palkain bheeg gai

        FeamanAllah
        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

        Comment

        • #5
          Re: ---****Yaadain ---***

          Originally posted by Adnan
          Wah Bohat zabardast likha hay aap ki tehreerein parhte hoe aadmi kho sa jata hay :)
          Assalam-o-Alikum WR WB

          Bhot shukriya aap ka ky aap nay aik itni taweel tahreer ky liya apna kimti waqty diya

          FeaamnAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

          Comment

          • #6
            Re: ---****Yaadain ---***

            aaj sey tumhary mery rastay badal diya gy hein , aaj main asy shaks ki zindagee ka hisa ban gai hu jis nay kabhi mujhy chaha hi nahi........ jis nay na hi mery dukh dekhy na hi mery ghum , na hi meri khushiyo main shreek hua na hi december ki sardiyo main meri bahoo main soya, asy shaks ki jis ky liya na hi aaj tak kabhi socha na hi us nay ya mai nay kabhi kuch kiya achy dino ko lanay ky liya aur na hi kabhi main raat bhar us ky liya jagi , hata ky telephone main batain tak nahi ki aur dekho bin kisi mahnat ky , bin kisi jado jhad ky apna bana gya ......
            :(

            Wah..Bahut Khoob ...really amazing :)
            Sab Hi Apni Gharz Say Milte Hain Faraz..
            Maza Tu Jab Hai K Koi Be-Sabab Mila Kare.
            :wk

            Comment

            • #7
              Re: ---****Yaadain ---***

              Originally posted by ~*~ Dua ~*~
              aaj sey tumhary mery rastay badal diya gy hein , aaj main asy shaks ki zindagee ka hisa ban gai hu jis nay kabhi mujhy chaha hi nahi........ jis nay na hi mery dukh dekhy na hi mery ghum , na hi meri khushiyo main shreek hua na hi december ki sardiyo main meri bahoo main soya, asy shaks ki jis ky liya na hi aaj tak kabhi socha na hi us nay ya mai nay kabhi kuch kiya achy dino ko lanay ky liya aur na hi kabhi main raat bhar us ky liya jagi , hata ky telephone main batain tak nahi ki aur dekho bin kisi mahnat ky , bin kisi jado jhad ky apna bana gya ......
              :(

              Wah..Bahut Khoob ...really amazing :)
              Assalam-o-Alikum Wr Wb ,

              Dua ji aap nay apna kimti waqt diya bhot shukrya ... pasnd kya us ka bhi shukrya .... wasy ya paragraph mujhy bhi bhot pasnd hay kuo k aik sachai aur aik haqeeqat chupi hui hay na :)

              acha laga aap ka ana aur parhna :)

              FeamanAllah :lpop:
              Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
              Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

              Comment

              • #8
                Re: ---****Yaadain ---***

                BP jii kia yeah app ni likhaa howaa haii :lpop:

                joking.... :wk

                MAshallah buht achaa lekhti hai ........ really u r great writer.... :thmbup: ... kuch aur ki printout liyee haii......... osko read karongii Inshallah.... be happy munaa BP ji :lpop: :khi:
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment

                • #9
                  Re: ---****Yaadain ---***

                  Originally posted by Hala

                  Assalm-o-Alikum WR WB

                  Nahi ji may nay nahi likha hay .... Muhlay walo say likhwaya hay lolzz:khi:

                  Aray bhi Print out ! hamri tahreeo ki ab itni bhi ahmiyat nahi hay kay un ka print out liya jay .... haan albta aap print out lay kar us Kaghaz ko dustbin main zaroor daal deyna .... :khi:

                  Any way .... bhot shukriya aap ka ky aap nay itni izzat aur itni chaat dekhai ... ji zaroor parhya aur meri ghaltiya note kar ky mujhy aagah bhi karya

                  FeaamnAllah :lpop:
                  Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                  Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                  Comment

                  • #10
                    Re: ---****Yaadain ---***

                    Originally posted by Bheegi-Palkain

                    W.Salam WR WB :rose

                    may nay be yehai sochi tii ..... ka Muhlay walo nay likha hogaa :khi:

                    nii ji :na: ....... har insan ka apna kaam or likhay buht pasand hai osko kitny dil say likhty hai ...... har lafaz ka apanaa alag saa matalab hotaa hai.......... tu shayed mein kabi be kisssy ki kaaam ko dustbin be naa daal sakooo :na: :na: :lpop:

                    Ooooh noo :tauba mein ghalti nahi doond saktii specially writers kaaa :khi:

                    be happy :) :lpop:
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment

                    • #11

                      ( U ziyda lolly pop na khya karo Teethu Meethu kharab ho jay ga ... Keera par jay ga ... Phir na khana kay BP nay marwa diya )

                      Assalam-o_Alikum WR WB

                      Oops ! ab to u say sambhal kar bolna :taubaparay ga bhi ! kya pata kab kha kis per ghussa ho jaw ....

                      Wasy u ghussa ho bhi jaw to me ko ferk nahi pary ga:na: ... me kay liya chay u yha ky Senior Mod hi kuo na ban jaw me nay u ko Hala hi samjhna hy ...

                      Me per rob na jhrna .....

                      Congritulation again rose

                      FeaamnAllah:lpop::lpop:
                      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                      Comment

                      • #12

                        W.Salam WR WB:rose

                        arey yeeh loolypop tu app ki liyee hai .......... jo mujhay kanaa partaa hai .... :khi:

                        arey BP ji app ny sahi kahaa mein whai Hala haoon ... mein yeh nahi kehtii ka Mod say change hoon.......... :na: hum tu rob jhrnaa ka nahii haii :tauba

                        sach ap ko farq nahi paregaa meree gusa say.... :lpop:
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment

                        • #13
                          Re: ---****Yaadain ---***

                          Asslam-o_Alikum WR WB

                          bilkul nahi paray ga me ko ....... :fuming:

                          Ya alag baat hay ky me ki paint geeli ho jay lolzz :blush:

                          FeaamnAllah
                          :lpop:
                          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                          Comment

                          • #14
                            Re: ---****Yaadain ---***

                            Originally posted by Bheegi-Palkain
                            Asslam-o_Alikum WR WB

                            bilkul nahi paray ga me ko ....... :fuming:

                            Ya alag baat hay ky me ki paint geeli ho jay lolzz :blush:

                            FeaamnAllah:lpop:
                            :hathora
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment

                            Working...
                            X