Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
"dar"
Collapse
X
-
Re: "dar"
Originally posted by nazhmmm...aksur mujhe bhi durr lagta hai...bhot lagta hai..kis se lagta hai yeh nahi bata sakti." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: "dar"
Assalam_o_Alikum Wr Wb
Aap ny shai kha ! mujhy bhi tha but Al hamdulilah ab nhi lgta kuok y shayd us waqt iman ki koi kamzori ho gi ..... asy halat main Insaan agr Allah Pak ko yaad kar ly to zindagee bhar nhi dary ga
FeaamnAlalhMeri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga
Comment
-
Re: "dar"
merey nazdeek dar ke do roop hai...nightmare and fake vision of humanity...jo ham sahi se samajh nahen paatey ulajh jatey hein..bas... I feel like that....
nice writing BG
Comment
-
Re: "dar"
Originally posted by barg.e.gulaap sahih keh rahey hien Bheegi-Palkein, shayad yahi waja ho
Shayad nahi Gul ! yaqeenan ..... kuo ky wo zaat hi asi hy jhaan jis ky galay lag janay sey dar rhta hi nhi hy
chay wo dar kisi bhi Rang ka kuo na ho
FeaamnAllah :lpop:Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga
Comment
-
Re: "dar"
Dar ko define karna mushkil hai. Dar bohat si suraton mein insaan key saath wabasta hai. Aik dar hota hai kisi khoof ko mehsoos kiya jaey, maslan; yeh soch aaey keh is muqaam per jinn bhooton ka qabzaa hai, kisi khofnak aawaz sunai dey, kabhi qabarsatan sey guzrein to khof mehsoos hota hai is tarha key dar. Jo kisi shaey sey wabasta hon, waldein mein sey kisi aik ka dar, school janey ka dar ya ustaad ka dar, imtihanaat ka dar waghera waghera.
Dar ki aik qisam aur bhi hai jo merey nazdeek in sab sey bhiyanak hai. Woh hai tanhaee ka dar. Aisi tanhaee jis mein insaan apney saaey sey bhi harasaan rehna shuru kar dey. Woh lamhaat khof aur dar key liye bohat takleef deh hotey hain. Shayid insani zehani tawazun key liye sab sey bada khatra yehi dar hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: "dar"
Originally posted by Aania View Postmerey nazdeek dar ke do roop hai...nightmare and fake vision of humanity...jo ham sahi se samajh nahen paatey ulajh jatey hein..bas... I feel like that....
nice writing BG
how you define "fake vision of humanity" ?" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: "dar"
Originally posted by Masood View PostDar ko define karna mushkil hai. Dar bohat si suraton mein insaan key saath wabasta hai. Aik dar hota hai kisi khoof ko mehsoos kiya jaey, maslan; yeh soch aaey keh is muqaam per jinn bhooton ka qabzaa hai, kisi khofnak aawaz sunai dey, kabhi qabarsatan sey guzrein to khof mehsoos hota hai is tarha key dar. Jo kisi shaey sey wabasta hon, waldein mein sey kisi aik ka dar, school janey ka dar ya ustaad ka dar, imtihanaat ka dar waghera waghera.
Dar ki aik qisam aur bhi hai jo merey nazdeek in sab sey bhiyanak hai. Woh hai tanhaee ka dar. Aisi tanhaee jis mein insaan apney saaey sey bhi harasaan rehna shuru kar dey. Woh lamhaat khof aur dar key liye bohat takleef deh hotey hain. Shayid insani zehani tawazun key liye sab sey bada khatra yehi dar hai.
jab aap ko ilm ho key log aap sey itni ziada expectations rakhtey hein ......aur aap apni poori koshish kertey hein yahi sab poora kerney key liye.....leykin sath sath aap ko ye dar bhi hota hai key agar aap logon ki expectations per poora na utrey......to tab kya ho ga....(do you see wat i mean bro.)
aur kabhi yun bhi hota hai key jab aik itna aham faisla aap per chor diya jaye....tabhi bhi insaan ko "dar" hota hai key aya wo sahih faisla ker bhi ley ga ya nahi......" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: "dar"
Dar Insan Kay Dil Kay Ander Hota Hai.dar Ki Aur Koi Jaga Nahi Hoti.
Jo Insan Chahay Apnay Dil Say Dar Ko Nikal Sacta Hai.lakin Thori Buhat Mushkil Hiti Hai.
Lakin Aik Baat Aur Keh Her Chez Ki Aik Had Hoti Hai.jab Dar Apni Had Say Berh Jata Hai Too Khud Hi Khatam Ho Jata Hai.Fight for Khilafah
:insha:
Comment
Comment