Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

    KHOEY HO TUM KAHAN,,,,,,,Written By Hayaa

    -------------------------------------
    Sandra se meri pehli mulaqaat Association me hui thi.wo khud meri taraf barhi thi.
    ,,Hello, me Sandra hun or tum?,,
    ,,Hello,,mera naam Zara he or me Pakistani hun.me spanish seekh rahi hun.,,
    ,,tum to achchi khasi spanish bol leti ho.kiya aaj bhi tumhari class thi?,,Sandra ne muskura k mujh se poocha.
    ,,han,me weekly 3 days classes leney aati hun,, me ne bhi muskura k jawab diya.
    Sandra mujh se bohat garam joshi se mili hatta k us ki aankhein pur namm hogaein.phir ham ne phone numbers or adress aik doosrey ko diya or Domingo(sunday) ko 1 bajey dopeher Sandra ne merey ghar aaney ka wada kiya.
    Sandra har mulaqaat me mujhey bohat uljhi uljhi or bechein si nazar aai.me ne kai martaba us se poocha bhi lekin wo hans k taal gai.
    mujhey us k barey me itna hi pata tha k wo spanish thi or Gitano qowm se talluq rakhti thi.us ki 2 behnein or 3 bhai mukhtalif markets me kapra farokht kartey thay or sab shadi shuda thay.us k khandaan me taleem hasil karna fuzool samjha jata tha sirf Sandra hi lar jhagar kar taleem hasil karney me kamiyaab ho pai thi.
    khilti hui gandumi rangatt,brown bari bari aankhein(jo mujhey hamesha bheegi bheegi si lagti thein) khoobsurat dark brown lambey baal or intehai mutanasib jisim.Sandra behadd atractive thi.
    me ne us ko hamesha black libaas me malboos dekha tha.
    wo aksar kuread kuread k Pakistan k mutaliq sawal karti or Pakistan k mutaliq batatey huey me kho jati.me be takaan boley chali jati k Pakistan k chappey chappey se mujh ko ishq tha.wahan k kharaab halaat ka batatey huey meri awaaz rundh jati.
    ,,Sandra mujhey koi jadoo ki chari la do k me Pakistan k halaat theek kar sakun kiyun k ab to wahan jadoo ki chari ya koi Khudai mojiza hi halaat theek kar sakta he.,, me bohat afsurda ho jati.
    waqt guzarney k sath ham dono ki dosti pakki hoti chali gai or me us ka eatimaad jeetney me kamiyaab hogai.
    ,,Sandra ne aik din bataya k is se pehley us ki dosti aik Indian larki Pooja se hui thi lekin us ne merey zariye sirf apney kaam nikalwaey or aaj mujh ko poochti bhi nahi he.,,cigirette ka aik gehra kashh le kar Sandra ne cigirette masal di or phir ham dono aik park me beth gaey.
    ,,hay Sandra sardi lag rahi he,,me ne topi se kano ko achchi tarha dhanpa.
    ,,aik to yahan ka mosam mujhey bohat na pasand he.sardi parney pe aati he to parti hi chali jati he.naak,kaan sab sunn ho k reh jatey hein.apney se ziyada to kapron or juton ka wazan ho jata he phir ye barish ki museebat bhi sath hoti he.,,me ne chatri ko zameen pe zor se mara.
    ,,ab batao me is heavy coat or juton ko heater k agey kab tak sukhati rahun?or garmi parney pe aati he to itni garmi parti he k bandey ki zabaan bahar nikal aaey. raat 10 bajey suraj ghuroob hotey me ne to kabhi nahi suna tha,,me mosam ko bura bhala kehney lagi.
    Sandra hans pari,,tum ko to sirf mosam na pasand he jab k mujhey is mulk,is k loge,is ki zabaan,is ka rehen sehen,khana,libaas,rasumaat, gharaz k har cheez se nafrat he.,,

    Last edited by hayaa_n; 5 November 2005, 00:54.
    :roseENIGMA:rose

  • #2
    Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

    me ne herat se us k face ko dekha,,,kiya kaha tum ne? kiya.....?
    ,,han me theek keh rahi hun,,wo sanjeeda thi or us ki aankhein mazeed bheeg gai thein.
    ,,me Pakistani hun.me wahin peda hui thi or wahein meri death hui thi.isi liye to mujh ko Pakistani loge,un ki zabaan,un ka rehen sehen,khana,libaas gharaz k har cheez pasand he.,,wo laal angara si aankhein liye bolti chali gai.
    me ne ghabra k usey jhinjhora.,,,Sandra,Sandra....tum pagal to nahi hogai ho?kiya bakk rahi ho?kiya tum Pakistan ja chuki ho?me ne herat se poocha.
    wo sanbhal gai thi,hatheliyon se us ne apni aankhon ko be'dardi se ragarr dala.
    ,,bataun gi dear,sab bataun gi lekin phir kabhi.,,wo achanak merey gaal choom k aik texi me beth k chal di.
    or me hakka bakka akeli khari reh gai.
    raat ko us ne phone kar k mujh se apney rawayye per sorry kiya.
    aik din ham bahar coffee pi rahey thay k me ne us se kaha.,,Sandra kabhi apney ghar mujh ko bulao or apni family se bhi milao.,,
    us ne udaas nazron se mujhey dekha or ahista se boli.,,aaenda aisy baat kabhi na kehna.meri family Pakistaniyon se bohat nafrat karti he.,,
    merey dil ko sakht dhachka laga or me ne shadeed naagwari se poocha,,kiyun?,,
    ,,bataun gi yaar, bataun gi,,abhi to tum aik good news suno.mujhey Barcelona me job mil gai he.next week me join kar rahi hun.,,wo apney glass me wine undeltey huey boli.
    ,,kiya?,,or tum mujh ko ab bata rahi ho?,,me ghussey se boli.
    ,,kesey batati?mujhey to khud kuch ghanto pehley pata chala he,,us ne wine ka ghoont bhara.
    ,,me ne to aik add.me dekh k apply kiya tha or interview bhi de aai thi lekin mujhey umeed nahi thi k mujhey call kar liya jaey ga.aaj letter mila he to pata chala he.,,us ne bataya.phir meri taraf ghowr se dekhney lagi.,,kiya tum khush nahi huein?,,us ne muskura k meri aankhon me jhanka.
    ,,nahi ye baat nahi he.me bohat khush hun.lekin pardes me itni achchi dost ki judai se dil ko dhachka lagna aik fitri baat to he na?,,me buri tarha ro pari.
    ,,arey meri jaan,tu mujhey itna chahney lagi he.ye tum Pakistani aisey hi hotey ho.yaar ,me har month weekend pe aaya karun gi or phone waghera se bhi raabta rakhun gi na.,,wo khud bohat udaas thi lekin mujh ko tasalli de rahi thi.
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #3
      Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story


      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

        wo gehri soch me doobi hui qehwa piti rahi or us k baad us ne dono ghutno me sir de liya.thori der baad sir uthaya to us ki ankhein surkh ho rahi thein.
        ,,dear.me kiya bataun?kahan se bataun?kiya kiya bataun?tum shayed sab kuch ghanton me sun lo gi.sab kuch jaan jao gi lekin ye kuch ghanton ki to baat na thi,salon pe muheet he dastaan meri,kitni hi subhein,kitni hi dopehrein,kitni hi shamein or kitni hi raatein shamil hein is kahani me.me guzra hua lamha lamha tum se share karna chahti hun lekin esa hona mumkin to nahi.,,
        ,,tum darmiyaan me mujhey na tokna,shayed me kahin be rabt bhi ho jaun lekin tum sunti jana.,,
        me khamoshi se us ka face dekh rahi thi.
        Sandra ne cigirette sulgaya or aik gehra kashh le kar dhuwan fiza me bikhair diya.kuch der k liye us ka khubsoorat face dhuwein k margolon k peechey dhundla sa gaya.wo dheerey dheerey bol rahi thi

        Ali or me aik sath parhtey thay.wo Pakistani larka tha.us k perents Pakistan me rehtey thay lekin un ka residence permit Spain ka tha or wo yahan bhi aatey jatey rehtey thay.ye room jis me aaj ham bethey hein Ali isi me rehta tha.
        Ali behad haseen,zaheen,or khoobsurat sochon ka malik tha.larkey us se jelious rehtey thay kiyun k larkiyan Ali ko bohat pasand karti thein.larkey tarha tarha se Ali ko teachers ki nazron me neecha dikhaney ki try kiya kartey thay lekin Ali ka result,us ki shaksiyat,us ka saiher or guftugu ka ba adab lehja un ki koshishein nakaam bana deta.
        Ali ko football k game se junoon ki hadd tak lagao tha.wo Barcelona ki team ki taraf tha jab k mujh samet ziyada tar studant Real Madrid ki team ko pasand kartey thay.jab kabhi in dono teams ka match hota Ali ka face or josh.o.jazba qabil-e-deed hota.khoob naarey bazi hoti.larkey battamizi pe utar atey lekin Ali tehzeeb ka daman kabhi hath se nahi chorta tha.
        in dino me swiming seekh rahi thi k me ziyada deep pani me chali gai.Ali ne hi meri jaan bachai or phir ham dono ghair mehsoos tareeqey par aik doosrey k qareeb aatey chaley gaey.
        hamari mohabbat ki ibtida bohat riwaeti si thi.phir aik waqt easa bhi aaya k ham aik doosrey k liye lazim.o.malzoom ho gaey.
        na Ali ne chaand tarey tor k laney k dawey kiye thay or na hi me ne us ki mohabbat me jaan de deney ki qasmein khai thein.haan,ham ne bohat se aisey khuaab zaroor dekhey thay jinhein ham sach karna chahtey thay.
        hamarey sathi studants me sab ko hi ye baat pata chal gai thi k Ali or Sandra aik doosrey k deewaney hein.merey ghar walon ne eatraaz bhi kiya lekin me ne un ko qaail kar liya k Ali sirf mera amigo(dost) he kiyun k wo study me meri help karta he is liye doosrey jaltey hein or aisy batein kartey hein.
        dar asal hamari Jitano family me ye riwaaj he k larka chahey 10 larkiyon se dosti kar le lekin shadi us ko Jitano larki se hi karna parti he.larki k liye mazeed sakhtiyan hein.us par zor diya jata he k wo sirf larkiyon se dosti rakhey.

        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • #5
          Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

          me kiyun k taleem hasil kar rahi thi is liye merey ghar waley ziyada sakhti nahi kartey thay or wesey bhi kon sa me un ki sunti thi.Ali k perents ba'qaedgi se yahan atey thay.Ali ki dekha dekhi me bhi un ko Mammi or Papa kehti thi or wo bhi mujh ko betiyon ki tarha hi pyar kartey thay.jis saal Ali k perents nahi aatey thay wo 1 month k liye Pakistan chala jata tha or wapsi par merey liye tarha tarha ki Pakistani cheezein bhar k le ata tha.
          Ali jata to 1 month taweel ho k sadiyon par chaa jata.sooraj chamakna chour deta,sitaron ki jagmagahat madhamm par jati,phool murjha se jatey,har taraf sirf khizan ka mosam basera kar leta.Ali meri aankhon ki putli tha or us k bagher me naabeena(blind) ho kar reh jati thi.har cheez ko sirf Ali ka intizaar hota.
          Ali wapas aata to apney sath suraj ki taabnaki,taron ki chamak,phoolon ki tar.o.tazgi or bahaar ka mosam bhi le aata.meri naabeena aankhein phir se rowshan ho jatein or suhaney sapney dekhney lagtein.
          me ba'wajood koshish k Urdu na seekh saki.meri Urdu chand tootey phootey lafzon tak mehdood rahi.Ali merey liye khana pakaney ki bohat se books bhi lata tha jo k english me hoti thein or wesey bhi me Ali ki Mammi se bhi Ali ki pasandeeda dishes pakana seekh chuki thi.
          me ne QURAN SHARIF sameat bohat si islami books k tarjumey parhey thay or me Deen-e-Ialam se bohat mutassir thi.mujhey apney mazhab me koi charm nazar nahi aata tha.apney mazhab ki kai baton ko mera mind qubool nahi kar pata tha jab k Deen-e-Islam har tarha se mujhey mukammal nazar aata.me aksar isi silsiley me Ali se baat cheet karti thi or wo mujhey mazeed Islami nazaryaat se muttila karta.ham ghanton behes kartey rehtey thay.
          sach hi kehtey hein ishq or mushk chupaey nahi chuptey.merey ghar walon se bhi ye baat posheeda na reh saki k me Ali ki mohabbat me door nikal chuki hun.itni door k mar to sakti hun lekin wapsi na mumkin he.
          merey ghar waley Ali k khoon k piyasey ho gaey.mujhey merey bhaiyon ne rui ki tarha dhunak dala.me ne police me apni family k khilaaf report likhwa di or bayaan likhwa diya k mujhey or Ali ko koi nuqsaan pohncha to us k zimmey daar meri family ho gi.
          merey bhaiyon ne qasam khali k,, chahey hamein mowt ki saza ho jaey,ham Ali ko jaan se maar dain ge.,,
          mujhey pata tha k merey bhai easa kar guzrein ge kiyun k meri family ko bohat sharmindagi ka saamna tha or bohat zillat uthana par rahi thi.
          baat itni aagey barh chuki thi k ham jo profesional life me qadam jamaney k baad shadi karna chahtey thay, ab hamein forann shadi karna thi.
          Ali ne tamaam batein poori sachchai se apney parents ko likh di thein lekin phir bhi ye tamam batein clear nahi ho parahi thein.wo mujhey pasand to kartey thay lekin me un ko Bahu ki soorat qubool na thi.
          itni sari batein itni door se clear nahi ho parahi thein or Ali mujh ko in halaat me tanha chour kar jana nahi chahta tha lekin phir merey samjhaney par wo majboor ho gaya or apney parents or khandaan walo ko razi karney k liye khamoshi se Pakistan chala gaya.
          me ne apni family ko ye hi bataya k Ali ko us k parents ne hamesha k liye Pakistan bula liya he kiyun k un ko yahan apney betey ki jaan ka tum logon se khatra tha.
          me darasal un ko bhi thora thanda karna chah rahi thi or khud bhi thora sukoon se rehna chahti thi k jab tak Ali Pakistan me tamaam kaarwai mukammal nahi kar leta me wesey bhi tension ka shikaar thi.
          Ali se meri sirf kuch minuts ka raabta hota tha is liye k merey bhai saey ki tarha mera taaqub kar rahey thay.
          phir 1 maheena kheriyat se guzar gaya to meri family thora dheeli par gai k waqai Ali ka baab (chapter) khatam ho chuka he or ab un k khayaal me fikar mand honey ki koi zaroorat nahi thi.me ne( gracias A DIOS) thanks God ada kiya.
          Ali ne mujhey aik din phone pe tamaam tar tafsilaat se aagah kiya k,, merey Mammy Papa razi ho chukey hein lekin tum ko hamesha k liye Pakistan aana parey ga or Islam qubool karna parey ga.us k baad yahan par hi hamein shadi k bandhan me bandhna hoga.hamein apna mustaqbil Pakistan me hi banana hoga ya phir naakami ki soorat me kisi aisey country ka sochna hoga jo k Spain se door ho.tum 5th December ki apni seat swiss air se karwalo lekin bohat hi ehtiyaat se,kisi ko zara sa bhi shak na ho.me tumhari taraf se bohat fikar mand hun or han meri jaan, aik martaba phir thandey dil.o.dimagh se soch lo,jazbaat se hat k soch lo,,
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #6
            Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

            mujhey bhala kiya sochna tha,mujhey to is poori kainaat me Ali k siwa koi doosra face nazar hi nahi aata tha.me to sir se paon tak us ki ho chuki thi.me ander hi ander khushi se pagal ho rahi thi k me bhi ab daira-e-Islam me dakhil ho jaun gi.me Ali ki dulhan banu gi,Pakistan me rahun gi or pata nahi me ne kiya kuch soch dala tha.
            me ne apney rutine me kisi qisim ka farq nahi aaney diya tha.meri Mammi or Papa se bhi phone pe baat hoti thi.wo to abhi se mujh ko Fatima k naam se pukarney lagey thay.mujhey bhi apna Islami naam bohat pasand aaya tha.ham sab bohat khush thay.
            4th December ko Ali ne mujhey last call ki or mazeed hidayaat dein wo merey liye bohat fikar'mand tha.me ne us ko har tarha itminaan dilaya.me ne sab k liye khamoshi se dheron gifts khareedey thay or meri family ye samajh rahi thi k me new year waghera k liye shoping kar rahi hun.
            me ne or Ali ne jo khuab dekhey thay,un ki tabeer milney ko thi.me Sandra se Fatima Ali k khoobsurat wujood me dhalney ko thi.
            5th December ko me ne khamoshi se soey huey ghar walon par alwidai nazar dali.meri aankhein aansuon se bhar gaein k me un sab ko bhi behad chahti thi.phir me ne un sab ko dil hi dil me bye kaha or hamesha k liye ghar ko chor diya.
            me suhaney khuab aankhon me sajaey by bus Madrid ja rahi thi.jahan se by air mujhey Pakistan fly kar jana tha k achanak mera mobile bajj utha.me muskura pari k ye Ali hi hoga.

            ahhhhhhhhh,,wo phone tha ya qayaamat jo mujh par toot pari thi.wo Ali ki Mammi ka phone tha,wo ro rahi thein,cheekh rahi thein,chilla rahi thein.unhon ne aahon or siskiyon k darmiyaan bataya k Ali merey liye apni pasand ka shadi ka joura khareed k gari me beth hi raha tha k aik na maloom gari fireing karti hui guzri.Mammi to mehfooz rahein lekin Ali ne un ki gode me aanan faanan dam tor diya.
            wo mujhey koss rahi thein k,,Sandra,tumharey manhoos wujood ki wajha se Spain me bhi mowt merey betey k taaqub me thi or yahan bhi tumhari nahuusat us ko ham se hamesha k liye cheen kar le gai.Allah karey tum bhi isi tarha apni maa ki aghosh me damm toro.me tumhein kabhi maaf nahi karun gi,,haay,ab me kis tarha ji sakun gi.,,
            Mammi na janey kiya kiya kehti rahein lekin mujhey kuch hosh na raha,seeney me utney wali shadeed teeson se me behosh hogai thi.bus abhi Cordoba ki hudood me hi thi.mujhey hospital pohnchaya gaya or meri family ko ittila ki gai.
            han,mujhey heart attack hua tha lekin meri badd naseebi k me bach gai.doctors ne jab ijazat di to ghar waley mujhey ghar le aaey lekin kisi ne mujh se kuch bhi na poocha.
            phir mujhey ehsaas hua k wo sab to mujhey bohat chahtey thay.lekin mujhey kisi ki chahat ka kiya karna tha? mujhey yaqeen nahi aata tha k mera Ali ab is duniya me nahi he.easa lagta tha k abhi wo kahin se aakar ,,how,,ki makhsoos awaaz nikaal kar mujhey dara de ga.mujhey yaqeen nahi aata tha k me or Ali hamesha hamesha k liye juda ho chukey hein.
            Logged
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #7
              Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                ,,tum ne ye kis tarha samajh liya k tum ko mazhab-e-Islam qubool nahi karey ga.arey naadaan,hamarey mazhab me to sirf or sirf mohabbat hi mohabbat he.har jagha mukhtalif pairaey me mohabbat ka hi darss diya gaya he.jin ko insaniyat se mohabbat ho,insani rishton se mohabbat ho,imaan se mohabbat ho,apney deen or dunyawi faraaiz se mohabbat ho,Allah or us k Rasool(P.B.U.H) ki batai hui har har baat se mohabbat ho,har zee rooh se mohabbat ho.wahi to musalman hotey hein----
                ,,Sandra,mujhey yaqeen he k tum sachey dil se Allah k huzoor girgirao gi,sajdey me ja k ro gi to Allah Taalah tum me aik easi ruhani taqat peda kar dein ge k sharaab or is jesey doosrey be'kaar sakarey khud bakhud choot jaein ge.duaon me bohat ziyada taqat hoti he,,,
                Sandra mujh se lipat k ro rahi thi or keh rahi thi.,,kiya me waqai musalman ho sakti hun?Ali ki khuahishaat or khuab ab bhi purey kar sakti hun?kiya me Barcelona,Fatima Ali k name se ja sakun gi?,,
                ,,han Sandra,easa zaroor hoga.me maqami masjid k molwi sahib se baat karti hun.is neak kaam me ham sab hi tumharey sath hein.
                ,,Sandra jesa k tum janti hi ho k me kahaniyan likhti hun.agar tum ijazat do to me tumhari kahani bhi likhna chahti hun k Sandra kis tarha Fatima Ali k khoobsurat wujood me dhali?,,
                ,,Sandra ne thori der kuch socha phir dheerey se boli.,,Zara,meri kahani shohrat k liye nahi he or na hi me is ko aam karna chati hun lekin ho sakta he k ye kahani Ali ki Mammi ki nazron se bhi guzrey or wo mujh ko maaf kardein---han,tum meri kahani zaroor likhna,,wo merey galey lag gai or merey gaal chumney lagi.
                mujhey chumtey huey wo gellary me aa'gai or barasti aankhon se aasmaan ki taraf is tarha dekhney lagi jesey k us ka Ali aasmaan ki wusaton se jhaank kar apni khushi ka izhaar kar raha ho.


                (Tamaam kirdaar aur kahaani farzi aur zaihni takhleeq hay)

                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                  wowow kiya khoob likha

                  aur commemts baad may dati hun:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                    Rabi ji print out kar k read kar lijiye is liye kay taweel hay.
                    Bouhat shukriya reply ka.:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                      AOA,

                      bohat khoob ji barre he acha andaaz hai aap k likhne ka barre ache andaaz se aap nain zindagi k aik hise ko baiyaan kia aap nain kari k liye ahsi tahreer k parrte hoye uss ki dilchasbi barrti jaye khoob hote hai aap nain ahsa he koch racha hai bohat khoob:thmbup:


                      Sohail Abbasi.
                      Apna haq ada karo.

                      Comment


                      • #12
                        Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                        Originally posted by khan
                        AOA,

                        bohat khoob ji barre he acha andaaz hai aap k likhne ka barre ache andaaz se aap nain zindagi k aik hise ko baiyaan kia aap nain kari k liye ahsi tahreer k parrte hoye uss ki dilchasbi barrti jaye khoob hote hai aap nain ahsa he koch racha hai bohat khoob:thmbup:


                        Sohail Abbasi.
                        W.salaam
                        :jazak: :) Khan ji itnay umda lafzon mai ki gai howsla afzaai k liye bouhat shukar guzaar hun... Kahaani pasand karnay ka bouhat shukriya..:)
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                          wah hayaa sis..kya kehne..bahut umda... abhi ap ke interview mein aap ke baare mein paRha tha jahan aapne likha ke aap afsaane likhti hain aur magazins mein baqaayedi se chapti bhi hai.....to main chali aayi yahan aap ki koi tehreer paRhne aur nazar sab se pehle is afsaane pe paRi...wah bahut hi achcha likha hai aapne..bahut achche se kahani ka aaGhaaz kiya aur ikhtetaam bhi umda hai....garz poori kahani baDi chust lagi...mashaALlah aap bahut achcha likhti hain....main inshaAlalh aap ki aur bhi tehrerein paRhungi...filhaal is khani pe dheron daad pesh hai! :)

                          Shumaila


                          P.S:waise magazines mein aap ki kahaniyaan kis naam se shaaya hoti hain...?

                          Comment


                          • #14
                            Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                            Aap ka reply bouhat hi howsla afza hay:jazak: :) mujhay bouhat hi khushi hui kay aap ko story pasand aai...Roman main read karnay main mujhay bhi Lutf nahi aata hay but majburi hay k mujhay urdu composing nahi aati.urdu main read karnay ka apna hi lutf hay...Bouhat bouhat shukriya.Khush rahiye sada.Aameen.:)
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Khoaiy Ho Tum Kahaa'n...Love Story

                              :)

                              haya wonderful, tumhara writing style bohot khoobsurat hai :thmbup:

                              ab aap urdu composing bhi seekh lein :D
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X