Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tasweer Kahani - November 2005

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tasweer Kahani - November 2005

    Assalamo allaikum - November key liye jo unwaan hai woh hai
    KHIZAAN
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Tasweer Kahani - November 2005

    :) mera favourite season. inshaAllah likhoon gi iss per.

    Comment


    • #3
      Re: Tasweer Kahani - November 2005

      khizah ka koi paaata tumhare chaman main na aye
      tum khush raho tumhari zindagi main koi ghum na aye

      khani unwan per tu mujhe kabhi bhi likhni nai aye :(

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #4
        Re: Tasweer Kahani - November 2005

        Originally posted by naz
        khizah ka koi paaata tumhare chaman main na aye
        tum khush raho tumhari zindagi main koi ghum na aye

        khani unwan per tu mujhe kabhi bhi likhni nai aye :(
        kahani thori hi likhni hai aap koi bhi tehreer likh sakti hien jis mey khizan ki akaasi ho ....:thmbup:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Attached Files
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Tasweer Kahani - November 2005

            buhat hi acha likhahai gul :D: :thmbup: :rose
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Tasweer Kahani - November 2005

              assalamalikum

              inpage main kuch problem hai is leye roman hi main post kar rahi houn :rose



              Qudrat ka nizaam apnay andaar hikmat or khoobsurti leye hovey hota hai...mousam atay hain mousam jatay hain ..har mousam apnay andar aik khoobsurti leye hota hai...
              khizan ka mousam apnay andar udasi bhi leye hota hai or umeedian bhi....yeh udaasi or verani bhi apnay andar buhat si hikmatain leye hoti hai ...insaan kuch dair akeela reh kar apni zaat kay baray maain jannay ki kushish karta hai ...Darkhtoun kay pattay aik aik kar kay gir jatay hain ...jesay har koi apni zindagi ji kar aglay safar ki taraf rawana hoo jata hai ...sabzi zardi main badal jati hai ...phool ghounghat main apna chehra chupa laytay hain ...is main bhi fitrat ka aik husan pinha hai..
              Khizan atay hi mousam ka nadaaz bhi badal jata hai ...hawa ka andaaz bhi badal jata hai ... or teez hawa baloun ko sehlaati jisam ko choo kar fizaaoun main gum hoo jati hai....shaam kay jalwoun main bhi khamoshi ki si kefeyat hoti hai....Badlti ruttian or guzratay lamhaye insaan ko yadoun hi to day jatay hain...or is mousam main yadaian bhi to teez hoo jati hain ..
              kabhi kabhi khizan ka mousam na janay kayoun apnay andar udasi ka mousam leye hove hota hai ....sada si khamosh fiza hoti hai.....bas patooun ki kharkaharaht ki awaaz sunai daiti hai...kabhi kabhi yeh awazz sakoon ka baas bhi banti hai...sookhnay pattoun pay chalnay ki awaaz or un ki sarsarahat dil ko buhat bhaati hai..aisa lagta hai jesay woh bhi ham say batain kartay hain ham say kuch kehna chahtay hain...is awaaz main bari apnayet hoti hai...kabhi yeh pattay kisi darakhat ki shaan they..or aaj zameen pay ..or kal kia pata in ko manzil kaha hoo ..insaan ki zindagi bhi to aisi hoti hai..aik waqat woh bhi barai shan o shokat say guzarata hai har pal us ki mutthi main hota hai ...pher..ahesta ahesta omar guzranay kay sath sath woh bhi aik sookhnay pattay ki taraha hawa kay saharay pay reh jata hai na janay woh usay kis manzil ki taraf lay jaye ..aik akhri safar ki taraf.......
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Tasweer Kahani - November 2005

                Originally posted by Aanchal
                assalamalikum

                inpage main kuch problem hai is leye roman hi main post kar rahi houn :rose
                koi baat nahi Aanchal,
                mey ney aeysey hi perh li hai :D

                aur bohot payyari tehreer hai :rose
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Tasweer Kahani - November 2005

                  :rose :thmbup:
                  Bohat he achaa likha hai aap dono ny Aanchal & Gul..
                  Mai soch rahe hon mai apna likha hoa post keron k nahe ..:embarasse

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tasweer Kahani - November 2005

                    Originally posted by aik_lerki
                    :rose :thmbup:
                    Bohat he achaa likha hai aap dono ny Aanchal & Gul..
                    Mai soch rahe hon mai apna likha hoa post keron k nahe ..:embarasse
                    tum ney abhi tak koi nahi post kiya
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Tasweer Kahani - November 2005

                      Mery pas Inpage main prb ho rahe hai..so mai roman ma he post ker rahe hon..
                      Yay mere aik chote se kawish hai ..:embarasse Ager aap isko sarah na sakay to mazak bhe mat uraye ga aur achi na lgay to mera dil rakhny k liay tareef mat kijy ga mager burae bhe mat kijy ga .. okay ..


                      Her mosam ki apni khoobsurte hote hai na .khizan ka mosam..jab pattay darakhton say jhar rahy hoty hain mohabat ki nisbat say kafe tehraoo ka mosam hai..Aik ajeeb se khalish ,aik ajeeb se kasak aur ajeeb se kashish na sab ishe mosam ka hissa hain.
                      mohabat aik darakht ki manand hai .usay pani ki jagah piar , roshni ki jaga sath aur ghiza ki jaga aaetabar ki zarorat hai. ager isay yay sab na milay to ghizan raseeda darakht ki tahah wo sookh jata hai ..
                      Is ki aik aik shakh mokhtalif rishton kay zawiyon say aashna kerwa dete hai.Yay mohabat ka darakht in ky sabab khoob phalta phoolta hai. kabhe marta nahe haan kise waja say kuch arsay kay liay tahar zaroor jata hai , mager phir wakt ky sath sath barhta jata hai. Ise tarah jesy khizan ky mosam main darakht bazahir to sookh jaty hain mager phir bahar ki amad kay sath he dobara haray bhary ho jaty hain to wo sookhy nahe hoty balky un main tehraoo aaya hota hai
                      khizaan ky mosam main her cheez bohat udaas udaas se lagte hai.jab darakht patton say khale ho jata ha.baagh veeran ho jaty hain , rangat napaid ho jate hai , patty idher udher bikhry hoty hain aur aik ajeeeb sa saz - e- dil chairty hain.
                      Jab dil kise ko yaad keray ya koe bichra yaad aa raha ho to khizan kay mosam dil kay aise he mosam ki akkase kerta hai.Akser ashhaar main bhe aise halat ko khizan ky mosam say tashbeeh de jate hai .
                      yay patta bhe aik ajeeb shah hai naa.jab tak darakht per rehta ha us ko khoobsurte ,zindage aur taazgi bakhashta hai aur jab gir ker darakht say alag hota hai tou khud bhe bay wuq'at ho jata ha aur darakht ko bhe udaas aur tanha ker deta hai aise he jesy kise ka saath zindage main kitne khushya lay aata hai na aur ager wo bichar ja'ay to khud bhe udaas hota ha aur dosry ko bhe tanha ker deta hai. mager yay to qudrat ka asool hai.ise liay to kehty hain shayad kay
                      paiwista rah shajar say umeed - e - bahar rakh

                      Comment


                      • #12
                        Re: Tasweer Kahani - November 2005

                        AOA,

                        Bohat acha likha hai aap nain:masha har aik jumla apni misaal aap hai agar ye pahli koshish hai to zabardast hai bohat khoob likha hai:thmbup:


                        Sohail Abbasi.
                        Apna haq ada karo.

                        Comment


                        • #13
                          Re: Tasweer Kahani - November 2005

                          Originally posted by aik_lerki
                          Mery pas Inpage main prb ho rahe hai..so mai roman ma he post ker rahe hon..
                          Yay mere aik chote se kawish hai ..:embarasse Ager aap isko sarah na sakay to mazak bhe mat uraye ga aur achi na lgay to mera dil rakhny k liay tareef mat kijy ga mager burae bhe mat kijy ga .. okay ..

                          aik lerki bohot achi si tehreer hai
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: Tasweer Kahani - November 2005

                            kuch thandak si honey lagi hai... dekho to kis terah saath chorrney lagey hein... pattey apney aangan kaa... ye to aamad hai.. khizaan ki aamad.. jharrtey bikhertey har simt kuch zard hotey... kuch.. karrkarratey pattey... nayee hawaon kaa saath detey huye... chorr chaley hein.. apna aangan... aur in ka shor... haan wohi jo aksar... is mausam ke zeenat bana rehtaa hai... sard hoti shaamen hain.. raat kitni taareeki le ke phir se aayee hai... kis qadar sunsaan honey lagi hain.. sarrken shaam se... ithalti chirryan so gayeen ... thand ke khauf se ... sooraj dhaltey dhaltey... kis qadar ... khaamoshi hai.. kis qadar taareeki hai... perr simtey simtey hein... kaiiynaat main har orr.. har nazara .. sard hai... phir se Khizaan jo aaayee hai...


                            by, me ( A)





                            I dono woteva came in my mind i have posted here... briefly.. :embarasse
                            Visit My Early PS Work
                            You Are Welcome To Comment

                            Comment


                            • #15
                              Re: Tasweer Kahani - November 2005

                              sub nay hi bohat accha likha hova hay
                              me ko confuse ker diya :-s

                              Comment

                              Working...
                              X