duur tak mayosiya,mahromiya,nakamiya
zindagee soz tamna ky siwa kuch bhi nahi
zindagee soz tamna ky siwa kuch bhi nahi
Sadiyo sey asa ho ta chala gya hy , kay jab bhi kisi larki nay izhar-e-muhbat kya tab tab zamany
ny us hi ko gunha gaar aur dil ko hila dey ney walay kalmaat sey nawaza.Markazi rishty daro nay
to thomat kay khanjer pahly hi thamay aur jag ney parwan charhaya.jis ki kokh sey janam liya jata
whi muhbat ka libas pahany dekhti to marny ki dua kar ti , whi saya jo saro per shafqat bana rahta,whi
moth ka darwaza khulta,aur whi bhiyo ky hatho ki taqat jo doli uthany ky kaam ati, muhbat sun tay hi
mayat ka saman akhta kar ti.
Mein bhi aik asi hi larki thi jis ny muhbat ko siny sey laga liya. ........ kisi ko dil main basa lay na , kisi ko
cha lay na koi gunha-e-azim to nahi! Insaan thi farishat nahi jo dil na laga pati,mera wajood tha, mujhy bhi
bahaar ka mosam aur december ki meethi sardi apny aghosh main lay ti hi thi.isi masharay nay agr un aurt ka janam dekha jo apny aap sey , masiyato ko parwan charhati to yahi wo mashra hy jis nay sheeri farhad ko aur laila majno jasy dolaty muhbat sey nawaza.un ki muhbat bhi parwan charh kar amar hi hui.
Kitabo ko, tareekh ko aur dastano ko un ki pak muhbat sey hi bhara gya , un ki muhbat ahtram-e-nazr samjhi jay aur meri muhbat gustakh-e-nazar !
yahi log jo kal tak mery talab gar rahy, yahi log jo mei aik muskrahat per, meri aik khuish per dunya -o-jhaan nichawar kar dey tay aaj whi sab mery liya moth ka saman banay hui ..........suaghat kar tay hein
Her qadem per natnay sanchay main dhal jatay hein log
Dekhty hi dekhty kitnay badal jatay hein log
Haan! manti ho kay may nay bhi pyaar kya hein , per hifz-e-maratb ka saath nahi chora hein , apni dhaleez ko par nahi kiya hein , Ghor-o-khoz sey to muhbat janam nahi lay ti hein , zindagee ky kisi bhi morh per koi na koi to acha lag hi jata hein , Insan key jism mai n aik dil bhi to pawista hi hein jo kabhi na kabhi kisi ki ahat sun kar dhark sa jata hein.agr mein bhi is darya main kodh pari to kon sa gunh-e-azim kar liya. Khuda sey muhbat karay to jayz hein , aur us kay bando sey kar li jay to khami parwan charhy.Wo larki jo sari zindagee apny pyaro ky dermyan ankh ka tara bani rahy gr muhbat kar ly to un hi ankho main shulo ko bhrka dey.
Meri zindagee koi Safh qartas nahi kay jis ka ji ho whi ajarahdar banta chala jay. bikney kay liya is bazar main aur bhi hein.
Ya thik hein nahi marta koi judai mein
khuda kisi sey kisi ko magr juda na kary !

Aaj ! ka din main kasy bhool sakti hu ----- aaj hi kay din mujhy ruswa kiya gya , wo shaks ghanto tapti dhoop main girgarhta rha, minaty karta rha , wo jo kabhi kisi kay aagy jhuka nahi , qadmo main sir jhukay batha apni muhbat ki bheeg mangta raha per is dunya ka kum zurf asoolo nay , is qhoram macha dey nay wali dunya kay logo nay meri bhi muhbat ka janaza baray hi zor -o-shor sey uthya.Shikwa kisi sey nahi , giila kisi sey nahi. per aik Aah! uthti hey ..........kay kash meri bhi muhbat ko samjha jata , mujhy bhi muhbat ki dolat sey mala maal kar diya jata.
Gunha jab ho ta jab dhaleez ko par kya jata , gunha jab ho ta jab bhai ka sina jhukta aur baap ki qamer aur maa ki chader girti.Mey nay to pakizgi ka koi bhi daman na chora. Kichar ki kisi bond ney mery daman ko maila nahi kiya.Phir bhi mujhy Zawiya zindaa rakha........
Kya koi shreef larki , pakiza daman aur hawa ki bayti izhar-e-muhabt kar dey to badmazaki ki haqdar hein ? kya muhbat kar na bass un hi larkiya ka shiwa samjha jata hay jo muhbat ko chand siko ky aoz gandagi ka parwan charhati hein? jo muhbat ko mhaaz zarya maash samjhti hein , muhbat to aik pakiza jazba hein , aik asa sur hein jo kisi kisi kay dilo main gujh payda kar ta hein haan ! Muhbat to anmol hein.
haan anmol hi hein ........
Anso hansi hansi main nikal ay kuo faraz
bithey bithay kon sa gum yaad aagya
! bithey bithay kon sa gum yaad aagya
Date : 1st Nov 2005
Time: 4:48 am
Comment