Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hum kaise pagal......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hum kaise pagal......

    :rose :rose
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
    Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay
    Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
    Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Kay Dhundalay Aaino Main Apna
    Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay
    Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
    Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
    Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
    Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
    Hum Pedal Nikla Kartey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Jab Barish Barsa Karti Thi
    Hum Chhatri Main Chhup Jaatey Thay
    Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
    Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
    Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
    Jab Dur Chala Jata Tha Wo
    Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Jab Sari Duniya Soti Thi
    Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
    Jab Sari Duniya Jaag Uthi
    Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
    Hum Kitney Pagal Hotey Thay
    Hum Kaise Pagal Hotey Thay
    Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
    Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain:rose

  • #2
    Re: Hum kaise pagal......

    nice one

    Comment


    • #3
      Re: Hum kaise pagal......

      Originally posted by riyaz
      :rose :rose
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
      Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay
      Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
      Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Kay Dhundalay Aaino Main Apna
      Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay
      Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
      Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
      Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
      Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
      Hum Pedal Nikla Kartey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Jab Barish Barsa Karti Thi
      Hum Chhatri Main Chhup Jaatey Thay
      Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
      Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
      Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
      Jab Dur Chala Jata Tha Wo
      Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Jab Sari Duniya Soti Thi
      Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
      Jab Sari Duniya Jaag Uthi
      Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
      Hum Kitney Pagal Hotey Thay
      Hum Kaise Pagal Hotey Thay
      Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
      Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain:rose

      very nice sharing Riyaz Bhai........agar aakhir mein yeh misra bhi hota na to aur zayada acha lagta....
      jub hum bachay hotay thay :)

      Comment


      • #4
        Re: Hum kaise pagal......

        Asslam-o-Alikum WR WB


        Bhot umda :) pyary pyary words hy ... per aik tarf ishara karana hy ... ya nazam hy ? kuo ky bhot jagha kafiya mily hy...... ya shayd radif khty ho gy lolzz me ko khud nhi pata but pyari pyari si hy

        FeaamnAllah
        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


        Comment


        • #5
          Re: Hum kaise pagal......

          Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
          Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay


          AOA,

          Bohat acha kalaam parrhaya hai aap nain:masha muje ye shair bohat pasand aya :thmbup:


          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment

          Working...
          X