Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

% Khudh se barh ker %

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • % Khudh se barh ker %

    Insan ka khudh se barh ker kabhi bhi
    • Koi Dost nahi hota
    • Koi raaz darr nahi hota
    • Koi ustaad nahi hota
    • Koi sahara nahi
    • Koi sath nahi
    • Koi musheer nahi
    • Koi Hamdard nahi
    • Ager ban jayeh to Insan ka khudh se barh ker koi dushman bhi nahi.
    sigpic

  • #2
    Re: % Khudh se barh ker %

    v well said :thmbup:
    mey ney khud apni zindagi sey yahi sab seekha hai
    ye dunya key log bohot ajeeb hain :D:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: % Khudh se barh ker %

      Zabardast - bohat achha likha hai magar qareeban qareeban sari baton sey itifaaq hai magar USTAD wali baat sey itifaaq nahi. Insaan kisi bhi maidan mein ho bghair rehber key kuchh nahin kar sakta. Ustaad ki fazeelat bohat buland hai aur bghair ustaad key kuchh seekhna mumkin nahin. Zaroori nahin keh ustaad har qadam peh seekhaey lekin uska raastey per daal dena hi kaafi hota hai...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: % Khudh se barh ker %

        Originally posted by Masood

        Assalaam o alekum,

        G masood bhai sab kuch ho saktaa hai lekin ustaad waali baat to yun hai ke ager usstad naa huaa to kuch bhi nahin ho saktaa
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment

        • #5
          Re: % Khudh se barh ker %

          ahaan sahi :clap:

          Comment

          • #6
            Re: % Khudh se barh ker %

            teacher sey berh waqai koi nahi hamein seekha sakta...
            is topic mey "khud sey berh ker" .... "koi ustaad nahi hota" mujhey ye samjh ayi thi key hum apney life experiences jo seekhtey hein wo hum kisi bhi doosrey insaan sey nahi seekh saktey .... so... am i rght?
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: % Khudh se barh ker %

              Gul I am agree in those terms as well. Jo ham apni zindagi mein seekhtey hain woh sab sa bada sabaq hota hai, magar jo hamein hamari zindagi mein seekhati hai woh zindagi hoti hai, yun zindagi aik ustaad hai, zamana hamaein seekhata hai, zamana hamara ustaad hai. Sach yeh hai keh jab tak koi seekhaney wala nhin ho ga to seekhna mumkin kaisey ho sakta hai?
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: % Khudh se barh ker %

                Originally posted by Masood
                Gul I am agree in those terms as well. Jo ham apni zindagi mein seekhtey hain woh sab sa bada sabaq hota hai, magar jo hamein hamari zindagi mein seekhati hai woh zindagi hoti hai, yun zindagi aik ustaad hai, zamana hamaein seekhata hai, zamana hamara ustaad hai. Sach yeh hai keh jab tak koi seekhaney wala nhin ho ga to seekhna mumkin kaisey ho sakta hai?
                Masood and Khurram,

                Aap dono ne darust kaha ke sikhaney ke liyeh oustaad ka hona zarori hai, sirf ustaad hi nahi, hum apney sath jurey her rishtey se kuch na kuch seekhtey hain, maan baap, bhai, behan, dost garz her kisi se .......... Magar main ne jis nazriyeh ke teht yeh likha hai wo yeh hai ke Insan apni zindagi main her tarah ki mushkilat, aazmaishon se guzarta hai, kayi bar dhoka khata hai, kayi baar thoker lagti hai. Apni zindagi ke har morh se her tajurbey se ousey kuch na kuch seekhne ko milta hai ager wo seekhna chahyeh to, ager wo apni zaat ka iqtibas karey, apney halat ko evaluate karey, sochey samjhey, tabhi kuch seekh pata hai, ke ous ne kaha kon si khata yaah kotahi huwi, jis se aainda ousey mohtat rehna chahiyeh ..... jab tak insan ke apney shaour main yeh sab batein na hon, wo zindagi main haazar thokrein kha ker bhi nahi sanbhalta. Main ne is baat per yeh likha, ke Insaan ka khudh se barh ker koi ustaad nahi :)

                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: % Khudh se barh ker %

                  Originally posted by barg.e.gul
                  teacher sey berh waqai koi nahi hamein seekha sakta...
                  is topic mey "khud sey berh ker" .... "koi ustaad nahi hota" mujhey ye samjh ayi thi key hum apney life experiences jo seekhtey hein wo hum kisi bhi doosrey insaan sey nahi seekh saktey .... so... am i rght?

                  G mera matlab bhi yahi tha :)

                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: % Khudh se barh ker %

                    aap ny bilkul theek kaha

                    Comment

                    Working...
                    X