Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

    ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya
    (2 Parosno'n Ki Dilchasp Kahaani)


    ,,Kiya museebat he,ye kown bell par haath rakh kar bhool gaya he?,,me jaldi jaldi toliye se haath saaf karti main door ki taraf muri.
    eye door se jhaanka to Mrs.Sarosh jin ko me ''saresh'' kehti thi( kiyu'n k wo ghanton meri jaan se chipak jaati thein) khari thein.dil to chaha k bell bajney doon,khud hi thak kar chali jaaein gi lekin 3 saala Fahad jo itni mushkil se soya tha,wo bell ki aawaaz se uth jata.
    me ne baa dil-e-na khuasta ghar ka darwaza be dili se khol diya.honton ko zabardasti khench k muskurahat ki shakal deti hui boli.,,arey aap,,aaiye aaiye,me ne raasta diya.arey saath me beti Natasha bhi he.(kambakht bilkul batasha lagti he,safead mooli jesa rang,safead hont oor chapti pahiyya phiri naak dekh kar mujh ko batashey ki yaad aa jati thi)
    me un ko liye drawing room ki taraf qadam barhaney lagi oor duzdeeda nazron se 11 sala batashey ko dekhney lagi,abhi maasi ne poncha lagaya tha oor wo apney gandey shoes se farash par nishaan banati hui apni ammi k saath drawing room me sofey par beth gai thi.
    ,,arey mrs.Sarosh,aaj aap kiya le aaein?,,
    ,,Allah karhi pakai thi,socha aap ko bhi de aaun.,,
    unhon ne donga meri taraf barhaya.me ne oopri plate hata kar karhi dekhi oor bari mushkil se ubkaai ko roka k zindagi me pehli martaba harey rang ki karhi dekhi thi.
    ,,shayed ghans se baghaar kar laai hey.,,me ne dil hi dil me socha.
    ,,bohat shukriya.aap hamesha bohat lazeez khaney pakati hein,bohat zaaeqa he aap k haath me.,,
    hamesha un k laaey huey tajreedi namooney me bagher chakhey hi maasi ko de deti thi.
    ,,aap bethiye,me abhi aai.,,ye kehti me kitchen me chali aai oor Saresh oor batashey k liye be dili se rooh afza gholney lagi.,,kambakht har doosrey din moon uthaey chali aati he,ghar me deeda hi nahi lagta.har waqt is tarha bani sanwri rehti he,jesey kisi taqreeb me janey wali ho.baal baal sanwra huwa.nafasat se pehna fitt libaas,har cheez maching ki,face pe saleeqey se jama jamaya make up.hamesha us waqt aati he jab Ahmad k office se aaney ka time ho raha ho.me ne dehel k wall clock ki taraf dekha oor ye shuru ho jaey gi.Allah Ahmad bhai wallah Ahmad bhai,,
    oor in k jaaney k baad mujhey Ahmad ka 100 martaba ka diya hua lecture phir se sunna parey ga k 3 bachon ki maa hein or apna kitna khayaal rakhti hein.ghazab ki smart hein oor apna aap kis qadar sanbhaal k rakhti hein.aik tum ho k aik bachey k baad hi pheal gai ho.kitni martaba kaha he k maasi se har kaam karwa liya karo magar poncha khud hi lagaya karo k is se jism banta he.achi bhali shakal ko majaal he jo kabhi sanwaar hi lo.sirf ghar se bahar jatey waqt honton pe be dili se lipstick laga leti ho warna to ujri pujri hi nazar aati ho.
    oor ye batein sun kar mera dil saresh ki taraf se ghussey oor hasadd se bhar jaata.me Ahmad ki batein suntey huey saresh ko faraakh dili se kosti rehti.intehai bani hui aurat thi,mujhey aik aankh na bhati thi lekin aik hi block me rehney ki wajha se wo jab dekho moon uthaey chali aati.

    Last edited by hayaa_n; 9 October 2005, 00:44.
    :roseENIGMA:rose

  • #2
    Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

    ,,Irum plz,takalluff matt kijiye ga.,,un ki intehaai bani hui mutarannum aawaaz ne mujh ko chownka diya.me ne maasi ko zaroori kaam samjhaey oor tray saja k drawing room ki taraf barh gai.
    ,,Allah,me to bas chandd minut ko kharey kharey aai thi.,,wo saji hui tray dekh k mazeed sofey pe late si gaein k 2 ghantey se pehley kahaan jaan chorein gi isi liye me un ko saresh kehti thi.poorey block me aik me hi to be waqoof thi k dil me bura bhala kehti thi lekin is qadar ba murawwat thi k har doosrey din tray cheezon se saja k un k aagey rakh deti thi,warna to block waley kahan un ko moo'n lagatey thay.
    ,,arey nahi,aap bethein,aap ka apna ghar he,bas Ahmad aaney waley hein to me maasi se kaam khatam karwa rahi thi.aaj un ka half day hota he na.,,
    ,,chalein acha huwa me karhi le aai.,,wo pastry khatey huey bolein,,Ahmad bhai showq se kha'lein ge.,,
    ,,han wo zaroor tumhari ulti ki shakal wali karhi khaein ge,wo to ab maasi k shoper me muntaqil ho gai he.,,
    ,,Sarosh bhi jab Saudia se aatey hein,farmaish kar k pakwatey hein k tumharey haath me bohat zaeqa he.,,wo apni do balisht ki kamar me100 ball de ka ithlaein.
    ,,arey aap kuch lein.,,me ne teesri pastry un ki plate me muntaqil hotey dekh k kaha.
    batasha,daal moth aadhi plate me or aadhi carpet pe gira rahi thi,me ne dheerey se kaha,,.Natasha beti plate qareeb kar lo.,,
    ,,bachon ko tokna nahi chahiye,me to kuch nahi kehti hu'n warna bachon me ehsas-e-kamtari aur eatmaad ki kami waqey ho jati he.,,unhon ne mujhey toka oor me jal kar khamosh ho gai.
    aakhir jab poori tray qabristan ki shakal ikhteyaar kar gai to wo janey k liye khari ho gaein.
    ,Irum,kabhi tum bhi to merey ghar aao na.,,
    ,kambakht tum aaney ka mowqa do gi to me aaun gi na,har doosrey din to tum aa jaati ho,me kab aaun aakhir?han tum kahan meri tarha be waquf ban sakti ho.,
    ,,ji zaroor aaun gi,bas Fahad ki masrufiyat hi easi he k time nahi milta.,,
    ,,Allah,zaroor aaiye ga,me intezar karun gi.,,wo batashey ka haath pakrey rukhsat ho gaein.
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #3
      Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

      me ne maasi ki muthi me paisey dabaey k dobara poncha laga k drawing room ki dobara safai kar'de aur khud kitchen ki taraf dowri.
      meri shaadi ko 4 saal ho chaley thay.me bohat khush shakal aur intehaai saleeqa mand thi.shaadi se pehley khasi smart thi.Ahmad pehli nazar me hi ghayel ho gaey thay lekin Fahad ki peidaish k baad me thora farba ho gai thi.jharu ponchey se shuru se hi chirr si thi,baqi har kaam bohat showq se karti.ghar itna saaf suthra rakhti k aainey ka gumaan guzarta.Ahmad ko hil k pani bhi na peeney deti lekin Fahad or ghar k kaamon me buri tarha masroof rehkar me apna dhiyaan na rakh pati thi.aur Ahmad din raat mrs.Sarosh ki misalein detey k Sarosh sahib Saudia me hein,tab bhi ghamm ki aik jhurri nahi pari,un k zimmey daariyan bhi khud uthati hein.tum ko to kabhi tofeeq nahi hoti k un k ghar bhi jhaank lo k mehelley me rehney k bhi towr tareeqey hotey hein,wahi aati rehti hein.
      ,,to na aaya karey,me kiya daawat naama bhejti hun.,,me jal bhun jaati.
      ,,tum se age me bari hein lekin abhi tak kitni smart hein.saji sanwri,khata khat chalti phirti hein,,oor aik tum ho.,,wo phir mujhey farba honey ka taana detey oor poncha laganey ki takeed kartey.me jall kurh kar dil hi dil me saresh ko khoob bura bhala kehti.
      .........................,,suniye,office janey se pehley mujhey backry se pine apple ka sab se chowta wala cake la deejiye ga,me mrs.Sarosh k ghar jaaun gi.,,
      ,,aaj barish na hojaey,kaan ajeeb.ghareeb batein sun rahey hein.,,Ahmad muskura diye aur me bhi hans pari.
      garnet k bundey aur maroon suit pehen k me ne Fahad ki ungli pakri oor flate lock kar k bahar aagai.
      dopeher k 12 baj rahey thay k me ne bell di,teesri bell pe darwaaza khula.
      ,,Allah Irum, aap----aap----,,aik chureil mujh se taqreeban bowkhla k lipat hi gai,,aaiye,aaiye na----itni subha aa gaein,kheriyat to he na?,,
      ,,lo ab me taar bhejti apney aaney ka.,,me ne ba ghowr dekha to raaz faash huwa k yehi mrs.Sarosh hein.
      shalwar kisi aur rang or print ki,qameez kisi aur rang or print ki.wahi baal jo alag alag sanwrey rehtey thay,is waqt megi noodels ki tarha lag rahey thay.qasam se pehli nazar me to me qattan pehchaan hi nahi paai thi.bagher make up k aankhein bilkul chundhi lag rahi thein.kamaan daar bhanwein jo wo pencil se banati thein,is waqt taqreeban ghaeb hi thein,sukri hui skin or khushk pappri jamey safead hont.is huliye me wo smart nahi bal k khapacchi lag rahi thein.
      drawing room me jagha jagha kapron k goley parey thay.seedhi ulti chapalein pari thein.khirki ka aadha parda zameen bous honey ko tha.sofey itney gandey ho rahey thay k shayed me chipak hi gai thi.mujhey to apney suit ki fikar ho rahi thi k us par dhabbey na lag jaaein.carpet shayed usi waqt dhula tha,jab company walon ne shop se us ko rukhsat kiya tha.jali hui istiri k nishaan bhi numayan nazar aa'rahey thay.saamney kitchen me se gandey bartan jhaank rahey thay.tv lounge k farash pe ghaleban chaey ya doodh gir k sookh gaya tha kiyun k wahan makhiyan farakh dili se aik doosrey ki kheriyat daryaaft kar rahi thein.
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

        mrs.Sarosh intehai bowkhlai aur khisyaai hui thein aur aik kaprey ka gola utha kar merey qareeb hi beth gai thein.
        ,,wo,Irum,dar asl aaj kal bachon k school band hein to raat dair tak tv waghera chalta he.subha dair se ham loge uthtey hein.bachey to abhi tak so rahey hein isi liye me ne maasi ko bhi shaam ka keh diya he.tankhuah se ziyada hi paisey deti hun lekin aaj kal ki maasiyan safaai kahaan theek se karti hein.,,unhon ne mujhey jaaeza letey dekh kar ghabra kar kaha.,,bachey aur ghar ki zimey daariyon se thak jaati hun.ab ye dekhein raat ko tv dekh kar bachon ne yahan hi kaprey tabdeel kar k phenk diye.,,wo jaldi jaldi safaiyan pesh kar rahi thein k un ka sab se chowta beta Saqib bagher neker k bisoorta aa'gaya.
        ..ammi,me apney bister pe betha naashta kar raha tha,mera papa shariq ne cheen liya he,aap doosra de dein.shariq baar baar merey bister pe aa k mujhey tang bhi kar raha he.,,
        Fahad jo intehaai tameez se betha huwa tha,hansta huwa tali bajaney laga.nanga nanga,shame shame,aur mrs Sarosh,abhi aai,keh kar Saqib ko taqreeban ghaseet'ti hui kamrey me le gaein.phir thowri dair me chataakh pataakh ki aawazein aaein oor bachey sur se sur mila k roney lagey lekin foran hi un ki aawazein band ho gaein( arey kahin ghussey me un ka gala hi to nahi daba bethein....)
        wo khisyaai hui aaein,ab kafi sanbhal gai thein.,,Allah Irum aap pehli martaba aai hein.bethein,me abhi aai.,,wo kitchen ka rukh karney lagein to me daihel uthi k kahin gandi plate hi zabaan se chaat kar saaf kar k na le aa'ein.
        ,,mrs.Sarosh,aap bilkul takaluff na karein,is waqt to me bohat jaldi me hun.mujhey apni nand k ghar jana he.me to aap ka gila door karney k liye aa'gai thi,insha Allah phir kabhi fursat se zaroor aaun gi.,,wo mujh ko rokti reh gaein oor me chali aai.
        ghar aa kar bhi me heraan hoti rahi k uff is qadar mutazaad tabiyat---bahar itni saaf suthri aur ghar me apna,bachon aur ghar ka ye hashar,acha huwa jo me chali gai.saari qalai khul gai.
        Ahmad ne shaam ko poocha to me sirf itna keh k chup ho rahi k thowri dair k liye gai thi,bohat khush hui thein.
        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • #5
          Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #6
            Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

            Assalaam o alekum,



            maza aagayaa hala aapki yeh tehreer perh ker hunste hunse bura haal thaa bahoot achchaa samaan baandhaa hai aapnien mauzu bhi dilchasp chunaa hai kul milaaker aapki tehreer mien dum hai achchaa likh leti hain aap shukriyaa humse share kernien kaa daad qabool karien aur aayinda bhi humse aisi hi tehreereien share kerti rahein khush rahein
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

              AOA,

              Ji bohat acha mahsoos hua aap ki tahreer parR k bohat acha likha hai aap nain mashaAllah tajasos bilkol barkaraar raha faqat aik baat bohat khoob:)


              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment


              • #8
                Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                Originally posted by khurram_shaikh
                Assalaam o alekum,



                maza aagayaa hala aapki yeh tehreer perh ker hunste hunse bura haal thaa bahoot achchaa samaan baandhaa hai aapnien mauzu bhi dilchasp chunaa hai kul milaaker aapki tehreer mien dum hai achchaa likh leti hain aap shukriyaa humse share kernien kaa daad qabool karien aur aayinda bhi humse aisi hi tehreereien share kerti rahein khush rahein
                :) Walekum assalam,,khuram ji aap ka reply read kar k bouhat hi khushi hui hay mujhay aur shukar bhi adaa kiya k maira likha huwa pasand aaya.bouhat shukriya khurram ji.khush rahiye:)
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #9
                  Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                  Originally posted by khan
                  AOA,

                  Ji bohat acha mahsoos hua aap ki tahreer parR k bohat acha likha hai aap nain mashaAllah tajasos bilkol barkaraar raha faqat aik baat bohat khoob:)


                  Sohail Abbasi.
                  :) Sohail ji bouhat bouhat shukriya kay aap nay itni howsla afzaai ki mairi.khush rahiye.
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                    Haya thora sa time lagey ga issey perhney mey phir inshAllah bataon gi kaisa raha
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                      Gul Ji Zaroor... :) aap reply likhiye ga..mujhay tanqeed bhi pasand hay ta kay mujhay bhi apni khaamiyo'n ka andaaza ho aur mai'n un ko durust karnay ki try karu'n.yahaa'n masha Allah bouhat achay likhnay waalay hain jin ko read kar k insha Allah zaroor kuch na kuch seekhti rahu'n gi.
                      :roseENIGMA:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                        haya tumhari tehreer simply gr8

                        itni khoobsurti sey tum ney her baat bata di hai :)

                        aur tumhara mauzoo bhi mujhey acha laga

                        likhti raho inshALlah :rose
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                          Originally posted by khurram_shaikh
                          Assalaam o alekum,



                          maza aagayaa hala aapki yeh tehreer perh ker hunste hunse bura haal thaa bahoot achchaa samaan baandhaa hai aapnien mauzu bhi dilchasp chunaa hai kul milaaker aapki tehreer mien dum hai achchaa likh leti hain aap shukriyaa humse share kernien kaa daad qabool karien aur aayinda bhi humse aisi hi tehreereien share kerti rahein khush rahein
                          W.salaam
                          Khurram ji main Hala ji nahi hun.:lol
                          Abhi aap ka reply again read kiya hay..bouhat shukriya kay aap ko itni pasand aai tehreer..bouhat shukriya but achcha tha k Mrs.Sarosh ko aap :tomato: :tomato: :tomato: ka gift hi day daitay..:lol
                          :roseENIGMA:rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                            Originally posted by barg.e.gul
                            haya tumhari tehreer simply gr8

                            itni khoobsurti sey tum ney her baat bata di hai :)

                            aur tumhara mauzoo bhi mujhey acha laga

                            likhti raho inshALlah :rose
                            :rose Gul Ji...mujhay bouhat khushi hui kay itna howsla afza reply with Thumb:thmbup: mujhay mila...:jazak: :) aap ko tehreer achchi lagi mujhay bouhat khushi hui..:insha: likhti rahun gi..
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: ,,Aisa Bhi Houta Hay,,written by,Haya

                              wah wah wah mazaa aa gaya HAYA jee lolzzzzzzzzzz :lol :lol you know mujhe mazaahiya cheezein paRhna..sunna..dekhna bahut pasand hai..aap ki tehreer uff Allah maze se bharpoor thi..is qadar maine enjoy kiya ke baat nahi sakti..bahut zabardast manzar kashi ki hai aapne ....mazaahiya tehreer likhna mere khayaal se zyaada mushkil hota hai magar aapne itni aasaani se ye kaam kar dikhaaya hai... :thmbup: shuru se le kar aakhir tak kahin boriyat mehsoos nahi hua....aap ne kahin kahin to aise mazedaar alfaaz aur dialogues istimaal kiye hain keh siwaaye hansne ke koi chaara hi nai tha overall bahut hi umda tehreer....bahut bahut mazaa aaya..aisi aur bhi aap ki mazaahiya tehreerin paRhna chaaungi..agar pehle se yahan post hai to link zaroor de dijiyega ......meri jaanib se dheron daad pesh hai is behtareen tehreer pe :rose


                              Shumaila

                              Comment

                              Working...
                              X