Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

---------Khirki -------

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ---------Khirki -------

    Shayad ! is threer ki baat tum mujhy pahchan lo , ya 2003 ki baat hy , bhot mumkin hay ky mera aik aik lafz tum ko
    meri ab-beeti per mhav kar dey , aur tum is tahreer ko kai baar parhny aur samjhny ki kosish karo, aur mazi main chali jaw.
    aaj meri batain tum ko ankho tak sey mahsoos ho gi , aur tum un dino ko yaad karnay mai majboor
    ho jaw gi jo hum ny saath guzaray thay , main zindagee main pahli baar Karachi aya tha , aur tumhary
    hi ghar ky samnay aik chotay sey kamary main rahish pazeer hua tha , mery kamaray ki wo khamosh
    khirki tumhari hi khirki ki traf gum sum band rha karti thi..... pata hay wo shaam bhot hi khubsuart thi
    jab main nay tum ko pahli baar apnay kamary sy dekha tha , main ny to taza hawa ky liya hi apni
    khirki ki chutki hatai thi aur tumhara dedaar kar batha tha......kitna masoom chara tha , barai ankhin
    jo kajal ka libas pahni hui thi , naram gaal , dilkash naksh tumhary aur tumhary chary per pyasy hont,
    ufff....sir sey paw tak asa lag rha tha jasy tumharay wajood ko meri hi nazro ki talab thi........

    main to yha Karachi Universty main parhnay ky liya hi aya tha , per ya nahi janta tha kay yha aakr mein
    tum ko parhna shuru kar du ga , tumharay kamray ki wo khirki hamesha hi khuli rahti thi , aur main tum ko
    chup chup kar ghanto khara dekha karta tha , tum is baat sey anjaan ,apnay kamo main mahaav raha karti
    thi kay koi nazar tumhara takub kar rahi hy , aksar main tumharai jhalk ky liya dua kya karta tha aur hamehsa
    hi meri ya dua kabool ho jaya karti thi , grmi ho ya sardi ho , main bass tumharay liya hi khirki main khara rhata
    tha .......Aah! sardi sey yaad aya , yaad hay tum ko december ki sakht sardiyo main aik baar tum shower lay
    kar apnay kamary main ai , aur tum nay apny apny nagin jasy balo ko aik towel sey jhrkna shuru kya , aur jab tum
    nay apnay in balo ko samith kar jora bandha ,to tumhary surkh honto per bhi meri nazr pari thi......surkh hont! nahi
    bheegy hont , jin ko mery pyassy honto ki justju thi , kis qadar sardi sey kapkapa rhay thay ....... toba! Allah ny
    tum ko is qadr fursat sey tarasha tha kay us lamhay tumhara aik aik angh suraj ki pahli kiran ka ahssas rakh rahy
    thy.......

    main hasbay adat subha subah jab bhi university kay liya jaya karta to meri nazar tumharay hi chokhat per rahti , bike
    ki awaz main aksar taiz karta ky shayd tum kabhi jhaank kar dekho ky kon is trha shor kar rha hy , aur main tazi sey
    sey chaal jaya karta tha , ......... haan yaad aya mujhy , ky blk 10 ky kony main aik Golden Bakery bhi hua karti thi , jhan
    tum aksar shaam ko aya karti thi , pata hay main bhi wha kuch larko ky sath batha hua karta tha , tum rozana 5 say 6 ky
    dermyan bakery main aya karti thi , aur tumhary lambay bal jo kamar ko chuma karty thay , khulay rahty aur tum nay apny
    sir ko aur apnay jism ko dubatay main layta rakha ho ta aur nazary tumhary bass sarak ko hi chuma karti thi , pahli baar main
    ny tumhari awaz ka jadu usi bakery main suna tha ,jhaan tum dheemay sey lahjay main apni zaroorat ka saman layti aur usi trha
    chali jati ,

    raat ko tum dhemi si roshni main aur apni parhai wali tabel main apy collage ka kaam karti thi , aur jasy hi tahjud ka waqt kareeb ata
    tum wazoo kar ky kitni chaat aur dunya sey baykhaber ho kar ibadat karnay main mashghool ho jati , tumhary dubta jo ibadat kay waqt
    tumharay chry ko lapith layta tha kis qadar haseen lagta tha , bilkul asy jasy adhi raat ko chand zameen main utar aya ho ,
    main koi awara aur kharab larka hargiz nahi tha aur na hi kabhi may nay tum ko buri nazar sey dekha , bass tum asi hastee thi jis
    ko dekhna , mery liya farz tha , .........waqt guzarta hi raha , mosam atay rahay jatay rahay aur mera ya silsila bass isi trha khirki tak
    hi raha..........phir kuch arsay baat mujhy wapis ana tha , Visa ki exit n rentry laga ny ky liya , ya shayd barsat ka hi mosam t ha jab
    main wapis yha aagya , per Kasam sey mera aik aik lamha 100 salo ky barbar hi rha , airport sey ly kar ghar tak ka safar main byan
    kar hi nhi sakta hu , main ny yha atay hi apnay kamo ko jaldi jaldi khatam kiya , aur dil main bass yahi ahad kiya ky wapis lot tay hi
    main tum per apnay dil ka raz khul du ga , main ya tum ko bata du ga kay mujhy tum sey Muhbat ho gai hay aur main tum ko
    apna shreek-e-hayat bana na chata hu , yahi thofa,yahi khusish ,ya justju dil main liya main 15 hi dino main wapis loth aya ........

    per is baar tumharai khirki band thi , us main aik ajab si werani thi , ufffff........khudaya ya kya hua , tum in 15 dino main mujhy tanha
    chor kar chali bhi gai , tum ko is baat ka kabhi ahssa hi nahi hau kay tumhary samny wali khirki main aik shaks asa rahta hay jo tum
    ko apni jaan sey ziyada cahat hy , jo tumhray liya ghnto khirki main khara rahta tha , jo tumhari aik jhalk ky liya dua kya karta tha , jo
    tum ko na chatay hui bhi bantha cahnay laga tha .......ya sab kya ho gya , kasy ho gya aur sirf 15 dino main ..... main nay deir kardi kya ya
    tum jaldi chali gai ? kya kabhi bhi tum ko meri muhbat ki shidat mahsoos hi nhi ho saki , ?uffff....... barso baad aik khirki khuli thi aur barso
    ky liya ab aik khirki band ho gai .........! mein us din bhot roya tha , bhot roya tha.... mera aik aik ansoo zameen main girta aur mujhy
    khata ky meri muhbat haar gai ......tum chali gai ....tum aakhir kar chali hi gai ,

    aaj main usi ragistaan main hu jhaan sey main un dino main parhny aya tha , mujhy tum sey kuch nahi chiya , kisi bhi cheez ki hawas
    nahi hay , na hi mera iarad tum ko dukh deyny ka hay , ..........Oh! shayd ab tum mujhy pahchan chuki ho ...shayd tum ko ya maloom ho
    gya ky main kon hu ? per tum sey guzarish hay agr tum mujhy pahchan hi chuki ho , aur tum ya jaan hi chuki ho to is tahreer ko parhnay
    kay baad aakhir main Ameen zaroor kha deyna , .......Ya meri dua hay Allah Pak sey , ky kabhi bhi , Pak aur Saaf aur sachi muhbat ko
    juda na karay , kabhi phir sey kisi kay dil ki , kisi ky khuisho ki ,kisi ki chaat ki Khirki band na karay balkay do jismo aur do ruho ko apny
    jahoo-jalla aur apni taqat sey hamesha ky liya aik kar dey takay phir sey koi ya tahreer na lihy na hi koi Khirki weyran ho ...

    Amin! Aleena ky labo nay bayikhtyar kha aur is ky ansoow nay meri tahreer ko chum liya .....Ami jaan! Safa boli , us ki 3 saala bayti ny
    us ko phir mazi sey haal main phoncha diya .


    FeamanAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga



  • #2
    Re: ---------Khirki -------

    Originally posted by Bheegi-Palkain
    grmi ho ya sardi ho
    ... aap ki aik hi wardi ho :zuban:

    Nice :roze:
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: ---------Khirki -------

      lozzzzzzzzzz thx
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


      Comment


      • #4
        Re: ---------Khirki -------

        BP boht hi umdah likha hey aap ne, insan k haal ka mazi mein badalta hua har lumha uss ki zindagi mein kaheen nah kaheen halchal zaroor macha deta hey, jo inn lumhon ko qaid ker letay hein woh khush qismat treen log hotay hein aur kuch log sirf mazi ko yad ker k ansoo bahanay k liye hotay hein jo umer bhar guzree chahton ki talash mein rehtay hein.

        Comment


        • #5
          Re: ---------Khirki -------

          Asslam-o_Alikum WR WB

          Thx Muskan n MAsood , parhny ka ... smajhny ka aur itny klhubsuart comments ka

          FeaamNAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


          Comment


          • #6
            Re: ---------Khirki -------

            bp app na bahoot he khoob lekha ha
            per kar pabot acha laga balkay ma be kesi ke yaad ma kho gaya app ke yah tahrer per ka key ka kush milta julta waqat asa he maray sath be guzra ha aur mujay who yaad ay gaya..
            but very nice sharing
            sigpic

            Comment

            Working...
            X