Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zameer Ki Awaz!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zameer Ki Awaz!

    Assalamo-Alekam doston, ummid hai ke aap sab kheriyat say hon gey. I am not very good at writing, lekin koshish kerti hoon ke apni sochon ko lafzon mein dhal sakon. This Tehreer is not one of my best, lekin is ki jo Theam hai, woh meri bohat he sachi soch hai. Mein is baat ko bohat had tak manti hoon, aur yaqeen rakhti hoon ke aap bhi yeh Tehreer parney ke baad shayd meri baat sat mutfiq hon gey. Waiting for your comments! Khush Rahiye!

    Click image for larger version

Name:	one.jpg
Views:	1
Size:	97.3 KB
ID:	2455691

    Click image for larger version

Name:	two.jpg
Views:	1
Size:	89.4 KB
ID:	2455692

    Click image for larger version

Name:	three.jpg
Views:	1
Size:	51.4 KB
ID:	2455693

  • #2
    Re: Zameer Ki Awaz!

    walikum asalam
    bohat khoobsorat, sabaq aamooz or naseehat aamoz afsana hai, sab khiyalat apnay khiyalat lagtay hain...bilkul drust pegham diya hai aap nay k agar ham apnay nazaryaat o afkaar doosron per musallat karnay k bajaaiy dosron ki raaaiy ka bhi ahtraam karna seekh lain to hamara mulk aman ka gahwara ban jaaiy ga, zindagi k mamlaat ko daikhnay ka her shakhs ka alayheda alayheda tajurba hota h...aik sunaar ka zaviya e nazar or aik lohaar ka zaviya e nazar kabhi aik nahi hosakta laikin donoo ki apni jaga ahmiyat bhi musallam hai. bohat hi khobsorti say aap nay apna pegham likh dala hai ,
    sada khush rahain. aapki tahreeron ka intehaar rahyga :ff:

    .

    Comment

    • #3
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Zameer Ki Awaz!

        Originally posted by Pehli``Barish View Post
        walikum asalam

        bohat khoobsorat, sabaq aamooz or naseehat aamoz afsana hai, sab khiyalat apnay khiyalat lagtay hain...bilkul drust pegham diya hai aap nay k agar ham apnay nazaryaat o afkaar doosron per musallat karnay k bajaaiy dosron ki raaaiy ka bhi ahtraam karna seekh lain to hamara mulk aman ka gahwara ban jaaiy ga, zindagi k mamlaat ko daikhnay ka her shakhs ka alayheda alayheda tajurba hota h...aik sunaar ka zaviya e nazar or aik lohaar ka zaviya e nazar kabhi aik nahi hosakta laikin donoo ki apni jaga ahmiyat bhi musallam hai. bohat hi khobsorti say aap nay apna pegham likh dala hai ,
        sada khush rahain. aapki tahreeron ka intehaar rahyga :ff:

        .
        bohat bohat shukriya Pehli `` Barish ji:) aap ko meri tehreer mein message acha laga, aap ka bohat shukriya. Yeh bilkul sach kaha aap ne ke her insan ka zindagi ke barey mein mukhtalif tajziya hota hai:). Once again, bohat bohat shukriya for detailed reply, hamesha khush rahiye:rose

        Comment

        • #5
          Re: Zameer Ki Awaz!

          bohat bohat shukriya Xenya ji, tehreer ko pasand karney ka:) ji INSHALLAH ab mein apni tehreerien share kerti rahoon gi. Hamesha khush rahiye:rose

          Comment

          • #6
            Re: Zameer Ki Awaz!

            Bohat khoob.. kisi bhi tehreer ki kamyabi ka raz sirf isi eik baat mein muzmir hai ke wo qari ko khud se kuch sochnay per majboor ker dey.. kund zehno mein soch bhar dey.. aap ki ek aisi si hi zer-e-nazar tehreer bohat kuch samjhaye de rahi hai aur bohat kuch kehnay ka moqa bhi de rahi hai.. nazriyaat tajrubat se janam letay hein.. aur tajrubaat ki roshni mein zindagi ko agay barhana bohat zaroori hua kerta hai .. magar jaisay paanchon ungliyaa'n barabar nahi hoti .. aisay hi kisi bhi nuqta-e-nazr ko kasoti bana lena durust nahi .. "zameer ki awaz" mein bhi yehi wazeh kernay ki achi koshish ki gayee.. so dhairo'n daad-o-mubarkbaad aap ki kamyabi ki nazar..:rose

            chota monh aur bari baat.. magar aap ko apnay mutaliq kuch beja maloom hai aur kuch hergiz maloom nahi .. beja maloom ye hai ke "you are not very good at writing", ye durust nahi .. aur jo hergiz maloom nahi wo ye hai ke .. aap ki amla kafi kamzor hai .. jaisay ke lafz ancer, qasir, dikhati waghaira.. durust nahi likhay gaye.. aur "dagmaga jaya kerti ki" bajye .. "dagmaga dia kerti".. istimal kijiye to fiqra durust ho jaye ga..umeed hai jasart naqwar nahi guzray gi.. Nawazish :rose

            wafa aur dua ke saath
            withlove
            :rose

            .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN.......

            Comment

            • #7
              Re: Zameer Ki Awaz!

              Originally posted by withlove View Post

              withlove :rose
              aap ki tareef ka shukriya:)

              Jitni tareef achi lagti hai, utni he tanqeed bhi achi lagti hai, so I don't mind at all:)
              Asal mein, mein Urdu ki student nahi hoon, I have just studied Urdu until grade 7, us ke baad Urdu Course ki books ko mein ne para he nahi hai, so ise liye, I know ke meri Urdu kafi kamzoor hai:)
              mein koshish kerti hoon ke improve ker sakon, so INSHALLAH, agli Tehree mein kam say kam ghaltiyan karne ki koshish karoon gi!

              Comment

              • #8
                Re: Zameer Ki Awaz!

                Originally posted by Sadia View Post

                Agar yeh baat hai tu bohat hi achi effort hay. Keep trying inshAllah one day u will be there. Aur ek Suggestion hai kah ap urdu books parha karo zayada zayada phir apki URDU achi ho jai gi aur bi inshAllah.
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment

                • #9
                  Re: Zameer Ki Awaz!

                  Originally posted by GumShuda View Post
                  Agar yeh baat hai tu bohat hi achi effort hay. Keep trying inshAllah one day u will be there. Aur ek Suggestion hai kah ap urdu books parha karo zayada zayada phir apki URDU achi ho jai gi aur bi inshAllah.
                  ji, yeh Urdu books parney ke badoulat he aaj mein kuch thora bohat likh sakti hoon, otherwise, jab na aap pareni aur na likhein, 5 to 6 years, phir likhne mein thori bohat mushkil hoti hai:)

                  Comment

                  • #10
                    Re: Zameer Ki Awaz!

                    salam mere pass alfaz nahi hai mujhe bohot acha laga very nice.....

                    Comment

                    • #11
                      Re: Zameer Ki Awaz!

                      Originally posted by ANEY View Post
                      salam mere pass alfaz nahi hai mujhe bohot acha laga very nice.....
                      thank you:)

                      Comment

                      • #12
                        Re: Zameer Ki Awaz!

                        nice one sadia keep sharing like that
                        Pal Pal taraste hain is pal k liye
                        ye pal bhi aaya to ik pal k liye
                        socha tha isay zindagi ka ik haseen pal banainge
                        per ye pal ruka bhi to ik pal k liye

                        Comment

                        • #13
                          Re: Zameer Ki Awaz!

                          sadia sahiba
                          bout bout khoobsurat likha hai appp ne.achi tehreer hai daad hazir Hai
                          keep it up
                          Uzair

                          Comment

                          • #14
                            Re: Zameer Ki Awaz!

                            thank you hasnain and uzair

                            Comment

                            • #15
                              Re: Zameer Ki Awaz!

                              niceeeeeeeeee sharing i like it & i have no word 2 write about
                              niceeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee
                              :hii:

                              Comment

                              Working...
                              X