Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi...Aik Tehreer!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zindagi...Aik Tehreer!

    Assalamo-Alekam, I hope ke aap sab Members bilkul kheriyat sey hon gey. I have tried to write something on "Zindagi". Well, demag mein ideas to bohat say atey hein, lekin qalam-band chand aik he sahi lafzon mein ho saktey hein, waiting for your comments!
    Khush rahiye and take great care of yourself and your beloved ones'.

    Click image for larger version

Name:	zindagione.jpg
Views:	1
Size:	131.4 KB
ID:	2455689

    Click image for larger version

Name:	zinaditwo[1].jpg
Views:	1
Size:	42.3 KB
ID:	2455690

  • #2
    Re: Zindagi...Aik Tehreer!

    nice
    bahut sahi nazarya tarash hai app ney zindagi ke barey main
    very interesting

    Comment


    • #3
      Re: Zindagi...Aik Tehreer!

      walaikum salam

      bohot payara likha hai :rose

      kabhi kabhi zindagi mey itni mushkilaat ati hein key ham ussey chahtey huye bhi nahi sahih ker saktey hein..... ya phir ye shayad himmat ki kami ki waja sey hota hai??
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Zindagi...Aik Tehreer!

        ahan Nice , Keep trying .
        Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
        Sadly, common sense is not very common..!!

        Comment


        • #5
          Re: Zindagi...Aik Tehreer!

          Originally posted by GumShuda View Post
          ahan Nice , Keep trying .
          zingi ko parhna chahta tha lakin background color fast hain mein read nahi karsakta....... :) wese itnay taiz color......:tauba

          Comment


          • #6
            Re: Zindagi...Aik Tehreer!

            walikum asaalam saadia :ff:
            saaday or dil nasheen pairaiy main aap nay zindagi ka aik mukhtasir jaaiza or is baray main apna nuqta e nazar paish kiya....sab say pahlay to main aap k andaz e bayan or sada naveesi ki sahar bayani ki daad dayna chahon gi k waqae aap tahreer k zarye say qaari k dil main utarnay ka hunar janti hain...
            zindagi k baray main, main to yehi kaha karti hon kay zindagi aik aainay ki misal hai....hum main say jo zindagi ko daikhna chahta hay wo aaina daikh lay....zindagi nazar aajaiy gi. zindagi hamaray aankh kholnay say, hamaray sans laynay say mashroot hai. agar hamari aankh khulti hai to sab manzar zinda hain, agar ham saans laytay hain to poori kaainat hamain zinda o javaid nazar aati hay... rahi baat achi or buri zindagi ki....to main ye kahti hon k agar ham achay hain to saari kainaat achi hai, agar ham buray hain to phir kuch acha nahi hai...aaina daikhain or khud ko theek karain, aaina hamain achi or buri zindagi dikhata hai. lo ji main khud hi shuro hogaee, darasal saadia aapka mazmoon itna acha or mutasir kun hai k meray zahen main bhi bayikhtiyaar zindagi k baray main khiyalaat kulbulaanay lagay....meri dua hai k aap hamesha khush rahain our yonhe likhti rahain :rose
            Last edited by Pehli``Barish; 7 January 2008, 15:35.

            Comment


            • #7
              Re: Zindagi...Aik Tehreer!

              Originally posted by Pakiza View Post
              nice
              bahut sahi nazarya tarash hai app ney zindagi ke barey main
              very interesting
              bohat shukriya:)

              Comment


              • #8
                Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                Originally posted by Xenya View Post
                walaikum salam

                bohot payara likha hai :rose

                kabhi kabhi zindagi mey itni mushkilaat ati hein key ham ussey chahtey huye bhi nahi sahih ker saktey hein..... ya phir ye shayad himmat ki kami ki waja sey hota hai??
                bohat shukriya sister:), well, ji mushkilat tou zindagi ka hisa hein, zindagi mein challeneges na hon, tou phir bhi hamein shikayaat hoti hein:donno:, thank you for replying:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                  Originally posted by GumShuda View Post
                  ahan Nice , Keep trying .
                  bohat bohat shukriya:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                    Originally posted by raafi View Post
                    zingi ko parhna chahta tha lakin background color fast hain mein read nahi karsakta....... :) wese itnay taiz color......:tauba
                    hmmm, aap ko shayd fast colours pasand nahi hein:)
                    mein ne yeh colours kyon istimal kiye hein, mujhe nahi pata:donno:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                      Originally posted by Pehli``Barish View Post
                      walikum asaalam saadia :ff:

                      saaday or dil nasheen pairaiy main aap nay zindagi ka aik mukhtasir jaaiza or is baray main apna nuqta e nazar paish kiya....sab say pahlay to main aap k andaz e bayan or sada naveesi ki sahar bayani ki daad dayna chahon gi k waqae aap tahreer k zarye say qaari k dil main utarnay ka hunar janti hain...

                      zindagi k baray main, main to yehi kaha karti hon kay zindagi aik aainay ki misal hai....hum main say jo zindagi ko daikhna chahta hay wo aaina daikh lay....zindagi nazar aajaiy gi. zindagi hamaray aankh kholnay say, hamaray sans laynay say mashroot hai. agar hamari aankh khulti hai to sab manzar zinda hain, agar ham saans laytay hain to poori kaainat hamain zinda o javaid nazar aati hay... rahi baat achi or buri zindagi ki....to main ye kahti hon k agar ham achay hain to saari kainaat achi hai, agar ham buray hain to phir kuch acha nahi hai...aaina daikhain or khud ko theek karain, aaina hamain achi or buri zindagi dikhata hai. lo ji main khud hi shuro hogaee, darasal saadia aapka mazmoon itna acha or mutasir kun hai k meray zahen main bhi bayikhtiyaar zindagi k baray main khiyalaat kulbulaanay lagay....meri dua hai k aap hamesha khush rahain our yonhe likhti rahain :rose
                      itne detail reply ka bohat shukriya sister:)
                      zindagi ke barey mein aap ke nuqta-e-nazar bohat pasand aya, aur bohat sach kaha hai aap ney, lekin as I wrote ke insan jin halata mein say guzarta hai, kuch nazriyat aur sochein un halat ke paish-kehma bhi hotey hein:)
                      zindagi ke barey mein aap ki soch bohat achi lagi:)
                      once again, reply ka bohat shukriya, hamesha khush rahiye:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                        zindagi ke asarar-o-romooz aur apna nuqta-e-nazar wazeh kerti eik achi tehreer parhnay ko mili.. zindagi ke kayee rung kayee roop hein.. kahee'n talkhiyon se shuru hoti hai to kaheen rahaton mein aankh khulti hai.. magar jaisy bhi halat hon.. insan ko apni dunia aap paida kerna hoti hai.. durust kaha.. Bohat si daad-o-tehseen hamari janib se bhi qabool kijiye.. Nawazish :rose

                        wafa aur dua ke saath
                        withlove
                        :rose

                        .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN.......

                        Comment


                        • #13
                          Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                          bout bout peyara likha hai app ne zindagi k bare main
                          keep it up
                          Uzair

                          Comment


                          • #14
                            Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                            Originally posted by withlove View Post
                            zindagi ke asarar-o-romooz aur apna nuqta-e-nazar wazeh kerti eik achi tehreer parhnay ko mili.. zindagi ke kayee rung kayee roop hein.. kahee'n talkhiyon se shuru hoti hai to kaheen rahaton mein aankh khulti hai.. magar jaisy bhi halat hon.. insan ko apni dunia aap paida kerna hoti hai.. durust kaha.. Bohat si daad-o-tehseen hamari janib se bhi qabool kijiye.. Nawazish :rose

                            wafa aur dua ke saath
                            withlove :rose
                            aap ke comments ka shukriya, thank you for liking my Tehreer, mujhe ummid hai ke aap mustaqbil mein bhi apney qeemti comments say aagha kartey rahey gein:)

                            Comment


                            • #15
                              Re: Zindagi...Aik Tehreer!

                              Originally posted by uzair143 View Post
                              bout bout peyara likha hai app ne zindagi k bare main
                              keep it up
                              Uzair
                              thank you:)

                              Comment

                              Working...
                              X