:welcome:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Qurbani ka Bakra
Collapse
X
-
Re: Qurbani ka Bakra
wow buhat achay andaaz se ap ne sara qisa bayan kia hai aur bhai aisa mazaq kisi se nehi karte agar koi nazuk dil wala hota tu najane kia hota.
khair ab aate hain asal baat ki taraf
tu ap ne bilkul sahi kaha hai ke aaj kal koi kisi ki help nehi karta haan wo daur or tha jab sab log aik dosre ke parwa karte the laiken ab sab ke sab apne aap mein apni zaaat mein is qadar magan hain ke unhein kisi dosre ka hosh he nehi even ke ab tu aisa hota hai koi paroos mein mar raha ho tu hamsaye ko khabar he nehi hote ke saath wale ghar mein kia ho raha hai.
khair is topic pe tu jitna likha jaye kam hai
buhat acha likha hai aap ne"Do Not Wish For Less Problems, Always Wish For More Skills"
-
Re: Qurbani ka Bakra
Meray Khayal mein itna serious mazaq kisi se nahi karna chahye koi meray jaisa dil ka kamzoor insaan bhi hota hai aur bardashat na kar pai stress tu phir kia ho ga ? lolss..
Mazak ka ek tareeqa hota hai kisi ko zehni karab mein ya Azmaish mein mubtla kar kay mazak nahi karna chahye :).
Anway nice sharing.Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
Sadly, common sense is not very common..!!
Comment
-
Re: Qurbani ka Bakra
achi tehreer
umda andaz-e-bayan
aur ikhtetam pe ap ney jis baat ki taraf ishara kia hia
haqeeqtan ye masla serf hamarey mulk main nahi hai
aur jaga bhi yehi haal hai
aue bahut afsoos ke saath kehna parta hia ke insaan ko apni khud ki jaan itni piyari hogai hia ke wo kisi paraey jhagrey main nai parna chahta
Comment
Comment