Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kahani mukamil karain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kahani mukamil karain

    دوستو! ایک سلسلہ شروع کر رہی ہوں۔ایک ایسی کہانی لکھی جاے جس میں سب کا حصہ ہو۔میں ابتدا کر رہی ہوں۔ایک پیرہ لکھا ہے آگے سے آپ شروع کریں۔دیکھتے ہیں کہانی کیا کیا رﹸخ لیتی ہے؟کوشش کریں کہ ایک ایک پیرہ آپ بھی لکھیں۔
    Attached Files
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Kahani mukamil karain



    na kaha.


    .....

    jari hai ----
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Kahani mukamil karain

      Achi koshash hy Xeniya per dobara kab ain gee?
      ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
      372-haha372-haha372-haha

      Comment


      • #4
        Re: Kahani mukamil karain

        Aik kosish ki hai....
        Attached Files


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Kahani mukamil karain

          aur ghabra kar apnay bistar say uth kaRhi hoyi, aakhir wohi hua jiss ka uss ko dhar sa laga hua tha yaani ammi jaan uss kay bilkul sir per khaRi huyi thi aur unkay chehray ka tasuurat say yeh andaaza lagana mukshkil nahin tha kay woh bayhadh ghussay main hain aur yaqeenan baazpuras karnay hi aayin hain, ammi nay kaha, tum yahan laitay laitay digest paRh rahi aur wahan gandi pateeli kitchen main rakh kar aagayi, agar ussay jalaya hay tou achay tareeqay say ussay dho aur phir paRi parhti rehna aapnay yeh digest wigest, yeh suntay hi Kausar bhag kar seedha kitchen aayi aur jali hoyi pateeli ko Rin sabun ki madad say khoob ragaR ragaR kar dhonay lagi aur saath hi uski ankhain nam thi, woh aksar socha karti thi aur aaj bhi pateeli dhootay huay purnam ankhoon kay saath woh yeh soch rahi thi kay aakhir Maa meray saath aisa bartayo kiyon karti hay jo insaan soutaily aulaad kay saath bhi na karay, yeh sochna tha kay uski ankhoon main aik chamak si agayi aur uss ka haath pateeli ko dhootay dhootay aik dam say ruk gaya aur woh apnay aap say baatain kartay huay kehnay lagi, kahin main soutaili aulaad tou nahin yeh lafz kehtay hain pateeli uskay haath say choout gayi aur aik zour daar awaaz kay saath zameen per giri phir............
          Last edited by thefire1; 6 October 2009, 19:06.
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Kahani mukamil karain

            phirrrrrrrrrrr.......................

            Pateeli ka girna tha kay uss ki awaz sunn kar Kausar ki ammi foran Kitchen main daakhil hoyee aur dekha kay Kauser pateeli utha rahi hay, ammi ko kitchen main daakhil dekh kar Kauser ghabratay huway jaldi say pateeli uthanay lagay aur uss lamhay dono ki nazrain mili, apni beti ki aankh main ansoon dekh kar Maa ka jaisay seena channi hogaya ho, unhoon nay nihayat pyar say apni beti ko apnay seenay say laga liya aur khoob royi, itna kay unkay ansoon ki barsaat ko Kauser apnay jism main mehsoos karnay lagay, uss nay Maa ko kabhi itna rotay nahin dekha tha aur na hi kabhi Maa nay ussay pyar say galay lagaya tha, aaj yeh badla hua rawaiya dekh kar Kauser bhi khoob royee aur itna ronay ki waja say uss ka dil ka boojh bohat halka hua, uss nay Maa ko apnay room main bitha kar Maa say woh sawal kar lia jo woh barsoon say seenay main dabayay baithi thi.... Maa agar aap mujh say itna pyar karti hain tou aakhir mujh say soutaili aulaad jaisa rawaiya kiyon rakha tha?

            Yeh sawaal sunntay hi Maa ki aankhain aik baar phir ashkbaar hogayain aur apnay ansooyon ko apnay qaboo main kartay huway unhoon nay kaha, meri bachi, meri jaan, main nay bachpan main tujhay bohat pyar kia, teri har khushi ka khayal rakha, jaisay jaisay tu baRi hoti gayi mera rawaiya tujh say bura hota raha, iss ka yeh matlab nahin kay mera pyar teray liye kam hogaya hay, woh tou shayed duniya ki koi taaqat bhi kam nahin karsakti, darasal, betiyan parayee hoti hay na, yeh alfaaz sunn kar Maa apnay ansooyon ko zabt na kar saki aur apni beti Kauser ko galay laga kar phoot phoot kar ronay lagi........


            Jaari hay.......
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Kahani mukamil karain

              Jab dono Maa beti nay ro ro kar apnay seenay kay boojh ko halka kia tou Maa aik baar phir Kauser say mukhatib hokar boli, baiti, main iss andaishay say bohat parishaan hoonkay baityan payree hoti hay aur maa baap kay aangan main aik phool ki maanind parwarish paa kar apnay shouhar kay ghar chali jaati hay, main chahti thi kay main tujhay kam say kam pyar karoon taakay teray jaanay kay baad main apnay aap ko tanha aur akaila mehsoos na karoon, teri baRi behan tou apnay ghar ki hochali bas ab tera bhi rishta aaya hay aur uss din say main bechain hoon kay tu bhi apnay ghar chali jayay gi, inn dono ki baatain Kauser kay waalid bhi darwazay ki dehleez per khaRay sunn rahay thay aur apni surkh ankhoon main ansyoon ko chuppany ki bahrpoor koshish kar rahay thay..........

              Jaaari hay..........
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Kahani mukamil karain

                Kauser aik mashraqi tehzeb ki laRki thi aur ghar main bhi uss ko bohat hi acha mahool mila tha, rishtay ka naam sunn kar uss kay chehray per riwayeti sharm paida hogayi, magar, phir andeesha kay shaadi kay baad uss ka naya ghar, uss ka shohar kaisa hoga, chand lamhoon main bohat saari fikrain uss kay dimagh say takraanay lagi aur woh soch main bohat aagay nikal gayi, woh inhi khayaloon main gum thi kay uss kay waalid nay darwazay per halki see dastak day kar andar aanay ki ijaazat maangi, aur andar daakhil hogayay, aur aatay he dono Maa beti say mukhatib hotay huway sawaal kia, haan bhaiii kia batain horahi hain Maa Beti main, go kay woh sab kuch darwazay per kaRhay sunn chukay thay magar phir bhi apnay aap ko anjaan bana kar mahool main kuch khushgawaari paida karnay ki koshish kar rahay hain.... Kausar ki ammi nay kaha, kuch khaas nahin bas yoon hi.... yeh sunntay he woh muskura kar bolay... oho... tum Maa beti bas baatain hi kartay rahoo gay dekho kitna acha mousam horaha hay chaloo kahin outing per nikaltay hain, walid kay israr per Maa beti razamandi zahir kartay hain aur woh teenon ghar say bahir apni car main sawaar tafreeh gaah ki taram gamzan hotay hain.......................... Jaari hay!!!
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Kahani mukamil karain

                  .......... Mousam waqayi baRa khushgawaar hay aur baarish ki halki halki si phowaar jaisay hi badan ko chooti hay aisa lagta hay jaisay jism kay aar paar horahi hay, aur hawa main halki see nami jism ko jaisay munjamid kiye jaa rahi hay, inhi khayalaat main gum Kauser aik shawl ouRay gaaRi ki pichli seat per baithi gaRi kay bahar taizi say badaltay manzar ka lutf utha rahi thi, aur agli seat per uss kay Maa Baap baithay wohi gharailo baatoon main mashghool thay... chand lamhoon ki musafat kay baad aakhir woh sahil-e-samandar per aagayay.... magar yeh kia yahan tou koi rounaq hi nahin, shayed log thand ki waja say apnay apnay gharoon main lihaaaf auRay sardi ko maarnay ki koshish kar rahay hain..... shaam ka manzar tha aur souraj dobay huway bas chand lamahy hi huway hoongain, asmaan per laali ab tak nazar aarahi thi aur raat ki kaali chaadar uss laali aur roshni ki lakeeroon ko apni aghoosh main lay rahi thi.....

                  Jaaari hay
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kahani mukamil karain

                    Yeh manzar bohat hi purlutf tha, aur najaanay kab woh baithay baithay apnay khayaloon ki duniya main khoo gayi.... ussay apnay college ka woh doour yaad aaya jab Khawar unn ki class main pehli baar aaya tha, kiyonki college ki classes lag chuki thi aur khaawar late admission ki waja say taqreeban aik mahinay baad aaya, aksar suna tha kay mohabbat kay ehsaas jagnay kay liye pehli nazar hi kaafi hay, bas naa jaanay kab Khawar pehli nazar main hi apna apna sa lagnay laga, Kauser ki ankhain namm hoti jaa rahi thi........ aur Khawar ka roshan chehra uss kay samnay chamak utha tha, ussay yoon mehsoos hua jaisay khawar uss kay kaan main sargoshi kar raha hoo aur achanak say palat-ti hay magar kisi ko na paatay huay apnay waldain ki taraf nazar douRaati hay jo sahil ki geeli rait per hathoon main hath daalay sahil-e-samandar per paani ki dam-touRti lehroon per chalay jaa rahay hain!!! kitni mohabbat hay na unn kay diloon main aik dosray kay liye kay itna arsay main bhi uss main zarra barabar kami nahin aayee yeh sochtay huay woh bhi waldaain kay peechay peechay chal paRti hay....

                    Jaaaaaaaaaaaaari hay!!!
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kahani mukamil karain

                      ji abbhi tak yeh jaari hhi he............


                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kahani mukamil karain

                        جی اب وہ چلتے چلے اس فورم پر آچکی ہے اور اتنا سب کچھ سہنے کی وجہ
                        سے اپنا دماغی توازن کھو بیٹھی ہے اب ہر جگہ بہکی بہکی باتیں کرتی نظر آتی ہے

                        کہانی ختم ہوئی





                        Comment

                        Working...
                        X