Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mahana Nacri silsila baray September

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Mahana Nacri silsila baray September

    Originally posted by aquari View Post
    inpage sey dosti ki koshish jarii rakhoo
    mager roman sey bhi bigarna nahi :D
    baat to sahih ki aquari :d ... to mujhey in dono key sath thora diplomat rahna perhey ga ..... :khi:

    Originally posted by Masood View Post
    Main likh nahin paoun ga :( abhi ghar per Internet nahin aur kaam per waqt nahin milta... chalein phir bhi koshish karta hoon
    khair hai aap iss bar Roman mey post ker deiN .... koi massla hi nahi :d

    Originally posted by hamzad View Post
    sorry bohat late ho gai hon lekin abhi jaldi me bas yehi likh pai hon:blush:
    Ameen :)

    and bravo!! :rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Mahana Nacri silsila baray September

      as its never too late :d ... so meyri philosophical tehreer haazir hai :khi:

      Dunya
      Attached Files
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #18
        Re: Mahana Nacri silsila baray September

        zaberdast xenya,,app ka yeh duniya ka falsfa mujehy bauht acha laga :em:

        Comment


        • #19
          Re: Mahana Nacri silsila baray September

          Originally posted by Xenya View Post
          as its never too late :d ... so meyri philosophical tehreer haazir hai :khi:


          Dunya
          bohat khoob Xenya,bohat acha falsafa he:thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: Mahana Nacri silsila baray September

            Originally posted by hamzad View Post
            sorry bohat late ho gai hon lekin abhi jaldi me bas yehi likh pai hon:blush:
            Hamzaad saheba

            aap ki tehreer buhat achchi lagi
            opening paraghraph buhat achcha thaa magar us ke baad aap ne buhat ikhticaar se kaam liyya aur duniya ko imthaan gaah qarar de kar tehreer khatam kar di.

            agar is meN aik paraghraph kuch is tarah ka bhee ho jaata jis meN duniya ki zaahri khoobsurati aur is ki kashish ka zikr hota to tehreer ke impact meN izafaa ho jaata

            is maah ke liye mausool hone waali teenoN tehreeroN ka bunayadi paighaam aik hi hai na jaane aisa kiyoN hua

            khush rahiye aur likhti rahiye
            zmufti

            Comment


            • #21
              Re: Mahana Nacri silsila baray September

              Originally posted by Xenya View Post
              as its never too late :d ... so meyri philosophical tehreer haazir hai :khi:

              Dunya

              Xenya jee
              dair aaye durust aaye
              aap ki tehreer se kuch to raunaq hui
              warna to yeh silsila mayuus kun jaa raha hai
              ramzaan meN shayad creativity kam ho jaati hai
              aap ki tehreer paRh kar mujhe aise laga keh daur-e-haazir ke kissi mubaligh ka dars paRh rahi huuN
              hamara is maah ka mozo thaa "Duniya"
              magar aap ki tehreer ka focus hai duniya meN insaan ka tarz-e-amal ya phir us ka zindagi ko baratne ka tareeqa
              sorry magar mujhe aisa laga keh main topic background meN chala gaya
              mera khayal hai keh agar youN likha jaata keh duniya aap ke nazdeek kyaa hai? kaisi hai? aur aap ke saath duniya ka rawayyia kaisa hai? aap duniya ko kitni ehmiat deti heN? etc to ziyada behtar thaa

              likhti rahiye aur khush rahiye
              zmufti

              Comment


              • #22
                Re: Mahana Nacri silsila baray September

                Originally posted by zmufti View Post
                Hamzaad saheba

                aap ki tehreer buhat achchi lagi
                opening paraghraph buhat achcha thaa magar us ke baad aap ne buhat ikhticaar se kaam liyya aur duniya ko imthaan gaah qarar de kar tehreer khatam kar di.

                agar is meN aik paraghraph kuch is tarah ka bhee ho jaata jis meN duniya ki zaahri khoobsurati aur is ki kashish ka zikr hota to tehreer ke impact meN izafaa ho jaata

                is maah ke liye mausool hone waali teenoN tehreeroN ka bunayadi paighaam aik hi hai na jaane aisa kiyoN hua

                khush rahiye aur likhti rahiye
                zmufti
                tehreer pasand karne ka shukria:)or ikhtesar is leay laga k me ne waqt ki kami ki waja se end me jaldi me likha:blush:
                or bunyadi pegham aik sa is leay laga ho shaed ham sab ne aik hi dunya par likha na:khi:
                Last edited by AbgeenA; 2 October 2007, 15:18.

                Comment


                • #23
                  Re: Mahana Nacri silsila baray September

                  main ny yehan sab kee tehreers dekhain aur parri b hain mujy to ab ahsas huwa hy k main kiun nahi likhti...
                  Dunia k bary main mery Ideas buhat hee alag kisam ky aur ajeeb hain aur jin main buhat ziyada reallity b hain lakin mujy likhna nahi aata jaisa ap logon ny urdu likhi hy
                  ager koi bhala ker k mujy bata dain k writing kaisy karty hian i mean story kaisy banaty hain to main kuch likh sakon
                  Yehan KHALIL sahib ka sharing
                  how to become writer dekhi hy really buhat acha laga hay
                  per abi tak kisi ny i mean unon ny help nahi kee
                  can any body do some for me..how to write a story?
                  ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
                  372-haha372-haha372-haha

                  Comment


                  • #24
                    Re: Mahana Nacri silsila baray September

                    Originally posted by KurriPunjaban View Post
                    main ny yehan sab kee tehreers dekhain aur parri b hain mujy to ab ahsas huwa hy k main kiun nahi likhti...
                    Dunia k bary main mery Ideas buhat hee alag kisam ky aur ajeeb hain aur jin main buhat ziyada reallity b hain lakin mujy likhna nahi aata jaisa ap logon ny urdu likhi hy
                    ager koi bhala ker k mujy bata dain k writing kaisy karty hian i mean story kaisy banaty hain to main kuch likh sakon
                    Yehan KHALIL sahib ka sharing
                    how to become writer dekhi hy really buhat acha laga hay
                    per abi tak kisi ny i mean unon ny help nahi kee
                    can any body do some for me..how to write a story?
                    thats very nice k app likhna chahti hain
                    ager app urdu writting k hawaley sey jana chahati hain tu yeh ek software hia Inpage us pr app likh sakti hain..is software ka downlaod app ko Pegham softwares main mil jaye gaa app aram sey download kr lain or phr peghamn academy main is software k hawaley sey tutorials bhi mojoud hainn app un ki helo sey urdu main likh sakti hainn..filwaqt ager app ko yeh muhskil lag raha hai tu appp Roman main hi likhyeaa or yahan share karainn.ek story ko likhney k lya kin baatoo k dehan krna zaroori hai yeh mujh sey behter app zmufti saheba sey pooch lain she is senior in us woh app ko bauht achey sey samjha daingii .baqi ager app apney khyala hum sey share krna chahti haii tu filhal unhian qalmband krk yahan share karain..slowly slowly app improve bhi karaingii or ek mukamil kahani bhi likhney lag jayain gii .
                    phr bhi koi baat ap poochna chahain tu plz ask humain khushi hogi app k queries ko answer krk

                    Comment


                    • #25
                      Re: Mahana Nacri silsila baray September

                      Originally posted by zmufti View Post
                      Xenya jee
                      dair aaye durust aaye
                      aap ki tehreer se kuch to raunaq hui
                      warna to yeh silsila mayuus kun jaa raha hai
                      ramzaan meN shayad creativity kam ho jaati hai
                      aap ki tehreer paRh kar mujhe aise laga keh daur-e-haazir ke kissi mubaligh ka dars paRh rahi huuN
                      hamara is maah ka mozo thaa "Duniya"
                      magar aap ki tehreer ka focus hai duniya meN insaan ka tarz-e-amal ya phir us ka zindagi ko baratne ka tareeqa
                      sorry magar mujhe aisa laga keh main topic background meN chala gaya
                      mera khayal hai keh agar youN likha jaata keh duniya aap ke nazdeek kyaa hai? kaisi hai? aur aap ke saath duniya ka rawayyia kaisa hai? aap duniya ko kitni ehmiat deti heN? etc to ziyada behtar thaa

                      likhti rahiye aur khush rahiye
                      zmufti
                      sorry Zmufti sis thora sa late ho gaya reply kerney mey ...thanks for your time :rose

                      tehreer hazir hai ...
                      -------------------------------------------------------------------------


                      Jab koi mujh sey ye sawal kerta hai key "Aap key nazdeeq dunya kya hai? ya phir "Iss dunya ka aap key sath bartao" to mujhey bohot sara time lagta hai pehley haroof ko lafz bananney mey aur phir lafzoN ko jumley ki soorat deyney mey...
                      Kuch saal pehley ye dunya bohot payari thi, meyra shumaar tension free logoN mey hota tha, school, ghar aur shahrarteiN, meyri dunya sirf inhi teen activities pey mabni thi...
                      Phir ahista ahista in activities mey izafa hota gaya aur jab kaamoN mey izafa hua to sochoN ka mahwar bhi khud ba khud wasee hota gaya....
                      Iss dunya ka meyrey sath baratao hamesha sey bohot strange raha hai, mujhey lagta hai key meyri dunya sirf mujh sey leyna jaanti hai aur lafz "deyna" key mahfoom sey waqif tak nahi hia. jiss tareekey sey issey deyna nahi ata ussi tareekey sey mujhey "NO" kehna nahi ata ...
                      Issi tareekey sey jabhi bhi mey ney aik cheez ko ehmiyat deyni shuru ki...jaisey jaisey wo cheez meyrey liye qeemti hoti gai ....bohot asani sey wo mujh sey door ker di gai..... aik din apni diary mey, mey un sabhi cheezoN ki list ban'naney lagi ta key thora sa iss dunya ko ehssass dila sakuN key wo kafi zulm kerney lagi hai leykin wo list itni lambi hoti gai key akhir mey mujhey aik khauf ney aa gheyra aur mey ney wo wo list waheeN bas akhir mey aik lafz likh diya "Na Mukammal"....
                      Iss key baad sey mey ney kabhi aeysi list nahi banai, ab mey sirf blessings ki list banati huN, kyun key ye list banatey huye mujhey iss ko mukammal kerney mey kabhi kisi khauf ney nahi ghera hai...
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      Working...
                      X