Kisi bahar main kabhi main kisi darakht ki shaan tha ..!! Itni onchai par tha kai loag jab us darakht key neechey say guzra kertey to mujh ko dekh ker muskuraya kartey ..!! Jab hawa kabhi mujhey chuu ker guzarti to main bhi usi hawa kai jhooley per jhoom jaya karta ..!!! Zindagi bohat khoob k'att rahee thi meri har roz sooraj ki kirnein mujhey mazeed jawan kerti jateein ..!! Yun kahye kai mujh sey mausam-e-bahar tha aur main bahar say ..!! Ab kahan tak aur kab tak bahar rehti ..!! aur kab tak main is darakht sai jhoolta khushion key geet gata ..!! Ayi ik din khizan bhi ..!! Main darakht par hee tha ..!! Mujhey ilm na tha kai mausam-e-khizan kya karney wala hey merey saath..!! aur ye darakht kitni beywafai kerey ga ..!! Mujhey ilm na tha key ye darakht jis nay mujhey apni kisi aik shakh par jaga dey rakhi hey mujhey alag karey ga aur meri jaga kisi aur ko dey ga ..!! main .. main usi khuhsi main tha usi dhun main magan ..!! Phir yun hua kai us darakht ney mujhey ahista ahista meri jaga chorney per majboor ker deya ...!! Mera wo rang jo kabhi khushi sey hara hua karta tha isi soch main kai ab yahan sai mujhey jana hay peela parta gya ..!! phir yun hua kai wohi hawa jis kai dosh per main jhoola jhool liya karta tha usi hawa ney mujhey ik din usi darakht say alag kar deya ..!!! Main zameen par aan gira .!! Wohi loag jo mujhey dekh ker muskura deya kartey thaey unhi main sai kisi aik ney mujh per paon rakh deya ..!! Meri hadian tootein ..!! Mujh sey awaz nikli to us insaan ney kaha " Mujhey sookhey paton par paon rakhna bohat acha lagta hey " Usi insaan key saath chali ik aur insaan ney kaha " Aur mujhey in pa'tton main sai aney wali awaz bohat bhati hey " Ye sun ker us insan ney apni mohabbat ka saboot deytey huye mujhey apney jootey key neechey sey nikal kar apney dono hathon main laey ker buri tarhan masal deya merey kaye tukrey ho gaye ..!!! Mujhey sakht dard hua par wo insaan khush ho gaii .!!! Merey tukron ko wahin zameen per phenk ker dono ik doojey ki bahon main bahein daley agey barh gaye ..!! Merey tukrey abhi itney bhi nahi huye thaey kai meri saansein band hoan par dard bohat tha ..!!! Kuch aisa hee hota gya loag atey gaye mujh par paon rakhtey gaye ..!! phir wohi jora dobara aya ..!!! Meri akhri saansein chal rahee thaein .!! Logon ney mujh per paon rakhna band nahi kya tha aur merey jism key tukron main say aney wali awazein aur meri takleef dono hee logon ko bohat bha rahee thi ..!! Wo jora phir sai qareeb aya us Insaan ney fatehana andaz sey mujh adh marey ko phir uthaya mujhey dono hathon main rakh kar musal'sal masalta raha wahan tak kai jab tak meri sansein band na huein merey tukrey tukrey na ho gaye aur phir dono hathon ki hathelion main rakh kar merey tukron par us ney phoonk mari ..!!! Mujhey ik pa'ttey key tukrey idher udher hawa sey bikhar gaye aur unhi tukron main sey mera dil us shaks us insaan kai pairon kai samney a gira ..!!! Us ney agey chalney key liye us per paon rakha ..!!! Aur meri ankhein band hein .!!!
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~* Sookha P'atta *~
Collapse
X
-
Re: ~* Sookha P'atta *~
Originally posted by WorThlessKisi bahar main kabhi main kisi darakht ki shaan tha ..!! Itni onchai par tha kai loag jab us darakht key neechey say guzra kertey to mujh ko dekh ker muskuraya kartey ..!! Jab hawa kabhi mujhey chuu ker guzarti to main bhi usi hawa kai jhooley per jhoom jaya karta ..!!! Zindagi bohat khoob k'att rahee thi meri har roz sooraj ki kirnein mujhey mazeed jawan kerti jateein ..!! Yun kahye kai mujh sey mausam-e-bahar tha aur main bahar say ..!! Ab kahan tak aur kab tak bahar rehti ..!! aur kab tak main is darakht sai jhoolta khushion key geet gata ..!! Ayi ik din khizan bhi ..!! Main darakht par hee tha ..!! Mujhey ilm na tha kai mausam-e-khizan kya karney wala hey merey saath..!! aur ye darakht kitni beywafai kerey ga ..!! Mujhey ilm na tha key ye darakht jis nay mujhey apni kisi aik shakh par jaga dey rakhi hey mujhey alag karey ga aur meri jaga kisi aur ko dey ga ..!! main .. main usi khuhsi main tha usi dhun main magan ..!! Phir yun hua kai us darakht ney mujhey ahista ahista meri jaga chorney per majboor ker deya ...!! Mera wo rang jo kabhi khushi sey hara hua karta tha isi soch main kai ab yahan sai mujhey jana hay peela parta gya ..!! phir yun hua kai wohi hawa jis kai dosh per main jhoola jhool liya karta tha usi hawa ney mujhey ik din usi darakht say alag kar deya ..!!! Main zameen par aan gira .!! Wohi loag jo mujhey dekh ker muskura deya kartey thaey unhi main sai kisi aik ney mujh per paon rakh deya ..!! Meri hadian tootein ..!! Mujh sey awaz nikli to us insaan ney kaha " Mujhey sookhey paton par paon rakhna bohat acha lagta hey " Usi insaan key saath chali ik aur insaan ney kaha " Aur mujhey in pa'tton main sai aney wali awaz bohat bhati hey " Ye sun ker us insan ney apni mohabbat ka saboot deytey huye mujhey apney jootey key neechey sey nikal kar apney dono hathon main laey ker buri tarhan masal deya merey kaye tukrey ho gaye ..!!! Mujhey sakht dard hua par wo insaan khush ho gaii .!!! Merey tukron ko wahin zameen per phenk ker dono ik doojey ki bahon main bahein daley agey barh gaye ..!! Merey tukrey abhi itney bhi nahi huye thaey kai meri saansein band hoan par dard bohat tha ..!!! Kuch aisa hee hota gya loag atey gaye mujh par paon rakhtey gaye ..!! phir wohi jora dobara aya ..!!! Meri akhri saansein chal rahee thaein .!! Logon ney mujh per paon rakhna band nahi kya tha aur merey jism key tukron main say aney wali awazein aur meri takleef dono hee logon ko bohat bha rahee thi ..!! Wo jora phir sai qareeb aya us Insaan ney fatehana andaz sey mujh adh marey ko phir uthaya mujhey dono hathon main rakh kar musal'sal masalta raha wahan tak kai jab tak meri sansein band na huein merey tukrey tukrey na ho gaye aur phir dono hathon ki hathelion main rakh kar merey tukron par us ney phoonk mari ..!!! Mujhey ik pa'ttey key tukrey idher udher hawa sey bikhar gaye aur unhi tukron main sey mera dil us shaks us insaan kai pairon kai samney a gira ..!!! Us ney agey chalney key liye us per paon rakha ..!!! Aur meri ankhein band hein .!!!
Aik din mein yoon Parwaaz.....Wah rey shair..... Jabhi kehta tha Pichley Zamaney bhool ja..... Mujhey wohi misaal yaad aagayi....:lol
O babey... khoosat... yahan wo share kiya kar jo ksii bhi hawaley se kahin aur na jaye..... Ticket Liya Lonon ka Pohach gaya Lalokheet....
Khair bahesiyat Tehreer Buhat Umdah likha hey .... aur jis darakht ki baat hu rahi hey us pey kabhi hamara bhi baseera tha... magar zara kamzoor they jiski wajha se waqt e khizaan k aaney se pehley hi gir gaye they....:)
aur paagley Insaan ban ja.... aaj mein ney nahi jana baas..... hun tusi khud ley jana apney YAAR ko .....:lol Ab na na sonoon... chal khush reh.... Take Care:rose
Comment
-
Re: ~* Sookha P'atta *~
Originally posted by Ambreenachi tehreer hai...insani zindagi ki bhi yehi haqeqat hai keh aik na aik din murjha ker khatem ho jana hai insan ko bhi har ches fani hai ....acha likhtey hain bhai sahab aap..khush rahiyye
Comment
-
Re: ~* Sookha P'atta *~
Originally posted by WasiAssalam O Alikum....:rose
Aik din mein yoon Parwaaz.....Wah rey shair..... Jabhi kehta tha Pichley Zamaney bhool ja..... Mujhey wohi misaal yaad aagayi....:lol
O babey... khoosat... yahan wo share kiya kar jo ksii bhi hawaley se kahin aur na jaye..... Ticket Liya Lonon ka Pohach gaya Lalokheet....
Khair bahesiyat Tehreer Buhat Umdah likha hey .... aur jis darakht ki baat hu rahi hey us pey kabhi hamara bhi baseera tha... magar zara kamzoor they jiski wajha se waqt e khizaan k aaney se pehley hi gir gaye they....:)
aur paagley Insaan ban ja.... aaj mein ney nahi jana baas..... hun tusi khud ley jana apney YAAR ko .....:lol Ab na na sonoon... chal khush reh.... Take Care:rose
ham to samjhey thaey kay l'ab azad hain par jana nahi tha yahan bhi wohi hey jo MERA HEY WO MERA HEY :lol aur rahee London aur laloo khet ki baat to koi khas faraq nahi hey dono jaga wadey loag hain tehreer parhney ka pasand kerney ka shukriya jeeta rah khush rah aur sada abad rah ... aur haan raat ko tayar bhi rah jana hey aaj :lol
Comment
-
Re: ~* Sookha P'atta *~
Originally posted by WorThlessWalaikum Asslam jeeta rah khush rah
ham to samjhey thaey kay l'ab azad hain par jana nahi tha yahan bhi wohi hey jo MERA HEY WO MERA HEY :lol aur rahee London aur laloo khet ki baat to koi khas faraq nahi hey dono jaga wadey loag hain tehreer parhney ka pasand kerney ka shukriya jeeta rah khush rah aur sada abad rah ... aur haan raat ko tayar bhi rah jana hey aaj :lol
Comment
-
Re: ~* Sookha P'atta *~
Originally posted by WasiChal bachey ...Khool k lab aazad hein terey ... magar yahan nahi...:lol call kar mujhey ....:eye: aur Baat london ki hu ya lalokheet ki ... harkatein na kiya kar.... :lol baron mein nahi betha kar kitna wari samjhaya... ham bachey hi achey ...Mannn k tu sachey na.... baas peeta ja ... jeeta ja....:lol Raat mein ney ajmaan bhaag jana hey deekhna tu....:tang:
Comment
Comment