Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mahé Aug. ka mauzoo: Infiradi Kirdar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mahé Aug. ka mauzoo: Infiradi Kirdar

    Asalam Alaikum Respected Members,


    Pegham writer's sec. mey hum aap ko khush amdeed kehtey hein,
    Aap ki tehreer Pegham key Senior writer (Zmufti )check karein gi , agar us mey kuch kami beyshi hui to wo theek ker dein gey iss tarhan ahista ahista inshAllah ham sab ki tehreer mey aik nikhaar a jaye ga :thmbup:


    August key Maheeney key liye hamara topic Pakistan key hawaley sey hai aur hamara topic hai


    Infiradi Kirdaar




    Last date for submitting your entry: 30th August 2007



    Hamein aap ki Tehreer ka inteyzaar rahey ga inshAllah :rose
    Last edited by Z.; 1 August 2007, 11:37.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Kia yeh tehreer angreezi mein bhi submit ki ja sakti he???

      nahi...only in Urdu
      English main hoo tu phr app ko English Corner main share krni parey gii

      Comment


      • #4
        Originally posted by aquari View Post
        nahi...only in Urdu
        English main hoo tu phr app ko English Corner main share krni parey gii
        Lekin ENglish section mein bhi kabi koi aisa thread nahi dekhnay ko milta :donno:
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Lekin ENglish section mein bhi kabi koi aisa thread nahi dekhnay ko milta :donno:
          app share tu karain english section main :)

          Comment


          • #6
            Infiradi kirdar
            Attached Files
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Originally posted by bloo View Post
              Infiradi kirdar
              Zinia chunkeh in tehreeron ka aik maqsad yeh bhi hai keh likhney walon ki tehreer'naweesi ko polish kiya jaey to main aap key tehreer per comment kuchh buniyadi mistakes sey karta hoon....
              "...in saath salon mein aik tabqah aisa raha hai..." yeh kis tabqey ki baat ho rahi hai? zara issey bhi rooshnaas kara dijiye... Ghalban aap ka ishara is jumley keh end mein darj tabqey ki taraf hai - awwam magar jumley mein alfaaz ki garr barr ki wajah sey sahi tarha samajh nahin aati. Aap ka jumla yun hona chahiyey:
              "...in saath salon mein aik tabqa hamesha aisa raha hai jis ney issey kaafi nuqsaan pohanchaya hai, aur woh hai: awwam - yani ham!" - alfaaz ki sakhat per ghaur kijiye.
              "...unhon ney aik aik hakoomat ko aisey aisey..." yeh jumla bhi drustgi mangta hai... "unhon ney har hakoomat ko aisey aisey alqabaat sey nawaza keh woh hakoomatein maazi ka hissah hotey huwey bhi larz uthein"
              ".. yeh aik muhib-e-watan janey maney jatey hain" :cc: issey bhi drust kar lijiye aur yun likhiyey: "..yeh aik janey maney muhib-e-watan hain aur har hakoomat key aik behtareen naqid (critic ki urdu) samjhey jatey hain" Jumla mukhtasir likha karein aur clear!
              *************************************

              Aap ki tehreer Pakistaniyat ko ujagar karti hai, doosrey alfaaz mein yun kah lijiye keh hamarey dilo mein pakistan ka bohat dukh dard hai magar alfaaz ki hadd tak - kirdar hamarey aisey hain keh jungle key wehshi janwar bhi jungli qawaneen ka paas kartey huwey nazar aaein gey magar Pakistani, Pakistan ko la'qanooniyat ki taraf ley janey mein kabhi daregh nahin karein gey....
              Problem ko ujagar karney key baad aap ney iska koi khatir khawah hal pesh nahin kiya! Aik chotey sey paragraph mein farz sey aashnaii per baat khatam kar di hai. Yeh to sabhi jantey hain keh farz sey aashnaii hi qomon ki zindagi ki elamat hai, magar koi hal bhi to pesh kijiye keh infradi kirdar kya hona chahiyey, kis tarha issey develope karna chahiyey?
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Originally posted by Masood View Post
                Zinia chunkeh in tehreeron ka aik maqsad yeh bhi hai keh likhney walon ki tehreer'naweesi ko polish kiya jaey to main aap key tehreer per comment kuchh buniyadi mistakes sey karta hoon....
                Attached Files
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Attached Files
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Attached Files
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      Working...
                      X