Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

    ":rose ajab halat ye dil ki hai woh kehta hai mein sunti hoon kabhi khawaboon mein sajti hoon kabhi chahat mein simatti hoon kabhi yunhi hawaoon sai batain mein karti hoon us ki batoon ki ahat mein mehsoos karti hoon ajab halat ye dil ki hai woh kehta hai mein sunti hoon us ki dharkan mein jeeti hoon :rose

    woh kehta hai mein sehra hoon zara sambhal jao chalnai sai na ho aisa kai kisi dasht mein kho jao tum mujhse mein kehti hoon tum sehra ho to badal mujh ko banna hai woh barish mujh ko banna hia jo tum ko sairaab yun kardai kisi bhi dasht mein phir hum dum na darr ho khonai ka tum ko mein

    woh kehta hai mein badal zara ruk kar ye sochlaina kahin aisa na ho jai mein tumhein bhool hi jaoon in shokh hawaoon kai sang mein kisi aur simat chala jaoon mein kehti hoon tum badal ho meri chaoon bhi tum sai hai inhi hawaoon ki rawish par paya bhi tum ko hai...tum badal ho mein jhonka hoon bina mere kahan jaoogai jahan bhi tum chalai gai mujhe hi sang pao gai

    woh kehta hai mein suraj hoon dekho ye keh raha hoon tumse kahin yun paas mere akar jal hi na jana tum dekho sambhal kar rehna kahin pighal hi na jana tum mein kehti hoon tum suraj ho to kiran mein bhi hoon tumhari..kai har ik rang mein mere bhi tumhari hi hai khumari..tum suraj ho to sun lo tum ye mein tumse aaj kehti hoon mujhe har dam hi rehna hai tumharai sang hi jeena hai tumhari chahat ki anch mein har dam hi pighalna hai kai ye hai arzoo hamari

    woh kehta hai mein mohabbat hoon soch lo kya chal sako gi kya rahoon mein ain gai jab pathar to seh sako gi mein kya kahoon us sai kai dil mein wohi basta hai meri ankhoon mein dekhai to ek usi ka chehra dikhta hai..mein kehti hoon tum mohabbat ho to mein azmaish hoon tumhari mein chahat hoon to tum arzoo ho meri haan tumharai sang chalna hai mera dil ye kehta hai tumharai hathoon ki rekha mein mujhe mera naam dikhta hai dekho meri ankhon mein tum bhi khud hi jaan jao gai meri har arzoo mein bhi tumhara ehsaas mehakta hai...

    woh kehta hai bauhat si batain magar mein janti hoon us ko kai dil mein us kai bhi darr hai kahin mein kho na jaoon us sai janai kab woh samjhai ga kai dil mein bastai hain jo sang woh kabhi kho nahi saktai juda ho nahi saktai :rose

  • #2
    Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

    Hmm ..!! khoobsurat likha hey kisi ka khayal kisi ki likhai ban gya ..:!!! share kerney ka shukriya jeeti raho khush raho sada abad raho

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

      j dil main bastay hain wo sang khabi kho nahin sakhtay juda ho nahin sakhtay


      buhat khoobsurat :rose


      behad acha likha hia :)


      jeeti raho khush raho sada abad raho :rose
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

        bohat khoob :rose bohat acha likha hey muskan

        khush rahyie :rose




        Comment


        • #5
          Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

          khoobsoorat...:rose

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

            achaa likha hay bohat...:rose

            khush rahieay...:)
            Main nay soch liyeah hai
            Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

              Originally posted by WorThless
              Hmm ..!! khoobsurat likha hey kisi ka khayal kisi ki likhai ban gya ..:!!! share kerney ka shukriya jeeti raho khush raho sada abad raho
              aap ko pasand aya bhai yehi kafi hai mere liyai :)

              aap hamarai sath hi rahiyai ga hamesha ameen sum ameen :rose

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

                Originally posted by ~khawahish~
                j dil main bastay hain wo sang khabi kho nahin sakhtay juda ho nahin sakhtay


                buhat khoobsurat :rose


                behad acha likha hia :)


                jeeti raho khush raho sada abad raho :rose

                dil mein basnai walai wakai kabhi juda nahi hotai :rose khushi hui tumhein tehreer pasand ai hain bas yunhi meri hausla afzai karti rehna :blush:


                khush raho tum :)

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

                  Originally posted by kanwal
                  bohat khoob :rose bohat acha likha hey muskan

                  khush rahyie :rose
                  khushi hui tumhein tehreer pasand ai hai kanwal :) tum kuch likh kyon nahi rahi ho aaj kal mera dil kar raha hai kuch parhnai ko :rose


                  khush raho :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

                    Originally posted by - aa -
                    khoobsoorat...:rose
                    tareef ka bauhat shukriya :)

                    khush rahiyai :rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~ woh kehta hai mein sunti hoon ~*~

                      Originally posted by Aabgeena
                      achaa likha hay bohat...:rose

                      khush rahieay...:)
                      khushi hui tumhein tehreer pasand ai bacha :) tum bhi bauhat khush raho /hug

                      Comment

                      Working...
                      X