Mujhey iss dunya key insaano sey bohot dar lagta hai. leykin phir bhi in ka shumaar meyrey khamosh dostoN mey hota hai wo iss tarhaN key Akser in insaano ko perhney key liye mey jheel kinarey jati hun. wahan pey itney log hotey hein jo key sabhi mukhtalif kaamo mey masroof hotey hein koi grps ki surat mey neechey ghass pey beythey baateiN ker rahey hotey hein to koi apni picnic sey luft andoz ho rahey hotey hein, koi cheyhal qadmi ker raha hota hai aur koi jheel kinarey betha apni sochoN mey gum hota hai, aur Mey! in sab sey door apni most fav. jaga pey beyth ker in sab ko deykh rahi hoti huN, her chehrey pey aik nai dastaN hoti hai. jo mujhey kabhi khushi ka ansar lagti hai to kabhi dukh ka aur kabhi bey tassur chehrey hotey hein. Jab in logoN key chehrey mujhey thaka deytey hein to mey kafi deyr tak lehroN key shaur ko samajney ki koshish kerni shuru ker deyti hun. Jaisey jaisey shaam honey lagti hai, in lehroN ka shaur berhta chala jata hai. leykin mujhey aaj tak in lahroN ki awaz nahi samaj aa saki. aur phir iss shaur sey bhi thak ker mey aik gehra saans ley ker hawa ko aur phooloN ko aur sabzey ko alvida keh deyti huN aur apney ghar ka rukh kerney sey pehley aik baar palat ker mey logoN ko aur shaur machati lehroN ko bhi alvida kabhi kehna nahi bhoolti huN. Ye sab merey khamosh dost heiN. inhi khamosh dostoN mey meyrey kamrey ka bhi shumaar hota hai. iss ki khamosh deewarien, darwaza aur aik adad khirki mujhey bohot aziz heiN. aziz kyun hein? sirf iss liye key ye deewareiN kabhi bhi masroofiat ka bahana nahi banati aur bohot sakooN sey meyri bateiN sun leyti heiN aur phir ye deewarein to meyri raazda'N heiN. aur khirki iss liye key ye taza hawa key aaney ka zarya hai, aur phir aik bohot payari chirya roz subha yaheeN issi khirki key paas her roz mujhey aik payara naghma sunati hai. ab pata nahi iss chirya ko iss khirki sey ishq hai ya phir wo bhi meyrey khamosh dostoN mey shamil hona chahti hai leykin mujhey bohot maza ata hai uss ki awaz sun ker. aur phir meyrey kamrey ka darwaza iss liye key ye mujhey aik haqeeqi dunya sey milney ka hosla deyta hai, yahi key iss kamrey sey bahar aik aur dunya bhi hai aur iss darwazey ko "pull" aur "push" kertey huye inhi do lafzoN sey hi mujhey bahar ki dunya mey jeeney key bohot payarey kuch asool samaj atey hein.
ye sabhi meyrey wo khamosh dost heiN, jo na hi kabhi mujh sey door hoN gey aur na hi jin sey mey kabhi door hon gi.
ye sabhi meyrey wo khamosh dost heiN, jo na hi kabhi mujh sey door hoN gey aur na hi jin sey mey kabhi door hon gi.
Comment