Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

hum bersat or wo

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • hum bersat or wo

    aaj jub barish kay qatray pani main giray to usi lamhay wo qatray humari ungli paker kay humain door kisi ki yad kay dahanay ly gay.jub hum nain kisi ki ankh main anso daykhay to hum say raha nahi gia or jub hum nain un say in anson ki wjh potchi to wo bolay aray pagli ey anso thori hain ey to bersat hay.or khmosh hogay.tbhi un ki nzer humri hayran ankhon min chupay swal kysay?pay pari.to bolay kyuonkay hum jntay hain kay jub tum brish min bhegti ho to kahti ho tum nin is barish main apni pori zindagi ji li.to main nain socha kay ager main apni ankhon main bersat lay aaon to kia tum is bersat main apni pori zindagi jena psand nahi kero gi.or tub hum holay say muskoray or asbat main sir hila dia.
    barish ki tayzi nain humain phir say haqeqat ki dunia main lakhera kia.aaj barish bhi hay hum bhi hain.mager kisi ki ankh main ab bersat nahi hay.kyuonkay pori zindagi jenay ka faysla to humara tha.kisi ka thori.hum to aaj bhi wahan hi kheray hain.her bersat main kisi kay lot any ki umeen ankhon main sajay hoy.mager ey kia aaj humara chahera kyuon bheg gia.oh to aaj bersat humari ankhon main bhi hay.laykin shaed ey bersat zindagi jenay ki nahi bulkay usay kho daynay ki hay.aaj bhi barish hay per pata nahi kyuon is main bhegnay ko dil nahi ker raha aaj dil kyuon nahi chahta is barish main bheag kay apnay tamam dukh tamam taklefain in main baha don.shaed is leay kay aaj kisi ka sath nahi hay

  • #2
    Re: hum bersat or wo

    kyuonkay hum jntay hain kay jub tum brish min bhegti ho to kahti ho tum nin is barish main apni pori zindagi ji li.to main nain socha kay ager main apni ankhon main bersat lay aaon to kia tum is bersat main apni pori zindagi jena psand nahi kero gi.
    poori tehreer main sub sey khoobsoorat baat ..:)
    Neha app acha likhti hoo ,dear ek tu apni tehreer zara re-check kr lya karoo kai jaga spell mistake haii! or ager urdu main likh sakoo tu kya hi baat haii
    kuch loog aisey hi hum sey faisley krwa kr khud tu agey barh jatey hainn mager hum wahi kharey reh jatey hainn ..najaney ku un ko ahsas nahi hotaa k koi ruk gaya haii...isi ruk janey pr mainey bhi ek tehreer likhi thi!
    pr dear aqlmandi yahi haii k tum bhi chal paroo tehrey rehney sey kuch bhi hasil nahi woh kehtey hai na
    Tujhey zindagi ney bhula dya
    tu bhi muskura ussey bhool jaa!


    well done:clap:
    and keep it uo :em:

    Comment


    • #3
      Re: hum bersat or wo

      thnx aquari ainda say kheal rakhon gi.

      Comment


      • #4
        Re: hum bersat or wo

        wow realy neha aaj mujeh pata chala keh aap waaqai bohoth achchah sence of humour rakhhti hain aur aik bohoth he achchih writer bhi hain aaj main jitna bhi aap ki taareef karoonga woh aap ki iss tehreer k muqaablay may kum pard jaaegi,so any way aisi he tehreeren likhhti rahain aur khush rahin:phool: :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: hum bersat or wo

          thnx ji aap ki hosla afzai ka.

          Comment


          • #6
            Re: hum bersat or wo

            wow nice

            Comment


            • #7
              Re: hum bersat or wo

              tnx dani bhai

              Comment


              • #8
                Re: hum bersat or wo

                Imagination..............................i like it:em:

                keep writing and plz try to write in urdu............


                janab ap ager urdu main likhiy to acha lagy ga werna main hee likh donga

                Comment


                • #9
                  Re: hum bersat or wo

                  thnx khalil bhai but mujh say urdu main nahi likha jata .1 hul hay main aap ko pm ker dia kron or aap urdu main likh dia krain.

                  Comment


                  • #10
                    Re: hum bersat or wo

                    Hmmmmm bhot achi tehreeer hai.. weldon and keep it up

                    wish u good luck
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: hum bersat or wo

                      bohat shukria jo aap ko mayri tahrer pasand aai

                      Comment

                      Working...
                      X