Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

    :rose woh deewana kuch tanha tanha sa lagta hai hoon gai loog aur bauhat woh apna apna sa lagta hai..us kai honai sai hai saibaan mera salamat hans kai dekhai to duniya sai juda lagta hai :rose

    aaj phir bauhat dinon baad mila hai woh mujhe aaj phir us ki ankhoon mein mujhe woh sawaal nazar aya hai...mein khushi hoon agar to mujhe woh milti kyon nahi mein agar sath hoon to sath mere rehbar kyon nahi aaj phir ghantoon beth kar us nai ki hain mujhse batain aaj phir hal-e-dil us nai keh sunaya hai..

    woh kehta hai mein tanha hoon mujhe tanha hi rehnai do mein jis andherai mein rehta hoon mujhe us mein hi jeenai do
    mein kehti hoon tum tanha nahi ye soch hai tumhari ek nazar utha kar dekho gai to hazaroon ankhoon mein tasveer hai tumhari hazaroon diloon sai dua nikalti hai sirf tumhari khushi ki hazaroon muskarahatain takti hain tumhara rasta

    woh kehta hai mein koi nahi koi nahi hai mera mein woh lehar hoon jisai sahil nahi milta woh mauj hoon jo har baar toot kar bikharti hai jis ki khawaish har lamha khud sai larti hai..
    mein kehti hoon tum kaun ho ye tum nahi jantai mein batati hoon tumhein tum meri baat suno..tum woh shajar ho jo saya daita hai khud ko jala kar bhi tum woh chaoon ho jis ki panah mein hain khawaishain hamari...tum woh saya ho jo har lamha sath chalta hai tum woh rehbar ho jis ka hath pyar sai sar par hamesha rehta hai haan mein batati hoon tumhein kaun ho tum tum woh ho jis kai dil sai sada dua nikalti hai hamari khushyoon ki tum woh bhai ho jis ki duaoon sai hamara daman mehakta hai..

    woh kehta hai yun mat mujhse koi taluk joro tum na khud ko mera mujhe apna samjho tum
    mein kehti hoon tum bhai ho bhai raho gai mere tum sai rishta khoon ka nahi mere dil meri rooh ka hai...tum nai sada talash kiya hai duniya ki bheer mein apnoon ko mein ye kehti hoon ek baar apn ai dil kai darwazai ko kholo us ki baat suno tumhien tumharai apnai khud mein bastai milain gai...

    mein ye sab kehti hoon woh bas dekhta hi rehta hai janti hoon meri baat woh samajhta hai janti hoon woh yakeen rakhta hai magar darta hai us ki ankhoon ki nami mujhse yehi kehti hai haan woh darta hai thokar khanai sai aik baar phir dkokha khanai sai woh yehi kehta hai mujhse kai dekho mujhe kisi baat ka asar nahi hota nahi tootoon ga mein magar mein ye janti hoon woh andar sai har baaar darta hai har baar yakeen karnai sai pehlai woh khud sai poochta hai magar dil kai hathoon woh phir hami bharta hai mein kya kahoon us sai siwai is kai....

    "tum saibaan ho mera sada mere sath rehna tumhari duaoon ki chaoon mein hai ashna mera kabhi jo waqt ki tez andhi tumhein tanha bhi karai to yakeen rakhna kabhi na tootai ga ye rishta apna"

    Khuda mere us bhai ko hamesha mere sath rakhai ameen sum ameen /yhug

  • #2
    Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

    tum bhai ho bhai raho gai mere tum sai rishta khoon ka nahi mere dil meri rooh ka hai :) hmmmmmmmmmm kyun khud ko tanha samjhtay ho hath barho sab pass hian tumharay :)



    Aur muskaan hamesha ki tarah buhat khoobsurati say likha aur buhat hi khoob likha lekin aik baat kaho'n khabi khabi hamaray lafz kum parh jatey hian hum keh kar bhi keh nahin patey :)


    pata nahin kya boley ja rahi hoon main bus khush raho Dono :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

      bohat acha likha ....tum bhai ho bhai raho gai mere tum sai rishta khoon ka nahi mere dil meri rooh ka hai...best line..:rose

      apni baat kehtay hoay hamaray dil ki baat bhi keh jati hain is k liay bohat shukriya...:rose ... hum tau bas dil ki dil hi main liay phirtay hain...:)

      khush rahieay hamesha...:rose
      Main nay soch liyeah hai
      Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

      Comment


      • #4
        Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

        Bohat aala Muskaan. Mujhey ehsaas tha keh aap bohat aala likh sakti ho magar aap is qadar pukhta ho yeh to mujh per inkishaaf ho raha hai. Bohat lutf aaya aap ki tehreer parh kar. Jeeti raho.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

          :thmbup:
          mujehy perhney mey bilkul aik nazm ki tarhan lag raha tha :D:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

            Originally posted by ~khawahish~
            tum bhai ho bhai raho gai mere tum sai rishta khoon ka nahi mere dil meri rooh ka hai :) hmmmmmmmmmm kyun khud ko tanha samjhtay ho hath barho sab pass hian tumharay :)



            Aur muskaan hamesha ki tarah buhat khoobsurati say likha aur buhat hi khoob likha lekin aik baat kaho'n khabi khabi hamaray lafz kum parh jatey hian hum keh kar bhi keh nahin patey :)


            pata nahin kya boley ja rahi hoon main bus khush raho Dono :rose
            khushi hui tumhein tehreer pasand ai :) kaha tha na tumse aaj tum kaho aur lafz mein tumhari soch ko doongi tumhein pata hai khawaish jahan laft kam parh jaatai hain wahan jazbai boltai hain aur jin kai liyai ye sab hota hai woh khud hi jaan laitai hain /yhug

            bauhat khush raho tum aur bas dua karna :)

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

              Originally posted by Aabgeena
              bohat acha likha ....tum bhai ho bhai raho gai mere tum sai rishta khoon ka nahi mere dil meri rooh ka hai...best line..:rose

              apni baat kehtay hoay hamaray dil ki baat bhi keh jati hain is k liay bohat shukriya...:rose ... hum tau bas dil ki dil hi main liay phirtay hain...:)

              khush rahieay hamesha...:rose
              dil ki baat kabhi dil mein nahi rakhtai usai keh diya kartai hain :) khushi hui tumhein tehreer pasand ai :)

              bauhat khush raho tum:rose

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                Originally posted by Masood
                Bohat aala Muskaan. Mujhey ehsaas tha keh aap bohat aala likh sakti ho magar aap is qadar pukhta ho yeh to mujh per inkishaaf ho raha hai. Bohat lutf aaya aap ki tehreer parh kar. Jeeti raho.

                is hausla afzaa tareef ka bauhat shukriya masood koshish karoongi kai ainda bhi aisa hi likh sakoon :rose


                khush rahiyai :)

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                  Originally posted by barg.e.gul
                  :thmbup:
                  mujehy perhney mey bilkul aik nazm ki tarhan lag raha tha :D:
                  tareef ka shukriya :rose

                  mujhe likhnai mein bhi aisa hi laga hai :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                    Originally posted by muskaan
                    dil ki baat kabhi dil mein nahi rakhtai usai keh diya kartai hain :) khushi hui tumhein tehreer pasand ai :)

                    bauhat khush raho tum:rose
                    jab baton ko sunnay wala hi koi na ho tau kis say kahain aur kia...:)
                    Main nay soch liyeah hai
                    Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                      Originally posted by Aabgeena
                      jab baton ko sunnay wala hi koi na ho tau kis say kahain aur kia...:)
                      ye bhi to hosakta hai kai ye sirf tumhari soch ho :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                        Originally posted by muskaan
                        khushi hui tumhein tehreer pasand ai :) kaha tha na tumse aaj tum kaho aur lafz mein tumhari soch ko doongi tumhein pata hai khawaish jahan laft kam parh jaatai hain wahan jazbai boltai hain aur jin kai liyai ye sab hota hai woh khud hi jaan laitai hain /yhug

                        bauhat khush raho tum aur bas dua karna :)
                        haan janti hoon :) aur meri Soch say ziyada acha tum nay likha :)


                        buhat sara khush raho :rose
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                          Originally posted by ~khawahish~
                          haan janti hoon :) aur meri Soch say ziyada acha tum nay likha :)


                          buhat sara khush raho :rose
                          tumhari soch hi itni khubsurat hai kai mere lafz khud khubsurat hogai hian chanda :rose

                          tum bhi bauhat khush raho :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                            wahhhhhhhhhhh..muskan BHAI..bohat khoob likha hai apne.../toomuch

                            kabhi kitaboN main phool rakhna...!
                            kabhi darakhtoN pe naam likhna...!

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~ woh bauhat apna apna sa lagta hai ~*~

                              gud

                              Comment

                              Working...
                              X