Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Shajar~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Shajar~

    Aik din pattey ney pair ki tehni se pocha kabhi yoon bhi hua tumharey paas tu tanhai jesi cheez phatakti bhi nahi hu gi..... itney pattey itney phool..... yeh sarsabz o shadaab nazarey .... ye hari bhari wadiyaan ... ye khush kun hawa k jhakkar .... yeh khayal rakhney waley mali.... jo subh o sham tum ko pani se seerab kartye hein... raat ki chandni Ouss ki shakar mein tumko thanda kiye rehti hey...... kitni khush qismat hu tum k tum se hameesha log aur ham se buhat se phool aur pattey farhat aur nayi zindagi patey hein......aik ham hein k sirf mosam e bahar mein hi zindah hutey hein aur phir mosam k jatey jatey hamari khobsorti dheemi parti jati hey hamari nasoon mein se rangat nuchar kar reh jati hey ...aakhir ham kisi besahar bejaan shey ki tarhan zameen mein peeron mein rulney marasney k baad fana pa jatey hein......

    Daali ney hawa k doosh per apna rukh pattey ki janib kiya aur dheemey se muskaayi..... aur yoon goya hui..... haan mujhey tum khush qismat keh saktey hu..... magar shayad tumko yeh maloom nahi .... Lo aaj mein tumhain batati hoon k tum jab mosam k saath chaley jatey hu tu wohi log jo tumhari khoobsorti ki bina per tum sab k wojood se bharey is darakht ki chaon mein aatey they .... tumharey jatey hi woh sab bhi yoon chor jatey hein .... yehi taza aur farhat bakhsh fiza jo aaj tumharey jisim ko nayi tazgi deeti hey ....yehi fiza uswaqt hamarey wojood ko kitni khasta kardeeti hey.... mery s hari bharey jism per uswaqt khush sali ka mosam chalta hey ...dhoop ki tapish se rooz jalna huta hey .... wohi chandni jo kabhi shabnam ka sabab hua karti thi.... sirf aik mukhtasir waqt k liye aati hey ...warna phir wohi reegzaar mosam......
    aur aksar tu yoon bhi hua hey key tum jesey samajhtey hu mujh per kabhi fana nahi tu ayesa nahi hey .... kabhi jo ham is baagh ki ronaq hua kartye hein ... yehi hamarey cahney waley ... yehi hamko jagha ki beronaqi ki wajha se ukhar pheektye hein....

    baas jaan lo k jab tak hamari chamak dhamak hey tab tak hi hamari wouqqat hey..... yeh Ibn-e-Adam hey hi ayesi bala... Asharaf Ul Makhlooqaat hein.... inkey kheel bhi ajab hutye hein... jab cahein jis cheez se dil bhar jaye usko toor maroor deetey hein... fayedey k sodey inhi mein hua kartye hein..... ham tu inkey adna ghulaam tehrey .... yeh tu apney logo mein bhi apas mein aaqa aur ghulam ka farq rakhtey hein... jab cahey aashiyaan banatey hein .... jab cahey bikheir deetyeh hein... yeh soochey bagahir k in mein basney waley inse pewasta ki hayat inhi se thi.... sirf waqti khushi ki khatir .... ham tu phir bhi kanton ko seeney mein sajayeh muskuratey hein....

    pus hameesha socho k apney aap se kisi ka kitna fayedah hu sakta hey agar jo kisi ko aik musarrat ka lamha dey sako tu baas yeh samajh leena k maqsad tamam hua..... magar yeh zaroor deekhna k us aik lamhey k chakkar mein uskey baad barson ki takleef na pohach jaye tumsey... kyon k jab Aqeedat k Bo'ut jab masmaar hutey hain tu unsey aik fard e wahid nahi qou'meen mutassir huti hein..............:rose

  • #2
    Re: ~Shajar~

    Jandar wo bhi hain aur jaandar ye janwar numa insaan bhi ..!! par faraq bohat hey :) Asslam O Alaikum kasey ho miyan ? ye likhney kai jaraseem bhi khoob hain jis kisi ko chimat jaein to bas chimat hee jatey hein bohat acha laga tumhein yahan dekh ker ..!!! aur us sai bhi zayda maza aya ye tehreer perh ker ishara kidher rakhtey ho samajh a gya ..!! Bakhoobi a gya aur achi tarhan samajh bhi liya hey kuch sach hee bola hey tum nai bhi :) khair bohat acha likha hey jeetey raho khush raho sada abad raho Waslam

    Comment


    • #3
      Re: ~Shajar~

      Isnt it strange ..!! i replied and its not showing :)

      Comment


      • #4
        Re: ~Shajar~

        bohat acha likha hay Wasi...:rose

        khush rahieay...:)
        Main nay soch liyeah hai
        Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

        Comment


        • #5
          Re: ~Shajar~

          hmmmm :) acha likha hai :rose


          khush rahyeah :rose
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: ~Shajar~

            bauhat achi tehreer likhi hai aap nai :)

            khush rahiyai :)

            Comment

            Working...
            X