Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ek Sabaq Amoz Kahani

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ek Sabaq Amoz Kahani



    Ek din bahut tez mausla dhaar baarish ho rahi thi, aasman mein chaaron taraf kaale kaale baadal chhaye huwe thay, goya ke din mein hi raat ka guman ho raha tha, rah rah kar baadal garzte aur ek saath aasman mein kayi bijliyan chamak jaatien, aisi bijliyan chamakti aur baadlon ke garj se ke haath paon sihar jaata. Hawa bhi aisi tez chal rahi thi ke toofan ke maanend tha, sadkon pe ek bhi log nahin chal rahe thay, aas paas ka elaaqa andhere mein doobta huwa lag raha thaa, hawa tez, mausla dhaar baarish, aasman mein kaale baadal aur rah rah kar cheekhti aur chamakti huwi bijliyon aur badalon ki gadgadahat se faza khaufnak lag raha tha.















    Sabse pehle ek budha shakhs shed se bahar nikla aur baarish mein bheegte rahe, bijli chamkti to budha kaanp jaata, baadal garjtey to wo saham jata, 5 minute tak bheegne ke baad shed mein wapis aa gaye. Phir adher umr ka ek aadmi 5 minute tak bheega, phir jawan gaya, aurtein thein unki bhi baari aayi wo bhi 5-5 minute tak baarish mein bheeg kar shed mein wapis aa gayien, iss tarah se sabki baari khatm ho gayi, lekin baarish nahin thami. Ab bhi ussi tez se baarish ho rahi thi, ab bhi cheekhti aur kaale kaale baadlon ko chirti huwi bijliyan chamak rahi thein.



    Shed mein ek chhota sa 7-8 saal ka bachha tha, shayad khelte khelte qarib ke park se yehan aa gaya tha. Sab logon ne kaha lagta hai sab se bada gunahgaar yeh ladka hai tabhi to ham logon ke bheegne ke baad bhi baarish nahin ruki,





    Bachcha sadak pe khada ho kar baarish mein bheegney laga, wo rotey rotey baarish mein bheeg raha tha, abhi 2 minute hi huwa tha ke aasman mein ek tez bijli chamki aur chirta huwa bajr uss shed pe gira.
















    Sab log mar gaye, sirf wo bachcha bach gaya.



    Moral:
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: Ek Sabaq Amoz Kahani

    MASHALLAH , Asslam O Alaikum,
    tht was touchy but effective ..!! bohat hee acha laga parh kar share kerney ka shukriya jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh Waslam

    Comment


    • #3
      Re: Ek Sabaq Amoz Kahani

      nice...bohat shukriya share kernay ka...:rose
      Main nay soch liyeah hai
      Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

      Comment


      • #4
        Re: Ek Sabaq Amoz Kahani

        kaafi lambhi hay.......kuch pari hay kuch rehti hai ......tafseel se baad main parhoN ga InshAllah aur bohat acha likha hay jitna ko parha hay :)
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: Ek Sabaq Amoz Kahani

          inshAllah

          :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Ek Sabaq Amoz Kahani

            yarammm....insan ko apny aglee lamhee ka kuch malom nahi or ap kehtee hen k bad m parhoon ka hm log islam se is he ly dor hen k hamare pas achee baton k ly time nahi h.........

            Comment

            Working...
            X