Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tasweer Per Kahani

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tasweer Per Kahani

    Assalamo allaikum membraan

    September key maheeney sey ham aik neya silsila shuru kar rahey hain. Ham aap ko aik tasweer dikhaein ge aap ko is per apni sochon ko kahani ki shakal deni hai.

    To chunkeh yeh september ka maheena hai aur is mah Yom-e-Dafa-e-Pakistan ka aham waqeya aata hai, ham apney is contest ka aagaz isi hawaley sey kartey hain.

    Apni socho ko alfaaz ka jaama pehnaiye to hamari pehli tasweer haazir hai:

    Yeh Ghazi Yeh Terey Pur-asrar Bandey
    Attached Files
    Last edited by Masood; 9 September 2005, 22:04. Reason: Image size too big
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Tasweer Per Kahani

    bauhat hi acha silsila shuru kiya hai app nai chaliyai koshish karoongi kuch likhnai ki :)

    khush rahiyai :)

    Comment

    • #3
      Re: Tasweer Per Kahani

      Jee post kahan kerna hai ....??

      Comment

      • #4
        Re: Tasweer Per Kahani

        hmmmmmmmmm InshAllah kuch dinon main dekhne ko mile gi :)
        Allah

        Comment

        • #5
          Re: Tasweer Per Kahani

          Aap log apni tehreerein isi thread mein post karein - shukriyah :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Tasweer Per Kahani

            Intezar rahay ga aap sab ki tehreero'n ka :)
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment

            • #7
              Re: Tasweer Per Kahani

              Originally posted by ~khawahish~
              Intezar rahay ga aap sab ki tehreero'n ka :)
              to kya aap koshish nahin karein gi amna?
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Tasweer Per Kahani

                Originally posted by Masood
                to kya aap koshish nahin karein gi amna?
                maghar kahan likhti hoon main tu sirf parhti hoon :-s
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment

                • #9
                  Re: Tasweer Per Kahani

                  Khoobsorat ...Silsila hey jiii....

                  Comment

                  • #10
                    Re: Tasweer Per Kahani

                    Salaam:

                    Jee Yeh meri Pegham per pehli sharing hai....main pehle HG per ise post ker chuka hoon.....ummeed hai ke aap logon ko passand aaye gi.....aur agar koi bhool chook ho gayi ho to muaafi....yaan dunde...jaise aap logon ki merzi.....

                    ___Maan Ki Gaud___

                    1965 ki baat hai. Sialkot ke ilkaqe, Chuwinda main ghaliban Jumme ki namaz ka zor-o-shor se ehtemaam ho reha tha, surkain baronuq theen. Log saaf suthre libason main mesjidon, jameon ki teref rawan dawan the. laiken, waheen mahol main thori kasheedgi bhi thi, aur shayed issi kasheedgi ke bais, log pehle se bhi ziyadah juzbe se apne rub ki khidmet main haazir huwe the!

                    Waheen is hujoom main, Aslam aur us ka bhai Shaani bhi hain. Aslam, Major hai, aur Shaani, Cadet college main. Muhalle bhur ka chaand tara the yeh donon. Walid sahib Fauj main the, laiken ab mulk-e-adam main hain.

                    Aur ab khutbe ke bad jamaat khuri huwi hai, qareeban who apne akhri sujde main the, ke kaheen door se fauji tayyaron ke aane ki awaazen aane lugeen. aur phir aik dum sara mahol jaise bikher gaya ho. log jo pichli suffon main the, un main se kayi ke dil dehel gaye, laiken apni namaaz na chori unhon nain, bus kuch saaniye, chund lumhe mere maula, chund saat, aur phir!

                    Jub aasman se bumb girte hain, to who yeh kahan dekhte hain ke unhain kis ki ibadetgaah per girna chahiye, aur kis ke ghur per! who to maut ka paighaam hainaur un ka kaam hai, kuchul dena, jo bhi zud main aaye. khaak main mila dena, yeh imaretain, jin main busne waale chahe auret aur bache hi kiyoon na hon, tehes nehes ker dena.

                    Aur un main se aik zalim us mesjid ke baagh main bhi gir peraaur itni shiddet se phutta , ke mesjid ke der-o-deewar apni jer se hil gaye. kuch to ussi waqt jaan beheq ho gaye, aur kuch khauf ki tab na late huwe apne ghuron ko daur pere. laiken ab bhi keyi jaanisar-e-Islam apni ibadat main mushghool the.

                    Aslam apni namaz khutum ker chukka tha, aur use maloom tha ke ab bohot dair ho chuki hai. dushman nain is uchanuk humle se yeh saabit ker diya hai ke who is baar siref aankhain dikhane per iktifa nahin kere gi, bulke bhurpoor waar ho ga. Kafir to khair, kafir hai. us nain is humle se saabit bhi ker diya.

                    Mesjid ke bahir ka mahoul ab yukser budul chukka tha, her teref afra tefree thi, maut apne damun phelaye her kissi ko daboche bethi thi. serkon per cheekhain theen, matum tha, khoon tha.

                    Aur ab use mehsoos huwa ke jaise door, bohot door kuch lohe ki dhaarain aapis main tekra tekra ker ajeeb-o-gareeb awazain paida ker rehi hain. Aslam bakhoobi jaanta tha, ke dushmun ke taink ab chund kilometer hi door hain, ab in ke ilaake main khoon ki holi ho gi, khoon ki.

                    Donon bhaiyon nain bhi apne ghur ki teref daur luga di, bohot tez daur. un ke hawaas abhi bhi berqaraar the ke, jaise aik saaniye ki dair ho. Aslam nain daurte Shaani ki kemer per chulaang luga dee. use aik aqaab ki terah daboch liya, aur qareeb hi kaheen aik bomb sunsunata huwa aa gira.

                    Shaani ko kuch dair to hosh hi na reha, jism ke her hisse main jaise derd ki shaded taisain uth rehi theen, use apna saans zameen main dubta mehsoos huwa, aur shayed issi tekleef ke bais who phir se baidaar ho gaya tha. us nain apni kemer ko beri hi azziyet se dohra kiya, to use Aslam ka chahra nazar aaya, aankhain bund theen, aur haath paon jaise bejaan.

                    Shaani ko ilm tha. uth ker apne bhai ke qareeb do zanoo beth gaya. kuch dair us ke chehre ko tukta reha, phir apne bazoon main us ke wajood ko juker liya. cheekhon main, aik falak shigaaf cheekh us ki bhi thi. use maloom tha. Aslam nain us ki jaan bichaayi hai, laiken khud woh hi us ke liye kuch na ker seka. Ae bhai, too amar hai. kaash meri umer bhi tujhe lug jaati, kaash.

                    Phir jub apne hawaas thikane luge, to seene main aik lawa ubul chukka tha. aankhon main ab khoon uter aaya tha. use bhi maloom tha ke ab jeld hi dushman ke saath seena taan ker lerna hoga, werna humari pak zameen per us ke na-paak paon na per jain. us ne apne bhai ko aakhri baar gule lagaya, aur use waheen, aalim-e-urwaah ke huwale ker ke, apne ghur ki teref chul nikla. go ke us se chula nahin ja reha tha, bayeen taang zakhmi ho chuki thi, laiken who ruka nahin, waqt kum tha.

                    (continued)
                    Last edited by aas; 12 September 2005, 19:46.

                    Comment

                    • #11
                      Re: Tasweer Per Kahani

                      Ghur ke derwaze per destek bhi nahin dee thi, ke behen ne daur ker gule se laga liya. under se maan bhi daurti huwi aaen. Shani nain apni zubaan na kholi. kiya butata, us nain to apna chehra bhi apni maan ke saamne na kiyajaanta tha, ke maan hai, aan jaye gi, to kiya jawaab de ga, kiya kehe ga us se.

                      Maan ke poochne per us ne butaya ke Aslam waheen se fauj ki teref chul nilke, maan ko usselli na huwi, Shaani main na jaane kitni zabt thi? kitna sebr tha? ke apne aansoo pee gaya. us ki behen us ki taang per merhem putti kerne luggi, aur maan us ke chehre ke zakhm dekhne lugi, maan ke dekhne per...beikhtiyaar hi, shaani nain apna chehra, maan ke aanchul main chupa liya, aur bare payaar se kaha, ke maan! kiya, main bhi chaloon?

                      Aur maan per jaise sukta taari ho gaya.

                      woh samajh gayi thi. aakhir maa thi naan, us ke haath rukh gaye the, aur aankhen door, bohot door, kissi khala main kho gayeen theen, aur phir jaise, jaise un khalaaon main sailaab umud aaya ho. aankhon se aabshaar apne saare bundh tor ker beh nikla tha.

                      Dheere se us nain Shaani ka ser sehlaya, bara mushkil tha, laiken kiya kerti? sebr? yehi seekha tha us nain, jub us ke khanwund shaheed huwe the, jub us ke baba jaan shaheed huwe the, her baar, us nain aik hi rassi thami thi. aur who thi seber ki.

                      Shaani ko ehsaas tha, phir bhi us nain apni maan ke haath choom ker, aur aik baar phir, bare payaar se, bari aajzi se iltija ki, ke maan! kiya main bhi chaloon, maan mujhe dair na ho jaaye! Maan, tu meri maan hai, aiken aaj jis maan ki main baat ker reha hoon. us ke paak Damun main tere jaisi laakhon maaein mere jaise laakhon bachon ko apne aaghosh main samaaye hain? kiya us maan ki hifazet mera ferz nahin, kiya main us maan ka beta nahin? bol maan, tu chup kiyon hai maan? kiya !

                      Aur maan nain apne haath us ke honton per rukh diye, behen jo aik teref but buni khuri thi, jo shayed abhi tek samajh na paayi thi, use pukara ke chal beti, apne bhai ko do niwale roti to khila de, aur Aslam ki Verdi nikaal ker use de de, jeldi ker, jeldi ker meri jaan, waqt bohot kum hai.

                      Aur Shaani nain berh ker apni maan ko gale luga liya, woh aakhri lumha bhi kaisa lumha hota hai, Who chund saaniye, kitni bojhul theen woh chund ghuriyaan, Maan nain jeldi se Shaani ko alag kiya, aur behen ke haath se do niwale roti ke us ke moon main diya, samaan bandha aur Alwidah kiya.

                      Jaate huwe Shaani nain mur ker aik hi baar dekha, us ki aankhon main fakhur aur tashukker ke aansoo the, use fukhur tha apni maan per, use fukhur tha, aur phir ghur ki cokhut chor gaya. Maan ke dil me aaya ke use aik baar phir awaaz de le, us ke age apni jholi phela de, magar nahin, kabhi nahin, woh mujahid ki maan thi, aur mujahid to Khuda ke bunde pehle, us ke bete bad main hain, jao mere bete, jao, apni maan ki hifazet kerna, jao, Fee Aman-il-aah!

                      Tainkon ka toofan tha, gole bari ke saare samaan ke saath lais. itne tank the, ke khuda ki punaah, laiken Shaani aur us jaise muthi bhur jawaan, shayed issi pagalpun se tukraane aa gaye the, sheher ke ibtidai hisse main tainkon ka ghera tung hota ja reha tha, woh border se under aa chuke the, aur ab to paidal fauj bhi march kerti huwi qareeb a chuki thi.

                      Is berhte huwe sailaab ko rokne ka aik hi tareeqa thaaur who thain tainkon ki tabahi, jo ke yukser na mumkin nazar aati thi, un per agar grenades bhi giraye jaate, to shayed un ka baal bhi beeqa na hota, kiya kerain, koi sooret to hogi, thori dair aur, aur phir Pak fauj ke mujahid in per toot perain ge.

                      Aur issi dekha dekhi main, shaani nain pehel ki, apni punah gaah se nikel ker goliyon ki bochaar main dushman ke ain saamne dor luga dee, us ke saathi use awaaz dete hi reh gaye, laiken us jawaan per to pagalpun sawaar tha, is ki yeh jurat, ke mere ghur main qadum rukh seke, main is dushman ko saza doon ga, her uthe waala haath tor doon ga, golliyon ka rukh mor doon ga, Ai khuda, meri muded ker.

                      Who kisi pahar ki terha aik dushman fauji se ja tukraya, us ke jism ko dhal bunate huwe, us ki belt per luge grenade ko alag ker diya, laiken, jaise hi who sumbhla, duhman ki derjunon goliyaan us ke jism per jaise khirkiyaan buna chuki theen, aur who grenade ke saath zameen bos ho gaya!

                      Maan ki gaud, aah, kitni mithaas hai us ki gaud main, kitni raahut hai, us ke paak aanchul main, us per jaise hi apna ser rekho to goya! Goya zindagi ki saari uljhunain, yuklukht fana ho jaati hain, jaise her teref sukoon hai, bohot sukoon, junnet ka sukoon.

                      Shayed, jism main kaheen, aik qutra khoon abhi maujood tha, jo us nain apni aankhain khol deenmaan ki gaud use bohot piyaari thimagar woh apni maan ki gaud main ab sona chahta tha, aur bilaakhir, apne aap ko kissi ghaibi taqat ki madad se utha ker, gernade samet, dushman ke taink ke neeche chulaang luga dee.

                      ussi lumhe jaise aag ka tufan uth khara ho zameen se, aur tank ke purkhuche urte huwe nuzar aaye.

                      Aur apni maan ki gaud main, sukoon ki need, so gaya Woh!

                      Saathiyon nain jub yeh haijaan bhura munzer dekha, to Allah Hu Akber ke nare goonj uthe, aur who bhi kissi bijlee ki terha dushman ke tainkon per toot pere!

                      Kehte hain ke, Chuwinda ke us muqaam per duniya nain jurat aur bahaduri ki woh chingari dekhi thi, jis ki ikkisween sudi ke mumalik shayed khuwab hi dekh sekte hain.

                      Maan aur behen, jung ke dauraan, apne bachon ke unjaam se bekhuber, faujiyon ko roti aur doosri zarooriyaat ferahum kerti reheen. kissi ko Aslam keh ker pukaarteen, kissi ko Shaani, her aik se apne bachon jaisa bertaao kerteen.

                      Aur phir, kuch dinon bad jung khutum ho gayi.

                      Aik raat maan, Quran ki tilaawet main mushgool thi ke aik aahut huwi, aur us nain sehen ke derwaaze per nazer daali, aur dekhte hi us ke dil ke saare derd door ho gaye. wahan Aslam aur Shani khure muskura rehe the. kitne khush baash lug rehe the, kitne payare, purnoor, aur who keh rehe the ke dekha maan, hum abhi yaheen hain. hum tere paas hi hain, teri aanchal main. tu ghum na ker. tujhe salaam. ab kabhi ghum na kerna, mujahidon ki maan ho tum, aur shaheedon ko kabhi maut nahin aati.

                      Aur maan, apne beton ko lori diye jaa rehi thi. aik haath main un ke ser ke baalon ko sehla rehi thi, aur doosri main tesbeeh thi, Allah aur rasool ka naam liye ja rehi thi.Aankhain, aanhon ke jaise saare bund toot gaye the, aur aanso to deryaaon ki terah beh rehe the, laiken, in aankhon main noor tha, noor. woh shaheed ki maan hai. Khuda ke mehboob bundon ki. go us ka dil ghum se bojhul tha, magar waheen kissi goshe main, use itminaan bhi tha, ke us ne apna farz nibhaya hai. Aik Maan hone ka farz.

                      Minjanib

                      Aas

                      Comment

                      • #12
                        Re: Tasweer Per Kahani

                        :rose
                        Attached Files

                        Comment

                        • #13
                          Re: Tasweer Per Kahani

                          Originally posted by aas

                          Asslam-o-Alikum wrw b

                          bhot nice

                          FeamanAllah
                          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                          Comment

                          • #14
                            Re: Tasweer Per Kahani

                            Pegham per pehli TASWEER KAHANI mein main AAS aur AMBREEN ney hi likha hai. Ambreen ney mukhtasir likha hai, magar achha likha hai. Aas ney bohat tafseel sey likha hai aur bohat aala likha hai. Aas ki post behtareen post qrar di jati hai.

                            Congratulations AAS.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: Tasweer Per Kahani

                              mubarak ho Aas /flowers

                              Comment

                              Working...
                              X