Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mahé April ka topic: April fool---Pagal kaun?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mahé April ka topic: April fool---Pagal kaun?

    Asalam Alaikum Respected Members,


    Pegham writer's sec. mey hum aap ko khush amdeed kehtey hein, yahan pey hum aik naya silsila shuru ker rahey hein jo key pichley Competitions sey thora sa mukhtalif ho ga wo is tarhan key her Mah aik naya topic diya jaye ga aur us pey aap ney likhna ho ga ya apney khayalaat ka izhaar kerna ho ga apney andaaz mey

    Aap ko kuch no. of words diye jayein gey jis key lag bhag aap apni tehreer likhein gey :thmbup:

    Aap ki tehreer Pegham key Senior writers (Zmufti aur Masood bro.) check karein gey , agar us mey kuch kami beyshi hui to wo theek ker dein gey iss tarhan ahista ahista inshAllah ham sab ki tehreer mey aik nikhaar a jaye ga :D


    April key Maheeney key liye hamara topic hai

    April Fool---Pagal Kaun?



    Last date for submitting your entry: 27th April 2007

    we are looking forward for your writings !!! :rose (even mine :P)
    Last edited by Z.; 9 April 2007, 12:25.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2

    Comment


    • #3

      Comment


      • #4

        Comment


        • #5
          Originally posted by zmufti View Post
          abhee tak kissi ki tehreer maussol nahiN hui aur ham heN keh pen meN laal siyaahi bhar ke baithe heN
          :D

          meyra khayal hai aap ko red ink meyri tehreer pey hi isteymaal kerni perhey gi ....i will inshAllah try to write something on the topic .....ho sakta hai aur members tabhi thorey motivate ho jayein :D

          n thanks for being here :rose
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6

            Comment


            • #7
              Last edited by zmufti; 9 April 2007, 12:52.

              Comment


              • #8
                Originally posted by zmufti View Post
                mera khayal hai yellow sky saheb ilfaaz ki taadaad ki qaid khatam kar dijye
                daani saheb aap post to kijye
                phir dekhte heN kyaa ho sakta hai
                Mey to lakri hoti hun :$ :D

                aur alfaaz ki tadaad khatam ker di hai :thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Originally posted by yellowsky View Post
                  aur alfaaz ki tadaad khatam ker di hai :thmbup:
                  shukria khush rahiye
                  mujhe maaloom hai aap aik piyaari si laRki heN
                  mujhe se typing ki ghalati ho gayyii thee ab theek kardii hai
                  khush rahiye

                  Comment


                  • #10
                    btw kabhi mey ney kahani style mey nahi likha.....to ye pehli baar hai....




                    April Fool---Pagal Kaun?

                    Her saal ki tarhan Mahi is saal bhi 1st april ka shidat sey inteyzaar ker rahi thi, her saal wo apney baba key sath hi koi na koi chota mota mazak ker liya kerti thi aur sham ko sab ghar waley us key nit naye plans per khoob hanstey they--
                    pichley saal ki baat hai Mahi ney school sey apney baba jaan ko phone kiya
                    "baba please aap mujhey school sey pick kerney aa saktey hein" aur ye kehtey hi apna cell phone band ker diya. us ki awaz mey itni pareyshani thi key baba jaan office ki saari agli meetings cancel ker key Mahi ko school leyney phonchey, jahan Mahi ney un ka bhar poor muskurahat sey isteqbaal kiya jisey deykh ker unhon ney Allah ka shukar ada kiya aur phir Mahi sey mukhatib huye
                    "beyta aap ko maloom hai key mey kinti rush driving ker key aya hun aur aik do jaga to meyra accident hotey hotey bacha hai "

                    ab Mahi waqai hans rahi thi " to baba aap jantey to hein key aaj 1st april hai"

                    raat ko sab ney hi is baat ko enjoy kiya, sab key sth hanstey huye Murtaza sahab thorey sey pareyshan bhi they apney dil mey is baat ka pakka irada kiya key wo zaroor Mahi ko samjhayein gey ...


                    phone ki ghanti baj rahi thi

                    "Hello ...Hello....kaun ......Mahi....beyta......"

                    "baba jaan .....aap......mujhey......."

                    "Mahi beyta ...Hello...."

                    telephone ka sisila munqata ho gaya!

                    Murtaza sahab ney apney right drawer sey gaRhi ki chabiyan uthayein leykin wo apni seat sey uthey hi they key saamney calender pey surkh haroof mey 1st April pey un ki nazar perhi

                    aik gehra saans leytey huye wo phir sey kursi khench ker beyth gaye, apni secretary sey ye keh ker key ab agar un key ghar sey bhi phone aye to unhein disturb na k iya jaye, phir sey apney kaam mey magan ho gaye, aaj aik do neyhayat eham meetings thein jinhein unhon ney har haal mey attend kerna tha


                    sham deyr sey wo ghar phonchey to chauqidaar ney unhein bataya key Mahi ka accident ho gaya hai aur sab hospital mey hein, ye suntey hi Murtaza sahab ki peyroN taley zameen nikal gai ...

                    hospital phonchtey hi unhein Mahi ki report di gai, doctors ka kehna tha key agar waqat pey issey hospital phoncha diya jata to shayad halat ziada kharab na hoti

                    Mrs. Murtaza musalsal du'a ker rahi thien aur baba jaan ye soch rahey they key agar wo waqat pey apni jaan sey payari beyti ko samjha deytey to aaj shayad ye din na deykhna perhta...

                    un key kaheen aas paas abhi bhi ye alfaaz gunj rahey they
                    "baba.......aap......mujhey........"
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11

                      Comment


                      • #12

                        Comment


                        • #13
                          Originally posted by yellowsky View Post
                          ^^^shukran :ff:.... aur pehli koshish meyri hi sahih :D
                          btw kabhi mey ney kahani style mey nahi likha.....to ye pehli baar hai....




                          April Fool---Pagal Kaun?

                          Her saal ki tarha Mahi is saal bhi 1st april ka shidat sey inteyzaar ker rahi thi, her saal wo apney baba key sath hi koi na koi chota mota mazaq ker liya kerti thi aur sham ko sab ghar waley us key nit naye plans per khoob hanstey they--
                          pichley saal ki baat hai Mahi ney school sey apney baba jaan ko phone kiya
                          "baba meri tabeeat buhat kharab hai please aap mujhey school sey pick kar lijye" aur ye kehtey hi apna cell phone band ker diya. us ke baba jaan (Murtaza saheb) foran apne office se nikal khaRe hue aur 30 min ka raasta 15 min meN tey kar ke school pohnche Raah meN hazar qisam ke waswase dil meN uth'te rahe aur vo zairlab apni ladli ki salamti ki duaieN maangte rahe. School pohanchey to Mahi ney un ka bhar poor muskurahat sey isteqbaal kiya. Mahi ko sahi salamat dekh kar un ki jaan meN jaan aayii aur unhon ney Allah ka shukar ada kiya aur phir Mahi sey mukhatib huye
                          "beyta aap ne to meri jaan hi nikaal di thee aap ko maloom hai key mey kinti rash driving ker key aya hun aur aik do jaga to meyra accident hotey hotey bacha hai "

                          ab Mahi waqai hans rahi thi " to baba aap jantey to hein key aaj 1st april hai"

                          raat ko sab ney hi is baat ko enjoy kiya, sab key sth hanstey huye Murtaza sahab thorey sey pareyshan bhi they apney dil mey is baat ka pakka irada kiya key wo zaroor Mahi ko samjhayein gey ...

                          magar vo apni masroofiat meN yeh baat bhool gaye

                          aik din vo kissi business meeting meN baithe they keh
                          un ke cell phone ki ghanti bajne lagi

                          unhoN ne meeting ke shurakaa se excuse kar ke phone uthaya to doosri taraf mahi ki dard se karahti hui awaaz thee

                          "Hello ...Hello....baba jaan

                          "kaun ......Mahi....beyta......"


                          "baba jaan .....aap......mujhey......."

                          "Mahi beyta ...Hello...."

                          telephone ka sisila munqata ho gaya!

                          Murtaza sahab ney ghaRi per nazar daali to Mahi ki school se waapsi ka waqt thaa unhoN ne aik do baar Mahi ka phone try kiyya magar vo busy ja raha thaa ..........khudaya ab kyaa karoN unhoN ne socha
                          un ka dil ghabrane laga abhi vo meeting khatam karne ka ailaan karne hi waale they keh un ki nazar table calendar per ja paRi jis per 1st April ki tareekh thee vo halka sa muskaraye "yeh Mahi bhee na ab tak nahiN sudhri aaj maiN is ki zaroor khabar looN ga " yeh soch kar unhoN ne apna cell off kar diyya, secretary ko hadayat dii keh unhieN koi bhee call na di jaaye aur dobara meeting meN mashghool ho gaye

                          meeting khatam hote hi un ki secretary ghabraaii hui ander aayii aur kehne lagi Sir aap ne phone milaane se mana kiyya thaa magar aap ke ghar se kayyii phone aa chuke heN aap ki beti ka accident ho gaya hai

                          Murtaza saheb ne soha keh is baar Mahi ne sab ghar waaloN ko bhee saath mila liyya hai aur agli meeting ke liye rawana ho gaye , aaj aik do neyhayat eham meetings thein jinhein unhon ney har haal mey attend kerna tha



                          sham deyr sey wo ghar phonchey to chauqidaar ney unhein bataya key Mahi ka accident ho gaya hai aur sab hospital mey hein, ye suntey hi Murtaza sahab ki peyroN taley zameen nikal gai ...

                          hospital phonchtey hi unhein Mahi ki report di gai, doctors ka kehna tha key agar waqat pey issey hospital phoncha diya jata to shayad halat ziada kharab na hoti

                          Mrs. Murtaza musalsal du'a ker rahi thien aur baba jaan ye soch rahey they key agar aaj vo Maahi ki call ko april fool call na samjhte to un ki sey payari beyti ki yeh haalat na hoti...

                          un key kaanoN meN mahi ki karbnaak awaaz phir se goNgne lagi
                          "baba.......aap......mujhey........"


                          yellow sky saheba
                          aap ne buhat achchii koshish ki hai
                          2-3 choti choti khaamioN ko choR kar aap ki tehreer ko aik kamyaab koshish qarar diyya ja sakta hai
                          maiN aap ki ijazat se aap ki tehreer meN kuch tarmeem karti hooN
                          umeed hai aap meri is jasarat ka bura na manayieN gi
                          shukria
                          zmufti

                          Comment


                          • #14
                            Originally posted by zmufti View Post
                            yellow sky saheba
                            aap ne buhat achchii koshish ki hai
                            2-3 choti choti khaamioN ko choR kar aap ki tehreer ko aik kamyaab koshish qarar diyya ja sakta hai
                            maiN aap ki ijazat se aap ki tehreer meN kuch tarmeem karti hooN
                            umeed hai aap meri is jasarat ka bura na manayieN gi
                            shukria
                            zmufti
                            [/color]
                            :D

                            Aap bilkul sahih ker sakti hein :thmbup:
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15

                              Comment

                              Working...
                              X