Ajab soch hai logon ki .!!! Dooor kya jaon kis ki misal doon apna hee ziker kye deyta hoon main .!! Aik bohat buri adat hai meri kisi nai bhi has kai pukar liya to jaan hatheli par rakhey nikal parey usi awaz kai peechey ..!! Bina sochey samjhey kai kaun kis pal kyun bula raha hai .!!! Beyshak agley nai apna kuch waqti matlab nikalna hai par nahi main nahi samjhon ga is baat ko aur bas sardaron ki tarhan bina sochey samjhey chal paron ga ..!! Isi ik adat ki waja sai main nai barha thokar khaai .!!! Barha dhoka khaya .!! Barha dil toota mera par aqal nahi ayi .. !! :) Matlabi loag bhi ajab hotey hein duniya kuch bhi kahey kisi bhi tarhan rahey ik pal ko in ko ahsas nahi hota kai muun sai nikalney waley in kai ilfaz andar sai insaan ko kitna zakhmi kar deytey hain ..!! In ki harkatein itni aziyat deti hain kai sochney samjhney ki salahiyat khatam ho jatee hai .!!! Aisey loag kuch maghroor bhi hotey hain ..!! Samjhtey hain kai KHUDA nai kuch taqat dey di to Khuda sai b'an bethey hain ye loag Naoz-BIALLAH ..!! Mujh jaisa banda in logon sai bohat maar khata hai ..!! Ahsas-e-kamtari main raha aur usi ki chaddar ko aurh kar sonaey walon kai liye ilfazon kai nashtar sai bara nashtar koi nahi hota ..!! Aur matlabi loag ye baat ba khoobi samjhtey hain ...!! Pyar kai do bol , bol kar phir aise laat martey hein aisa dukh pohanchatey hein kai insaan dhoondta reh jaye in ko ..!!! Janey kyun kya in ka dil nahi hota ? Kya in ko ahsas nahi hota kai kya kar rahey hain ye ? Kya in ko kisi kai saath mukhlis hona nahi ata ? ....!! Nahi janta main kuch nahi janta mujhey in sawalon kai jawab na miley kabhi na milein gai ..!! Aur wohi dheet main phir pyar kai do bolon par sab haar jata hoon ..!! :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~* Matlabi *~
Collapse
X
-
Re: ~* Matlabi *~
Agar main chori ka murtakib hota to is tehreer ko chura kar apna naam likh kar paish kar deta, lagta hai merey bhai ney merye liye likhi hai. :). Aur phir yeh sochta hoon keh chori karney ka faedah hi kya hai, baqool merey bhai key "tum mein mujhey apna aap nazar aaya hai" - kabhi do insaan aik sey to nahin hotey magar is tehreer ney sabit kar diya hai main aur mera bhai ham aik hi insaan key do roop hain. :)
Bohat khoobsurat likha... Khush rahiye. :rosetumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by MasoodAgar main chori ka murtakib hota to is tehreer ko chura kar apna naam likh kar paish kar deta, lagta hai merey bhai ney merye liye likhi hai. :). Aur phir yeh sochta hoon keh chori karney ka faedah hi kya hai, baqool merey bhai key "tum mein mujhey apna aap nazar aaya hai" - kabhi do insaan aik sey to nahin hotey magar is tehreer ney sabit kar diya hai main aur mera bhai ham aik hi insaan key do roop hain. :)
Bohat khoobsurat likha... Khush rahiye. :rose
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by ForumAdminGhalat samjha ye tumharye liye nahi likhi main nai ..!!! Yun baaton ko khud par na laejao ..!! Aur nahi jaan meri main tera roop nahi ho sakta tum ujley loag ho yara sachey achey khoobsurat insaan ho sab ..!! Ham kaley dil waley b'adbakhti ki chaddar orhey kahin dil kai murda khaney main kisi purani lash ki manind parey hain ..!! ALLAH na karey tum merey jasey ho parhney ka shukriya jeetey raho khush rahotumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by ForumAdminGhalat samjha ye tumharye liye nahi likhi main nai ..!!! Yun baaton ko khud par na laejao ..!! Aur nahi jaan meri main tera roop nahi ho sakta tum ujley loag ho yara sachey achey khoobsurat insaan ho sab ..!! Ham kaley dil waley b'adbakhti ki chaddar orhey kahin dil kai murda khaney main kisi purani lash ki manind parey hain ..!! ALLAH na karey tum merey jasey ho parhney ka shukriya jeetey raho khush raho
Assalaam o alekum,
waise to aap donoon kyaa keh rahe ek doosre ko meri samajh mien nahin aayaa lekin haan main itnaa zaroor kahoongaa ke forumadmin aapki yeh tehreer waaqaee daad o tehseen ke qabil hai jo kuch lambi lambi kahaani mien likhnaa chaahiye woh sab baatien aapnien chand alfaaz mien likh din aur aapki her baat mien kaafi hud tak sachchaayi hai dili daad qabool karien khush rahien shukirya :thmbup::tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by MasoodAap meri baat nahin samjhey, meri muraad keh "merey liyey likhi hai" sey yeh thi keh yeh alfaaz merey bhi ehsasaat key tarajuman hain, agar main likhta to aisi khoobsurati sey na likhta magar hota kuch kuch aisa hi, to aap ney likh diya to issey hi chori karloon :rose. Aur haan yeh baat to koi naee nahin hai na keh jin ko kabhi apney ander ka insaan bnaya jaey unsey phir inkaar kar diya jaey :) - aur yeh bhi kisi ko maloom nahin kon badbakht hai aur kon nahin; kon laash ki manind parra hai aur kon zindah laash hai :) - kya samjhey?
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by khurram_shaikhAssalaam o alekum,
waise to aap donoon kyaa keh rahe ek doosre ko meri samajh mien nahin aayaa lekin haan main itnaa zaroor kahoongaa ke forumadmin aapki yeh tehreer waaqaee daad o tehseen ke qabil hai jo kuch lambi lambi kahaani mien likhnaa chaahiye woh sab baatien aapnien chand alfaaz mien likh din aur aapki her baat mien kaafi hud tak sachchaayi hai dili daad qabool karien khush rahien shukirya
Qalam ki jang hai hazoor Ham jasey to bas itney barey barey qalam qaron kai samney wasey hee farigh hain bas wasey hee baat baraye baat ..!! parhney ka pasand kerney ka bohat bohat shukriya
Waslam
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by ForumAdminKar lai jaan meri chori kya seeney par paon rakh kai apney naam kar lai tehreer koi gila nahi adat hai :rose Sahi kaha tum nai yeh baat to koi nayee baat nahi hai .!! Us ki bhi waja hoti hai kisi ka dimagh to kharab nahi hota koi pagal to nahi hota na kai aisey hee jidher mann kya maur liya khud ko ye sab ahsaas'at hotey hein jo koi aur dilata hai aur agar koi dhitkar dey to aisey hee ahsaas janum letey hein jasey is inkar kai ahsas nai janam liya:) ..!! Maloom hota hai har insaan ko apna zaroor maloom hota hai aur rahee baat ik doojey ko dekhney ki to maslahatein hain kai ainey toot jaein werna to sab saaf dikhta hai jaan meri :) main to samajh gya ab tum bhi samajh jao :rose
Khush rhiye aur aisey hi khoobsurat jazbaat share kartey rahiye. :rosetumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
Originally posted by MasoodKuchh log kuchh karney ka soch rahey hon to unki sochein bhi parkri jaati hain aur kuchh hazam bhi kar jatey hain magar pattah tak nahin chalta - khair yeh batein bohat door jaa nikalti hain.
Khush rhiye aur aisey hi khoobsurat jazbaat share kartey rahiye. :rose
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
bohot acha likha aap ney,
matlabi logon key ilawa is dunya mey aik aur namooney bhi paaye jaatey hein :D
jin key do roop hotey hein samjh nahi aati kaun sa roop sacha hai --jab aap key saamney hotey hein to bohot meethey jaisey poori dunya mey sab sey ziada yahi aap key chahney waley hein magar peechey aap ko dukh aur nuqsaan phonchaney ka koi zarya hath sey nahi jaaney deytey :(" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
ilfazon kai nashtar sai bara nashtar koi nahi hota ..!! Aur matlabi loag ye baat ba khoobi samjhtey hain ...!! Pyar kai do bol , bol kar phir aise laat martey hein aisa dukh pohanchatey hein kai insaan dhoondta reh jaye in ko ..!!! Janey kyun kya in ka dil nahi hota ? Kya in ko ahsas nahi hota kai kya kar rahey hain ye ? Kya in ko kisi kai saath mukhlis hona nahi ata ?
acha likha hey khush rahyie .
Comment
-
Re: ~* Matlabi *~
mein aap sai sirf itna kahoongi kai aaj kal duniya hi matlab ki hai so jo jaisa hia us kai sath waisai hi paish aiyai warna ye duniya insaan ko jeenai nahi daiti....achi aur bauhat hi sachi tehreer likhi hai aap nai /yhug
khush rahiyai :)
Comment
Comment