wo sirf chaar din key khawab they-----chaar din -----bohot hi haseen--....sara din aur saari raaat mey sirf khawab deykhti ........wo khawab itney dilkash they key unhein bayaan bhi nahi kiya ja sakta hai.....aur mey heyraan thi key in chaar dino mey mey ney kitni manzilien ta ker li hien....sirf inhi khawabon ki badolta ---- labon per aik khoosurat muskurahat thi-----muskurati aankhein --------un chaar dino mey mujhey dunya ki her cheez bohot payari lagi ...........unchi hawaon mey urhney waley parindey--------- unhein deykh ker aeysa lagta tha key mey bhi un key sath hawaon mey urh rahi ......aik unchi urhaan--------aur phir subha fajr mey un ka cheh-cha-hana .......un ki awazein kabhi itni payari nahi thien magar ye sab un khawabon ka kamal tha .........wo awazein mey bas sunti rehti thi ..........aur phir suraj ka nikalna ........wo shafaq jo aasman pey pheyl jati hai .......aur meyra aankhein band ker key aik gehra saans leyna jaisey saari nature mey apney ander utaar leyna chahti hun........aur phir wo rang.......mujhey khizaan key mausam mey bhi phool khiltey nazar aye ..........aeysey rangon key jo mey ney kabhi bahaar key mausam mey bhi nahi deykhey ........un ko choona aur un ki khushboo ko mehsoos kerna.......aur wo khushboo.....wo khushboo to dil mey utar jaaney wali thi ......ye sab sirf un khawabon ki badolta hi to tha...........meyrey ander itni tabdiliyan aa gai thien key mey khud bhi heyraan thi ........aur phir kabhi aainey key saaamney kharey rehna ........key apney aap per hi payar aa jaye.......ghanton apney sey baatein kerna.......mey ney itney khawab deykhey key bas 4 dino mey hi apni zindagi jee li.........aur phir
meyhaz aik jumley ney wo saarey khawab tor diye.........
aur mujhey bohot deyr tak un ki kirchiyon ki awazein aati rahein.......
meyhaz aik jumley ney wo saarey khawab tor diye.........
aur mujhey bohot deyr tak un ki kirchiyon ki awazein aati rahein.......
Comment